Soteli MA (Step Mother)

by Pooja on June 20, 2007, 06:12:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7694 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
ek koshish is Vishay (subject) per meri bhi taraf se... Insaan jo life mai dekhta hai, ussi tarah ki soch uski ban jaati hai...

Kyun her ek soteli ma per Ilzaam ayya hai
Her kisi naari ne, nahi boora karm nibhaya hai
Kokh apni se janam le, uss jaise koi ho nahi sakta
Aor chor de nari, nari se jalan, yah bhi ho nahi sakta!!

Bahoot mushkil hota, yah farz nibhana hai
Jo banati hai soteli ma, bas ussi ne yah jaana hai
Maare jo khud ke bache ko to wo sahi ma kahlati hai
Ussi wajah se maare jo sotele bache ko, to khudgarj, soteli ma kahlwati hai

Ek hi rishta hota hai sirf nari ka apna, yah baat sabne maani hai
Bant jaata hai wo bhi rishta, uske dukh ki kaya bharpaani hai
Pati sirf uski aulad ka nahi baap, yah dukh kisne pahchana hai
Hai koi aor bhi uske jeevan main yah kadva such kisne jaana hai!!

Bacho ne bhi is rishte ka khoob samaj mai fayda uthaya hai
Her ek ki sahnubhuti lane ke liye, jisne ki parwarish, usko boora banaya hai
Her jagah sirf soteli ma hi galat ho nahi sakati
Samaj ko samjhaye kon, jisko yah baat shayad kabhi samjh aa nahi sakti!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mother by brokenarrow_daiict in English
mother by sunny_bunny in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
AMAZING...DON'T MISS THE LAST ONE..but go step wise... by redwhitegang in Chit - Chat & General Discussion
A step closer to god.. by -Sweetyy- in Shayri for Khumar -e- Ishq
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2007, 01:12:17 PM »
Reply with quote
bhoot acha likha hai aapne pooja ji or divya ji

Iljam nari par kab kisne lagaya hai
par sotala shabad usne bhee pyaa hai

nari soteli hokar bhee mahan kahalyee thee
panna dhay bhee naree ka maan badhaye thee

par nari ne hee naritav ko aaj gavaya  hai
kalyuk me naam usne khoob kamyaa hai

par dushman nari hee hogyee hai nari kee
n maloom to dekh lo kahani ghar ghar kee

hamne to kya devo no pooja hai naree ko
saare pad de deiya the unhone nareeyo ko

kahi durga khadg liye veer naree kahlatee hai
sarswati jee sikha or gyan sabko sikhlatee hai
swar kamal pe lakhsmi jee dhan kee devi kahltee hai

par aaj kha seeta nahi milte satywati sawitri kahi
sirf do kapado badan dikhate miltee hai ab har kahi

is ardhnagn nari ko bhee kya pooja ja sakta hai kabhee
sharm haya ko bhooli hai aaj wo ghana tha jiska kabhi...

netra.
_________________________________________________ _____
aurat ko hamne devi mana hai or mante hai or age bhee mante rahenge
par kya aaj to nari ka roop aap log dekh rahe hai kya wo sahi
hai?

Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2007, 03:56:20 PM »
Reply with quote
Netra ji… maine sirf Soteli MA ke liye likha tha,, apne to sari naari jaati ko hi samet diya hai apni kavita mai!!

Waise apni kavita ki 3rd and 4th line main, app meri kavita se sehmat hote majar aye hai!! (Thanks)

Soteli word ka real meaning kaya hai? Main search kar rahi thi magar kuch pata nahi chala….
Jaise Pooja shbad ka arth hai… aise hi kaya Soteli shabd ka koi aor arth hai… agar kisi ko pata ho to please yaha likhe ya mujhko PM kar de.

Chaliye Netra ji apki likhi kavita ka jawab dene ki koshish karati hu…

Kis. Se aor kyun yah sotela shabd naari ne paaya hai
Ajj apki kavita pard kar, yah jaan.ne ka khayal man mai ayya hai

Mana soteli hokar bhi naari MA kahalwaati hai
Per Ma ke yah do naam hi to deewar ban jaati hai

Her naari ne to nahi yaha apna naritav gavaya hai
Per kaise, kis ke sath gavaya? Kaya yah sawal bhi apke man mai ayya hai?

Dushman naari ko, kisne, naari ka banaya hai
Bate aor pati ke moh ne, ghar ghar mai chakkar chalaya hai

Insaan to kaya Dev bhi naari ki mahima gaate hai
Naari mai chupe her roop ko, wo bakhubi pahchante hai

Kahin durga, kahin sarswati, kahin lakshmi ban jaati hai
Waqat dikhaye jo apni chaal, wahin wo kaali phir najar atti hai

Hai bahoot seeta magar Raam ki najar kahin ab milati nahi hai
Dhakte hai Nari ko kapro main, kyun khud NAR ki najar badalti nahi hai

Mana hai galat kuch nari per her nari ko dosh dene thik nahi hai
Her ek ka hai apna apna roop, her kisi ko saroopnakha kahna thik nahi hai!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: June 22, 2007, 03:56:04 AM »
Reply with quote
Wonderful Pooja di...

Specialy last two para.. well expressed...wonderful reply Pooja Di

Divya
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: June 22, 2007, 04:08:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"

pooja ji namaste,

Sotale shab ka matlab hai dusra ya dusree agar maa hai duree maa or beta hai to dura beta jab pati doosree shadi karta hai to pahle se jo aulad hai wo uske liye soteli hogi or wo ma un bachoo ke liye soteli maa hogi

Mai yah manta hoo kee kai maa soteli ho kar bhee wo pyar deti hai jo sagi maa bhee nahi deti, par ye bhoot kam hai.

Naree ha samaj or har desh kee shann hoti hai mai is par bhoot kuch likhna chataa hoo inkee achayee or boorayee dono ke bare me
par abhi samay kam hai jab me samay milega mai likhunga.

or agar kahi aap dil se heart hoyee hai to mai mafee chahtaa hoo...

netra...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 22, 2007, 09:43:06 PM »
Reply with quote
thanks Divya!!

Waiting Netra ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2009, 05:46:09 PM »
Reply with quote

pooja ji namaste,

Sotale shab ka matlab hai dusra ya dusree agar maa hai duree maa or beta hai to dura beta jab pati doosree shadi karta hai to pahle se jo aulad hai wo uske liye soteli hogi or wo ma un bachoo ke liye soteli maa hogi

Mai yah manta hoo kee kai maa soteli ho kar bhee wo pyar deti hai jo sagi maa bhee nahi deti, par ye bhoot kam hai.

Naree ha samaj or har desh kee shann hoti hai mai is par bhoot kuch likhna chataa hoo inkee achayee or boorayee dono ke bare me
par abhi samay kam hai jab me samay milega mai likhunga.

or agar kahi aap dil se heart hoyee hai to mai mafee chahtaa hoo...

netra...

Still waiting Netra ji....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #7 on: July 14, 2009, 02:45:54 PM »
Reply with quote
Waah Kya KHoob LIkha Hai Pooja Sis,.
Bohat Achcha Subject Hai,.
And Nice One From U Too Netra Bhai,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2009, 04:01:00 PM »
Reply with quote
Shukaria Lil bro!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: July 18, 2009, 05:41:56 PM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooooob Pooja Ji.. Lajawab Peshkash Hai... Bahut Acche Lafzon aapne Apne Jazzbaat Pesh kiye hain.. Applause Applause

aur Bahut acche Netrapal Ji.. aapne Bhi Bahut Khoob Likha hai..!!

**~** Mann **~**
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2009, 05:48:37 PM »
Reply with quote
Waaah aaj hi yeh shayari padne mila...
Bahut accha likha aapne sauteli Maa pe Pooja di and Netra ji  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 18, 2009, 08:22:05 PM »
Reply with quote
Wonderful Pooja di...

Specialy last two para.. well expressed...wonderful reply Pooja Di

Divya

Thanks Divya... likhen main sath mile to shabd apne app kavita ka roop le lete hai..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: July 18, 2009, 10:27:02 PM »
Reply with quote
Nicely presented piece of work on a touching topic Pooja Ji
N a good response Netra Ji but you included all women
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: July 18, 2009, 10:30:47 PM »
Reply with quote
Nicely presented piece of work on a touching topic Pooja Ji
N a good response Netra Ji but you included all women

shukaria Rajesh ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: July 18, 2009, 11:53:04 PM »
Reply with quote
Wah pooja ji bahut khoob ,very beautiful creation,Nethra ji aapne bhi bahut khoob likha. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:12:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer