SHEHAR KE HALAAT.........(GHAYEL)

by sajid_ghayel on November 19, 2008, 06:47:38 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2505 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Kaise yeh aaj shehar ke mere halaat ho gaye
Jinhe sharminda hu main poochte hue woh sawalat ho gaye

Bikti hain mohabbat yaha har mod har gali
Kuch is darja saste yaha jazbaat ho gaye

Haste hain maa baap par woh itne zaheen hain
Beto ke is kadar aala khayalat ho gaye

Ab woh kaha kisi ki pakad me hain dosto
Kanoon se bhi lambe uske hath ho gaye

Ghayel na jagao inhe tum kehke shayri
Yeh woh bach_che hain jo bhookhe aaj raat so gaye

                                -Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mara Halaat by muneeb in Shayri-E-Dard
HALAAT................ by TOUCHY in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Halaat... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
Yeh mere shehar ko......( Ghayel ) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: November 19, 2008, 07:07:28 AM »
Reply with quote
Kaise yeh aaj shehar ke mere halaat ho gaye
Jinhe sharminda hu main poochte hue woh sawalat ho gaye

Bikti hain mohabbat yaha har mod har gali
Kuch is darja saste yaha jazbaat ho gaye

Haste hain maa baap par woh itne zaheen hain
Beto ke is kadar aala khayalat ho gaye

Ab woh kaha kisi ki pakad me hain dosto
Kanoon se bhi lambe uske hath ho gaye

Ghayel na jagao inhe tum kehke shayri
Yeh woh bach_che hain jo bhookhe aaj raat so gaye

                                -Sajid Ghayel-


bahoot khoob likha hai...sajid ...aur akhiri sher to....kamaal hai.....

tanha raha mai, jab kahta raha insaaniyat ki baat,
deen-o-dharam pe bola to sab saath ho gaye
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2008, 07:11:50 AM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai...sajid ...aur akhiri sher to....kamaal hai.....

tanha raha mai, jab kahta raha insaaniyat ki baat,
deen-o-dharam pe bola to sab saath ho gaye

Yaar tumne kitna bhari sher keh diya hain tumhe khud andaza nahi hain is sher ko hamesha sambhal ke rakhna ye 2 line anmol hain
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: November 19, 2008, 07:31:29 AM »
Reply with quote
Yaar tumne kitna bhari sher keh diya hain tumhe khud andaza nahi hain is sher ko hamesha sambhal ke rakhna ye 2 line anmol hain

itni ijjat-afzai meri sehat ke liye thik nahi hai yaar...
Logged
peera4u
Guest
«Reply #4 on: November 19, 2008, 08:25:35 AM »
Reply with quote


 Applause  Applause bahut khoob sajid ji

Bhook abhi uske darwaje per khadi hai
Amir-e-shahar hai lekin lalarch kam nahi hoti...

Izzat se kamyi huwi roti agar sukhhi bhi ho
To uss ki lazzat kam nahi hoti.......
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: November 19, 2008, 08:31:59 AM »
Reply with quote
Wah peera jee bohat khoobsurat jawab diya aapne "to uss ki lazzat kam nahi hoti" maza aa gaya   Clapping Smiley. Tareef ke liye bohat shukriya.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: November 19, 2008, 08:51:11 AM »
Reply with quote
Kaise yeh aaj shehar ke mere halaat ho gaye
Jinhe sharminda hu main poochte hue woh sawalat ho gaye

Bikti hain mohabbat yaha har mod har gali
Kuch is darja saste yaha jazbaat ho gaye

Haste hain maa baap par woh itne zaheen hain
Beto ke is kadar aala khayalat ho gaye

Ab woh kaha kisi ki pakad me hain dosto
Kanoon se bhi lambe uske hath ho gaye

Ghayel na jagao inhe tum kehke shayri
Yeh woh bach_che hain jo bhookhe aaj raat so gaye

                                -Sajid Ghayel-


Waah... Ek ek sheir par sau sau "Waah"
Bahut bahut khoob... Sajid Ji..




"Kuch is khoobsoorti se piroyi sachhai, Moti jaise khaayaalon mein..
Lafz aapki Kalam ko chhu kar, Anmol heere aur jawhaaraat ho gaye.."
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: November 19, 2008, 08:54:20 AM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai...sajid ...aur akhiri sher to....kamaal hai.....

tanha raha mai, jab kahta raha insaaniyat ki baat,
deen-o-dharam pe bola to sab saath ho gaye


Kya baat hai... Applause Applause

Itni seedhi, sachhi aur badi baat aur itne kam magar khoobsurat shabd!!!
Sanjeev ji.. Kabhi humko bhi seekhaaiyega apna yeh hunar..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: November 19, 2008, 08:55:32 AM »
Reply with quote


 Applause  Applause bahut khoob sajid ji

Bhook abhi uske darwaje per khadi hai
Amir-e-shahar hai lekin lalarch kam nahi hoti...

Izzat se kamyi huwi roti agar sukhhi bhi ho
To uss ki lazzat kam nahi hoti.......


Bahut khoob kaha aapne bhi Peera Ji..
Aur bahut sach kaha... Thumbs UP
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: November 19, 2008, 09:26:18 AM »
Reply with quote
Waah... Ek ek sheir par sau sau "Waah"
Bahut bahut khoob... Sajid Ji..

"Kuch is khoobsoorti se piroyi sachhai, Moti jaise khaayaalon mein..
Lafz aapki Kalam ko chhu kar, Anmol heere aur jawhaaraat ho gaye.."

Itni izzat dene ke liye bohat shukriya mahi aur bohat khoobsurat sher kaha hai tumne khushi se aakhe chalak padi  Crying
Logged
baadal102
Guest
«Reply #10 on: November 19, 2008, 12:38:17 PM »
Reply with quote
bahut khoob sajid ji bahut hi aache



Baadal
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: November 19, 2008, 12:40:25 PM »
Reply with quote
bahut khoob sajid ji bahut hi aache

Baadal
Thank You Badal
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #12 on: November 21, 2008, 05:06:59 AM »
Reply with quote
nice sharing
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: November 21, 2008, 05:24:20 AM »
Reply with quote
Kya baat hai... Applause Applause

Itni seedhi, sachhi aur badi baat aur itne kam magar khoobsurat shabd!!!
Sanjeev ji.. Kabhi humko bhi seekhaaiyega apna yeh hunar..
lo jee kar lo baat ab diye ko kaha jaa raha hai ki suraj ko roshni dikhaye...
Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #14 on: November 21, 2008, 07:37:01 AM »
Reply with quote
acha likha aapne Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:11:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer