Samvedanheenta: Vastuvadita aur vaasna se hi samaaj me samvedanheenta badhti hai

by @kaash on January 04, 2011, 10:19:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2639 times)
@kaash
Guest
Reply with quote

vastuvadita aur vaasna ki pradhaanta se hi humme samvedanheenta badhti hai
samaaj me aaj samvedanheenta se hi adhiktar buraaiyan faili hai

aaj hum apne chhote chhote swaarth ke peeche itne andhe ho chuke hain
ki dambh,krodh,aakrosh wash doosre ko chot pahuchna nahi chookte hain

samaaj me sakdon saal se samvedanheenta hi hai jisne nirjeev sa rakha
mandir masjid girjaghar gurdare jake bhi humne aastikta ka chola nahi pehna

hume lagta hai bus upasna sthaan tak hi hain rab ki neetiyaan
mandir masjid ki seedaiyaan utarte hi karne lagte hain nadaaniyaan

barson se is tathya ko prathmikta nahi di humne
ek doosre ki hod me hi dikhavati vandana kari humne
isilie jo log eeshwar ko samajh gaye unhe to mana humne
lekin vo kya kahte rahe jaankar bhi na maana humne

yehi vajah hai ki lagataar vastuvadita aur vaasna ke gehre saye me samaaj raha
samhedanheenta badhni thi kari tarah ke kuvicharon kuprathaon se ootprot raha

samvedanheenta ya samvedansheel hona samaaj ke har tabke me vyaapt hai
bade se bade kukratya aur chhoti se chhoti hinsa me yehi karak rahta hai

america ke hiroshima nagasaki se bahut pehle bhi
aur vishwa dudhh ke bhayankaari parinaam baad bhi

samaaj ne kuch bhi na seekha aur vaise ka viasa hi raha
samvedansheel hoke vastuvadita aur vaasna par na vichaar kia

parinaamtah samvedanheenta badhni thi badhti chali gayi
parmanu bamon se leke ye road par chedchhad tak pahunch gayi

samaaj ki neetiyun se koi ek raajya desh nahi poora vishwa prabhavit hota hai
isilie bade se bade istar se chhote se chhote istar par sansaar prbhait hota hai


ye hamari samvedanheenta hi hai ki aaj bhi hum samrjyawaad ko badhawa de rahe hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum aaj bhi sachhai ka saamna nahi karte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum apne mazhab ko sabse acha maante hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki gar hum doosre dharm ko apne barabar nahi mante hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum apne ko bahut matavapoorna samajhte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum doosre ko mahatva dene se mukarte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki jaativaad chhetravaad me simat.te chale ja rahe hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hamare neta hamare saamne jhooth bol jate hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum khud se pehle doosre ko raay dena chahte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum maanke jaanke bhi achi baat sweekarte nahi hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki humne kabhi sameekchha karne ki koshish hi nahi ki
ye hamari samvedanheenta hi hai ki jab bhi jo bhi sarkaar aayi usne bus dhokadhadi hi ki
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum apne bhale ke lie kisi ka bhi hit kar sakte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum doosre ko dukh dekhke sukh pana chahte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki jisne hamare aham hamare ego ko had se zyada badhaya
ye hamari samvedanheenta hi hai ki apne ego par hamara niyantran rahne ki jagah usne jamaya
ye hamari samvedanheenta hi hai ki roz vohi khabren padhte aur dekhte hain hum t.v par
ye hamari samvedanheenta hi hai ki nirntar badhte apraadhon ko dekhke bhi nahi hoti pehel
ye hamari samvedanheenta hi hai ki humne khuda eeshwar god ko alag samudaayon me baant rakha
ye hamari samvedanheenta hi hai ki sabka malik ek hai jaanne ke baad bhi khud ko samjha nahi rakha
ye hamari samvedanheenta hi hai ki apne aapse ghar pados se zyada hum bahar dekhte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki khud prem baatne se zyada hum auron se chahte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki rishtey nibhane se zyada hum rishtey bahdane me yakeen rakhte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki ghalti karke bhi hum saamne vale me hi ghalti dhoondhne lagte hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki ache aadarsh samaaj se kitaabon se khote ja rahe hain

ye hamari samvedanheenta hi hai ki satsang sunne ki jagah subah hote hi f tv laga rahe hain
ye hamari samvedanheenta hi hai ki kaam krodh me bahkar humne aanand dhoondha dekha
ye hamari samvedanheenta hi hai ki ek minute bhi thharkar sahi ghalat na suna na samjha
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum samaaj se pehle khud ko badalne ki neeti par nahi chalte
ye hamari samvedanheenta hi hai ki ye jaanke ki ek ek vyakti se samaaj banta hum khud ko badle
ye hamari samvedanheenta hi hai ki badhte hue balaatkar,dahej,kanya bhroon hatya par hum kuch nahi kahte
ye hamari samvedanheenta hi hai ki swatantrata ke adhikaar hote hue bhi hum apni raay nahi rakhte
ye hamari samvedanheenta hi hai ki chori,hatyaen,bank robbery,kidnaapping par asamvedansheel rahte
ye hamari samvedanheenta hi hai ki baal shram,vradha ashram,baal vivah jaise muddon par chuppi saadhte
ye hamari samvedanheenta hi hai ki hum samvedanheen hoke bhi samvedanheen hi bane rahna hai chahte



jago utho aur pehel karo mat dekho kisi aur ki pehel ko
samajik kureetiyun ko bada ne dekho na bada dekho hal ko
apne prayatno ko kabhi sankeedta se mat dekho
kaun hansi uda raha kaun tareef ye bhi mat dekho
apne vichaaron ke maadhyam se apne prayaason se
prayaas karo khud ko khud ke badalne se
itna hi kafi hai ki hum swayam aise kuvichaaron ko na mane
vastuvadita aur vaasna me padhkar bhi inme jeevan na mane
samvedansheel hon chahe kisi bhi istar se
samvedanheenta khud kum hogi kar istar se
Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: January 06, 2011, 06:22:42 AM »
Reply with quote
Akash ji aapki kahi ek ek baat sahi hai.
aapse poori tarah se sahmat hun.
bas ek aap hi hain jo samajik buraiyon ke baare me likhte hain.
aap jaise kavi hai jo hame sachhaiyon se rubaru krwate hain.
warna yahan hum jaise to sab jaan kar bhi khamosh bethe rahte hain.
aapko saadar Abhinandan hai.
"
thanx
"
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #2 on: October 09, 2013, 03:32:04 PM »
Reply with quote
Akash ji aapki kahi ek ek baat sahi hai.
aapse poori tarah se sahmat hun.
bas ek aap hi hain jo samajik buraiyon ke baare me likhte hain.
aap jaise kavi hai jo hame sachhaiyon se rubaru krwate hain.
warna yahan hum jaise to sab jaan kar bhi khamosh bethe rahte hain.
aapko saadar Abhinandan hai.
"
thanx
"
Nirala bro poem ko padhne aur samajhne ke liye shukriya aapka!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:21:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer