Shayer nahi mante.........(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 25, 2009, 01:46:39 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2370 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Apna jise bana liya woh hame jante nahi
Jinhe pechaan apni dedi woh hame pehchante nahi

Apna ho jo koiee yeh baat lage theek
Dushman pe yaha khanjar hum taante nahi

Beparda mile husn to maal khara hain
Pehle ki tarah chilman me ada chante nahi

Likhe woh koi ghazal, geet ya rubaiee
GHAYEL ko yaha logh shayer mante nahi

-Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mai shayer to nahi by manjot in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
EK SHAYER KO PAGAL... (GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai
KOI GILA NAHI......(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi
Main shayer hun koi Deewana nahi by sarfaraz_sagar in Ghazals
Tere Dusman Ko Hum Kabi Apna Dost Mante Nahi by Shayaries_King in Share:Patriotic Poetry
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 25, 2009, 01:51:09 PM »
Reply with quote
Kaun Maanta nahi Bhai,,
Hum To bakhauda Aapko Mante Hain,.

Aur Mashallah Kya khoob Likha Hai, Nice One,./
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: February 25, 2009, 02:40:26 PM »
Reply with quote
GHAYEL SAHEB, KYA BAAT KEH RAHEY HO AAP .... AAP TOH ITNI BADIYA POEMS LIKHTEY HO BHAI .... JOH NAHI SAMAJ PA RAHA  TOH HAMARI SAMAJ MEH WOH NASAMAJ HAI JI ....


JASBIR SINGH
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: February 25, 2009, 03:28:40 PM »
Reply with quote

WAAH SAJID JI!  Clapping Smiley
Shaayar to dil mein, zehn mein hotaa hai numaayaan;
Alfaaz to izhaar key hain kuchh hi namooney!
Har boond mein insaan kee, hai shaayaree rawaan;
Gouhar-see nihaan hai uyoon-e-a'am mein sooney!!

                             - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 25, 2009, 03:51:43 PM »
Reply with quote
Apna jise bana liya woh hame jante nahi
Jinhe pechaan apni dedi woh hame pehchante nahi

Apna ho jo koiee yeh baat lage theek
Dushman pe yaha khanjar hum taante nahi

Beparda mile husn to maal khara hain
Pehle ki tarah chilman me ada chante nahi

Likhe woh koi ghazal, geet ya rubaiee
GHAYEL ko yaha logh shayer mante nahi

-Sajid Ghayel-

Bahut acche  Applause

La-ilaj marj hai pyar Sajid
Gam her dard ka ilaz hota hai
Kisi ke liye dil jalana
Sajid, yahi chahat ka riwaz hota hai..


Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 25, 2009, 05:28:22 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Sajid, Abdji and Roja apne to kuch he lafzo main bahoot kuch kah diya!! Nice work!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: February 26, 2009, 05:43:59 AM »
Reply with quote
wah wah mere bhai...Sajid saheb bahau acha likha hai apne...aap ko shayar kaun nahin manta...aap toh bahaut umda likte ho...
chand lavzon logon se apni baat kehgaye aap..
chupe chupe kisi se shikayat kargaye aap...
usse zarur lagi hogi apki baat dil pe,
pyaar main kisi ko dard degaye aap...
Logged
NAJIBSHAMSI
Guest
«Reply #7 on: February 26, 2009, 05:55:40 AM »
Reply with quote
salam aapki nazar poori gazal kar raha hoo`n
aapnay jo shair likhay hai`n usee zameen may aik shair nazar kar raha hoon
AIK TUM HI AJNABI KI TARAH MUJH SAY KYA MILAY
MUJH SAY TO ZINDAGI BHI MERI AJNABI RAHI

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 26, 2009, 06:13:15 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Sajid, Abdji and Roja apne to kuch he lafzo main bahoot kuch kah diya!! Nice work!!
Thanks Pooja ji!
         - abd bundeli
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: February 26, 2009, 07:15:35 AM »
Reply with quote
Bahot hi badiya sajid ji Clapping Smiley
Hum to aap hi se sikh rahe hai.... Thumbs UP

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: February 26, 2009, 07:34:17 AM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley

Beautifull heart touching lines Sajid ji bohat khoob... 

Bohat khoob Abd ji aur DH



Honthon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
Aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

Hairaan hain lab_bastaa hain, dil_giir hain gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paigaam hii aaye

*NM*

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 26, 2009, 09:06:39 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley

Beautifull heart touching lines Sajid ji bohat khoob... 

Bohat khoob Abd ji aur DH



Honthon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
Aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

Hairaan hain lab_bastaa hain, dil_giir hain gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paigaam hii aaye

*NM*


Shukriyah honeyrose ji!
          - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: February 26, 2009, 12:50:56 PM »
Reply with quote
Apna jise bana liya woh hame jante nahi
Jinhe pechaan apni dedi woh hame pehchante nahi

Apna ho jo koiee yeh baat lage theek
Dushman pe yaha khanjar hum taante nahi

Beparda mile husn to maal khara hain
Pehle ki tarah chilman me ada chante nahi

Likhe woh koi ghazal, geet ya rubaiee
GHAYEL ko yaha logh shayer mante nahi

-Sajid Ghayel-

Bohot Khoob Sajid Ji,

Pehchaante bhi hain, apna maante bhi hain
Dil ke qareeb ae dost tumhe jaante bhi hain

Rishton ko humne pal bhar main badalte dekha,
Dost aur dushman ka farq, par jaante bhi hain

Shayari pe tumhari, daad yunhi to na di,
Ghayel ko achcha shayar sab maante bhi hain !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 26, 2009, 01:09:30 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Sajid Ji,

Pehchaante bhi hain, apna maante bhi hain
Dil ke qareeb ae dost tumhe jaante bhi hain

Rishton ko humne pal bhar main badalte dekha,
Dost aur dushman ka farq, par jaante bhi hain

Shayari pe tumhari, daad yunhi to na di,
Ghayel ko achcha shayar sab maante bhi hain !!

Waah Waaha, Kya KHoob Talat Didi,. Great Work Yaar Achcha Laga Pardhke, Nice One,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: February 26, 2009, 01:37:18 PM »
Reply with quote
Shukriya Azeem
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:48:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer