Safar Zindagi Ka Chalta Gaya........

by khwaish on June 08, 2009, 06:24:53 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4540 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: June 09, 2009, 03:48:44 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai aapne Khwaish ji,asha hai aise hi sukooniyat basar karne vali nazm likhte rahenge,very nice Clapping Smiley Clapping Smiley                                                             safar zindagi ka chalna tha chalta gaya,jise jo likhna tha vo likhta gaya, Nazaria nazariyon ko aisa bakhsha humne,har nazare ko khushnuma batata gaya,Zindagi me kiske halaaton me gham na ghule hain,main har insaan ki kismat me Khudai pata gaya,is tarah dosti zehen me basayi rakhi,rakeebon ko saare hi rafeeq banata gaya

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..Aapne Padha aur saraha,yeh jaankar bahut khushi hui..

Aur aapne bhi Bahut Khoob Kaha.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mai to sahil tha chalta to bhi kaise chalta by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
AKELA CHALTA GAYA by ANKIT RAO in Other Languages
raah-e safar me mehfilo ko gulzaar karna aa Gaya. by pawan16 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
SAFAR GAYA GOYA......................saru.......... by SURESH SANGWAN in Ghazals « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #16 on: June 09, 2009, 04:05:03 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah bahoot Bahoot Khoob Khwaish Ji.. Zindgai k safar i Data ko bakoobhi bayaan kiya hamesha ki tarah bahoot bahoot Umda likha hai


@ Rahim:- Bro bahoot bahoot kamaal ka likha hai... Too Good!

@ Salil :- Well Written Dear.. Superb!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: June 09, 2009, 04:39:50 PM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Khoob aur dil ko choone wale alfaaz paroye hai dost!!!! aur iss kadar bhi koi dil-e-haal baya.n kare khuda se yaqeen nahi hota..!!! bahut bahut bhadiya rachna hai tumhari.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley  notworthy  Thumbs UP

Daad kabool kare.. Thumbs UP

Shally.


Thankyou Sooooooo Much Shallyji..Aapne itna kuch keh diya ke ab hum kya kahen..Aapne iss Nazm Ko Padha,Samjha Aur Saraha,yeh jaankar,Bahut Khushi hui hai.Bas Yuhi saath dete Rahiyega Hamesha ..Thanks A lot... Usual Smile
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #18 on: June 09, 2009, 05:30:43 PM »
Reply with quote
Kya khoob likha hai Khwaish Ji
perfect, excellent,touching
SARVESH RASTOGI
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #19 on: June 09, 2009, 07:47:04 PM »
Reply with quote
Aap ne bohot hi umda likha he khwaish ji...
Kaash wo shakhs bhi ise padh pata jisse mutassir hokar aap ne ye likha, phir use bhi koi shikayat n rehti khuda se.

Sirf ye ek baat hi nahi, balke bohot si zindagi ki sachhaiyan aap ne apni nazm me pesh ki hai, bohot khoob dost.!
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: June 09, 2009, 07:59:03 PM »
Reply with quote
Very nice additions, Rahim, Kaash Ji and Salil
Logged
Ameen Asim
Guest
«Reply #21 on: June 10, 2009, 06:33:12 AM »
Reply with quote
thanx, baut achcha,

Wassalam
Ameen Asim
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #22 on: June 10, 2009, 06:42:11 AM »
Reply with quote
 :icon_salut:Khwaish ji,very sad and touching,aankh bhar aayee.
bahut acha likha aapne.samaj mein nahi aati kya kanhu. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: June 10, 2009, 09:43:45 AM »
Reply with quote
Boat KHoob KHwaish Bhai,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #24 on: June 10, 2009, 10:13:53 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob Khwaish ji Applause Applause Applause
kamaal likha hai aapne

aur Rahim Bhai aapne bhi khooob likha hai  Applause Applause Applause

Salil ji aapne bhi kamaal likha hai
Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: June 11, 2009, 02:29:20 AM »
Reply with quote
bahut bahut bahuuuuuuuuuuuut khub...........khwaish ji
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

   Khuda us shaksh ko phr se dher sari khushiyaan de....har dukh k baad dher sari khushiyan jrur aati h...... uske ghar me der h andher nai.










Thankyou Sooooooooo Much Pooja...

Dusro Ko Duayen Bhi Wahi insaan deta Hai,Jiska Dil khud Saaf ho..

Bahut Bahut Shukriya Dost,jo Sapne Ek Anjaan Insaan ke Liye,Itni Duayen Di...Waheguru Aap Ko Hamesha Khush Rakhe.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: June 11, 2009, 05:56:28 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah bahoot Bahoot Khoob Khwaish Ji.. Zindgai k safar i Data ko bakoobhi bayaan kiya hamesha ki tarah bahoot bahoot Umda likha hai


Bahut Bahut Shukriya Sophi...Aapke Comment Ka hamesha Se Intezaar Hota Hai..Thankyou.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: June 12, 2009, 06:56:26 AM »
Reply with quote
Kya khoob likha hai Khwaish Ji
perfect, excellent,touching
SARVESH RASTOGI

Bahut Bahut Shukriya Sarvesh Ji..Aapko yahan Dekh kar,Bahut Acha Laga..Thankyou So Much For Appreciating Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: June 12, 2009, 03:38:31 PM »
Reply with quote
Aap ne bohot hi umda likha he khwaish ji...
Kaash wo shakhs bhi ise padh pata jisse mutassir hokar aap ne ye likha, phir use bhi koi shikayat n rehti khuda se.

Sirf ye ek baat hi nahi, balke bohot si zindagi ki sachhaiyan aap ne apni nazm me pesh ki hai, bohot khoob dost.!


Bahut Bahut Shukriya Randeri Saheb!!! Aap Iss Thread Mein Aaye,Iss Thread Ki Shoba Aur Badh Gayi.. notworthy

Ek koshish Ki hai ke iss nazm mein Yeh Baat Keh sakoon ke Chaahe Kuch bhi Halaat Ho,Khud Par yakeen Aur Khuda Par Aitbaar,Kabhi Nahi Chodna Chahiye..aap ne Samjha Aur saraha.Teh dil se shukriya aapka..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: June 14, 2009, 07:20:39 AM »
Reply with quote
Kuch Din pehle ek Aise Shaks Se Meri Mulakaat Hui thi,Jo Ek Waqt Par Bahut Khush Raha karta tha,Phir Kahin Woh Kuch Aise Bure Halaat Ka Shikaar hua Ke Aaj Muskurane Ke Liye Bhi Usse Himmat Jodni Padti Hai..Aaj Woh Apni Zindagi Sirf Jeene Ke Liye Jeeta Hai..Uske Lab par Yeh Shikayat Si rehti Hai Ke "khuda Ne Meri Dua(Ardaas) Kubool Hi Naa Ki",yeh Nazm Woh Shaks To Kabhi nahi padh paayega,Par Yeh nazm Ek Koshish Hai,Ke Chaahe Kuch Bhi Ho,Khuda Par Woh Vishwaas Hamesha Zaroori Hai Aur Safar Zindagi ka Kabhi Nahi thamta..Guzaarish Hai Aap Sab Se Ke Iss Nazm Ko Zaroor Padhe..Shukriya..

Safar Zindagi Ka Yuh Chalta Gaya,
Waqt Ke Haath Se Sarakta Gaya,
Abhi Door Hai Mujhse Saari Manzil-e-Mukaam,
Har Pehar Ke Saath main Ulajhta Gaya...

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya....

Aaj Ke Daur Mein Gareebi Ek Saza Hai,
Aur Ameeri Ek Ada!!!
Duniya Ke Iss Jhoote Rasm-O-Riwaaz Mein,
Main Dhalta Gaya...

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya....

Woh Baap Jiska Koi Sahara Naa Tha!!
Woh Maa Jiske Paas, Uski Aankh Ka Taara Naa Tha!!
Woh Bache Jiske Mooh Mein Ek Niwaala Tha..
Uss Basti Mein Baashinde To Bahut The,
Par Koi Dilwala Na Tha!!

Zindagi Ke iss Kadwe Sach Ko Dekh Kar Main Darta Gaya..
Safar Zindagi ka Chalta Gaya...

Insaan Yaha Insaan Ka Hi Dushman Hai!!
To "Khwaish" Phir Dost Kaun Hai???
Dil Mein Apne Sawaalo Ka Ek Ghar Sa Banta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya...

Eh Khuda,Mujhe Phool Naa De,Koi Gham Nahi, Par Khaar Bhi Naa De!!
Mujhe Jeet Naa De,Naa Sahi Par Haar Bhi Naa De!!
Apna Sar Tere Dar Par Main Malta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya...

Khwaab Mere Bhi Toothte Hai Par Main Toothe Khwaab Ke Anjaam Par Rota Nahi!!
Kabhi Nahi Suuni Jaati Hai Fariyaad Meri Bhi Uske Darbaar Mein,
Par Main Apne Khuda Se To Door Hota Nahi!!

Phir Naye Sapne Ko Sanjokar,
Main Aage Badhta Gaya..

Safar Zindagi Ka Chalta Gaya... 

        ~~~~~Khwaish~~~~~


Bahut bahut bahut achha likha hia aapne Khwaish Ji...

har ek lafz dilko chhu sa jaata hai... Sahi hai zindagi ka safar kisi ke liye rukta nahi hia. Hamein ise har haal mein khushi ya dukh ke saath jeena hi padta hai..

ek Koshish karna chahungi...



Is zindagi ke safar pe yunhi chalte rehna hai,
thokar mile ya manzil apnaate jaana hai,

kabhi kabhi mil bhi jaaye raahon mein phool,
unke saath kaanto ko bhi daaman mein sajaate jaana hai,

khatm karna koi kitna hi chahe is safar-e-zindagi ko,
khuda ke is nayaab tohfe ko sar-aankohon pe lagana hai...
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:15:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer