Samandar khud Kinara dega !!

by abdulqadeer on February 05, 2009, 03:02:12 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2830 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Doosto ye ghazal shayad mai pahele bhi post kari hogi !! to maafi chahata hon magar aaj bahoth dil kar raha tha isko post karne ka to kar diya !! agar ghazal tak pahonch gaye to nawaz dena !!


Jo bhi tha sab khuch to chin liya tune !!
Bata mujhe aur kya saza dega !!
Eak baar zindagi deke kitni baar marega mujhe !!
Sub thak gaye ab tohi bata kaun hai  jo kandha dega !!

Waqath ki andhi ne mera sara shaher mita diya !!
Ab mai banjara hon , wo raheman hai kahin na kahin basa dega !!

Ab majdhar me aahi gaye ho to tofano se kya darna !!
Agar chini hai usne fatwar to wohi sahara  dega !!

Tum karte raho naam koshishen mujhe dobane ki !!
Mai begunha hon khud samandar mujhe kinara dega !!

Ab meri gurbath pe duniya hasne lagi hai “Qadeer”
Agar wo josh me agaya to rahemath ka Qazana Dega !!

Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sunaai dega by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
kinara by manoj. in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~SUNAAYI DEGA~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
<>*De Dega..*<> by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri
dubti kashti ko koi to kinara dega by jeet jainam in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 05, 2009, 03:23:11 PM »
Reply with quote
Wah Bhai, Kitni Baar Bhi Pardoon, Aapki Ghazlein Utni Baasr Us Se Aur Mohabbat Ho Jaaati Hai,.

Bohat Achche Tareekhe Se Bayaan Kiya Hai Aapne, Jo Guzar Rahi Hai Wo Bhi Bataa Diya,.
Aur Rab Se Umeed Bhi Rakhi Hai,.

Yunhi Qadeer Bhai, Hum Sab Ko Apni Ghazlon Se Nawaaze, Allah Paak Aapko Lambi Umar De, Khushiyaan De. Aur Uski REhmat Barsaaye Yunhi Likhte Raho,.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2009, 03:29:53 PM »
Reply with quote
Wah Bhai, Kitni Baar Bhi Pardoon, Aapki Ghazlein Utni Baasr Us Se Aur Mohabbat Ho Jaaati Hai,.

Bohat Achche Tareekhe Se Bayaan Kiya Hai Aapne, Jo Guzar Rahi Hai Wo Bhi Bataa Diya,.
Aur Rab Se Umeed Bhi Rakhi Hai,.

Yunhi Qadeer Bhai, Hum Sab Ko Apni Ghazlon Se Nawaaze, Allah Paak Aapko Lambi Umar De, Khushiyaan De. Aur Uski REhmat Barsaaye Yunhi Likhte Raho,.

Shukriya Azeem is Nacheez ko itni di apne !! Ye sub apki nazron ki qasiyath jo hamari ghazal ke ahesas tak pahonch jati hai chute bhai !! allah tumhe khush rakhe azeem !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 05, 2009, 03:41:59 PM »
Reply with quote
Shukriya Azeem is Nacheez ko itni di apne !! Ye sub apki nazron ki qasiyath jo hamari ghazal ke ahesas tak pahonch jati hai chute bhai !! allah tumhe khush rakhe azeem !!

Qadeer Toopchi


Bhai Jispar Guzri Hai Gurbat, Wohi Gurbat Jaanta Hai,.
Allah Use Aazmaata Hai Faaqe Dekar, Jo Allah Ko Maanta Hai,.

_______________________________-Jaanasheen-
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #4 on: February 05, 2009, 04:08:45 PM »
Reply with quote
Bahot khub surat ghazal hai... aankhon mein aansu aagaye!

Azeem, aapne bhi bahot kamal kee lines lihkee hain!

keep it up!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 05, 2009, 04:16:50 PM »
Reply with quote
Shukriya,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 05, 2009, 04:17:49 PM »
Reply with quote
Doosto ye ghazal shayad mai pahele bhi post kari hogi !! to maafi chahata hon magar aaj bahoth dil kar raha tha isko post karne ka to kar diya !! agar ghazal tak pahonch gaye to nawaz dena !!


Jo bhi tha sab khuch to chin liya tune !!
Bata mujhe aur kya saza dega !!
Eak baar zindagi deke kitni baar marega mujhe !!
Sub thak gaye ab tohi bata kaun hai  jo kandha dega !!

Waqath ki andhi ne mera sara shaher mita diya !!
Ab mai banjara hon , wo raheman hai kahin kahin basa dega !!

Ab majdhar me aahi gaye ho to tofano se kya darna !!
Agar chini hai usne fatwar to wohi sahara  dega !!

Tum karte raho naam koshishen mujhe dobane ki !!
Mai begunha hon khud samandar mujhe kinara dega !!

Ab meri gurbath pe duniya hasne lagi hai “Qadeer”
Agar wo josh me agaya to rahemath ka Qazana Dega !!

Qadeer Toopchi

Bahut Bahut Khoob Qadeer Saheb..Bahut Hi Khoobsurat Ghazal Likhi Hai Aapne..Bahut ache Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 05, 2009, 04:18:57 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Qadeer bhai... yah lines behad pasand aai

Tum karte raho naam koshishen mujhe dobane ki !!
Mai begunha hon khud samandar mujhe kinara dega !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2009, 05:21:39 PM »
Reply with quote


Tum karte raho naam koshishen mujhe dobane ki !!
Mai begunha hon khud samandar mujhe kinara dega !!

Ab meri gurbath pe duniya hasne lagi hai “Qadeer”
Agar wo josh me agaya to rahemath ka Qazana Dega !!

Qadeer Toopchi

Qadeer Bhai,

Bohot Khoob...Taareef ke liye mere paas alfaaz ki kami hai.....Upar ke ye 2 asha'ar to dil pe ek asar chorh jaate hain...Bohot Khoob Bhai.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2009, 05:26:26 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Likha Qadeer Sahab :clap Applause Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #10 on: February 05, 2009, 05:54:29 PM »
Reply with quote
Maf kijiyega achhe topics dekhkar mai kud ko rok nahi sakta kuch likhne se...
ek choti si koshish kar raha hun ummid hai pasand aayegi...



Har zarre pe uski hi surat hogi,
Har nazar pe vo apna nazara dega...

Aankho me bhar lunga pal bhar ke un jasbato ko,
Firse agar vo apne jasbato ka sahara dega....

Ashko me baha diye jo pal maine apni rusvayi ke,
Ummid nahi ki fir se vo mausam doobara dega...

Raste to khud hi ban jayenge meri muhaabbat ki sachhayi dekhkar,
Khuda bhi jab hoga sath mere toh Samandar bhi kinara dega...

~Pank~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 05, 2009, 06:07:31 PM »
Reply with quote
Maf kijiyega achhe topics dekhkar mai kud ko rok nahi sakta kuch likhne se...
ek choti si koshish kar raha hun ummid hai pasand aayegi...



Har zarre pe uski hi surat hogi,
Har nazar pe vo apna nazara dega...

Aankho me bhar lunga pal bhar ke un jasbato ko,
Firse agar vo apne jasbato ka sahara dega....

Ashko me baha diye jo pal maine apni rusvayi ke,
Ummid nahi ki fir se vo mausam doobara dega...

Raste to khud hi ban jayenge meri muhaabbat ki sachhayi dekhkar,
Khuda bhi jab hoga sath mere toh Samandar bhi kinara dega...

~Pank~


Bohat Achche Pank Bhai,.

Jab Khudaa Saath Ho, To Har Cheez Jaayaz Hai,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 05, 2009, 06:07:46 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob PANK JI.... Bahoot khoob!!!

Insaani fidrat.. insaan se karaati hai kaya kaya
iradein kar.. phir bas dekhta chala  ja...
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: February 05, 2009, 06:09:10 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Pank Ji...Beautiful reply !!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #14 on: February 05, 2009, 06:33:04 PM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji,Calmiraji,Jaanasheen Sahab
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:57:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer