Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi Loktaantrik vyavastha hai

by khumaar on June 05, 2011, 11:36:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3999 times)
khumaar
Guest
Reply with quote



Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi loktaantrik vyavastha hai
jahan shantipoorna stayagraha karne valon par bhi danda barasta hai

kya aise Bharat ke liye  hi shaheedon ne apni shahadaten di thi
kya aise loktantra ki hi deshbhakton ne aashaayen rakhin thi
kya aise hi swatantrata ke liye Gandhi ji ne daandi yatra ki thi
kya aise hi shashan ki Baba sahab Ambedkar ne parikalpana ki thi
ye kaisa bhrast tantra hai jahan brashtachaar ki baat karna kutsit hai
jahan loktantra tanashaahi hai aur deshhit ki baat karna anuchit hai

Sazishon,dhamkiyun ke sahare kisi andolan ko rokna kaisi budhhimatta hai
Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi loktaantrik vyavastha hai



jahan Digvijay aur Sibbal jaise mantri desh ki chhavi ko daaghdaar karte hain
jahan sarkaar kaun chala raha hai isko chalane wale hi nahi jaan pa rahe hain
jahan sirf adharm araajakta aur kursi se sambandhit hi baaten hoti hain
lekin padosi desh har roz zameen noch raha nazren nahi dekhn pati hain
jahan atanki ke aage ji aur deshbhakt aur sanyaasi ko thhag kaha jata hai
jis Swami Ramdev ko sir aankhon me bithana chahiye use dhokebaaz kaha jata hai

kya bhrastachaar ko samarthan dena usme lipt rahna deshhit hota hai
Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi loktaantrik vyavastha hai

desh ki raajdhani me aaye din police thano ke paas hi apraadh hote rahte hain
dekaiti,chori,kidnaaping,balaatkar aur hatyaayen kar apraadhi shaan se ghoomte hain
wahan ki police dikhayi padti hai to shaantipoorna satyagrahiyun par atyachaar karte hue
lekin ye neta ye afsarshaah nahi rokte to nahi rokte is police ko gundon se hafta lete hue

aisi barbarta se sarkaar,netaon aur police ko kaun sa tamga milna hai
Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi loktaantrik vyavastha hai


desh hit ke muddon ko uithane ke lie azaadi ke 63 saal baad bhi azaadi nahi di jati
janta jaat paat chhetriyawaad se aage badhne lagi to use aatank ki barsaat di jati
kale dhan ke baaren me baat karne ke liye aakhir sahi maayne me kaise tyaar ho koi
kyunki kitne hi mantriyun santriyun ne kali kamayi swiss bankon me hi to hai chhupayi

kale dhan ke liye aaj tak adhyadesh na la pane par sarkaar ka kya kahna hai
Swatantra Bharat me ye kaisa shashan,kaisi loktaantrik vyavastha hai









Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh Kaisi Charagi Hai Ilaaj Kaisa Hai by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Swatantra Diwas ki Hardik Shubkaamnayein by 99% §hå®èèf_Mµñda in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
Kaisa nasha kaisa ye khumar hai by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
MAI BHARAT HOO by NETRAPAL in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
khwaab ke bina shayri kaisi ishq kaisa by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
nirala
Guest
«Reply #1 on: June 05, 2011, 12:25:44 PM »
Reply with quote
hmm…
bro… hila ke rakh dete ho aap…
Logged
sushant mishra
Guest
«Reply #2 on: August 09, 2011, 03:07:36 PM »
Reply with quote
its good ,,,,,,,,,, but if it would be in hindi,,, then that will be better.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:35:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer