Tawaayaf,.

by Jaanasheen on February 22, 2009, 02:36:37 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2995 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Doston Kuch Hattke Likh Raha Hoon, Jo Haqeeqat Hai Kuch Galti Nazar Aaye To Maaf Karna,.




Main Bhi Ek Aurat Hoon, Har Ghar Ki Main Zarurat Hoon,.
Aai Yahaan Majboori Se, Ab Mehfill Ki Main Zeenat Hoon,.

Sabke Taane Main Sehti Hoon, Phir Bhi Chup-Chaap Rehti Hoon,.
Sab Aurton Ki Izzat Bachaati Hoon, Khud Ko Tawaayaf Kehti Hoon,.

Main Na Hoti To Kya Hota, Manzar Duniya Ka Judaa Hota,.
Karte Mard "Shikaar Masoomon Ka, Aurton Ka Haal Buraa Hota,.

Phir Bhi, Samaajh Mujhe Izaat Ki Nazar Se Nahi Dekhta,.
Tawaayaf Bhi Ek Samaajh Sewak Hai, Ye Koi Nahi Sochta,.

Main To Har Raat Suhaagan Banti Ho, Har Din Widhwah Hoti Hoon,.
Kaisi Zindagi Rab Ne Bakshi, Ye Sochkar Apni Kismat Pe Main Roti Hoon,.

Har Khwaaish Ko Maarkar, Badsurat Mard Se Bhi Milti Hoon,.
Main Wo Kali Hoon Murjhaakar Bhi, Har Taraf Khilti Hoon,.

Apni Khushi Se Main Is Dhand Mein Utri Nahi,.
Majboor Hokar Aayi,.
Jab Dard Ki Kahaani Zindagi Se Guzri Nahi,.

________________________________________-Jaanasheen-

Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2009, 02:45:24 PM »
Reply with quote
Nahi azeem mujhe kahi galati nazar nahi aayi. aur
mujhe dard b hua kuch lines padte waqt. Dil ko dukh zarur hua ke
aaj b dunia mein Badnam Galiyan hai.. Nice expression Azeem  Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 22, 2009, 02:48:42 PM »
Reply with quote

waah waah Janasheen bhai.... Applause Applause

behatareen composition...behad acha likha hai.... Applause

Shukriya Kaash Ji,.
Khushi Hui ke Aapne Ise Pasand Kiya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 22, 2009, 02:51:16 PM »
Reply with quote
Nahi azeem mujhe kahi galati nazar nahi aayi. aur
mujhe dard b hua kuch lines padte waqt. Dil ko dukh zarur hua ke
aaj b dunia mein Badnam Galiyan hai.. Nice expression Azeem  Thumbs UP


Thank U Roja Didi,.
Bas Is Subject Ko Likhte Waqt Thoda Darr Laga ke Kahin Kisi Ko Koi Aitraaz Na Ho Mujhse,.

Aur Shukriya ke Aapne Hamaari Koshish Ko, Saraaha,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2009, 02:55:52 PM »
Reply with quote
Thank U Roja Didi,.
Bas Is Subject Ko Likhte Waqt Thoda Darr Laga ke Kahin Kisi Ko Koi Aitraaz Na Ho Mujhse,.

Aur Shukriya ke Aapne Hamaari Koshish Ko, Saraaha,.

Aitraz kaisa Azeem.. sacchayi hai aapne
wohi likha jo sach hai.. Again I appreciate your work.. Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 22, 2009, 02:57:21 PM »
Reply with quote
Aitraz kaisa Azeem.. sacchayi hai aapne
wohi likha jo sach hai.. Again I appreciate your work.. Thumbs UP


Thank U Sis,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2009, 02:58:10 PM »
Reply with quote
wah wah...bahaut acha likha hai apne Azeem bhaijan...kamal ka likha hai...yahan sab apne dard ke upar ya apne aap pe likte hain par apki tarif karni chahiye jop aap dusron ke dard ke liye bhi likte hai jaisa Gareeb ke liye likha aur ab Tawaf ke liye.. Applause Applause i loved this line "Main To Har Raat Suhaagan Banti Ho, Har Din Widhwah Hoti Hoon"...well done Azeem bhai and keep writing...
Logged
divyam
Guest
«Reply #7 on: February 22, 2009, 02:59:21 PM »
Reply with quote
Doston Kuch Hattke Likh Raha Hoon, Jo Haqeeqat Hai Kuch Galti Nazar Aaye To Maaf Karna,.


Main Bhi Ek Aurat Hoon, Har Ghar Ki Main Zarurat Hoon,.
Aai Yahaan Majboori Se, Ab Mehfill Ki Main Zeenat Hoon,.

Sabke Taane Main Sehti Hoon, Phir Bhi Chup-Chaap Rehti Hoon,.
Sab Aurton Ki Izzat Bachaati Hoon, Khud Ko Tawaayaf Kehti Hoon,.

Main Na Hoti To Kya Hota, Manzar Duniya Ka Judaa Hota,.
Karte Mard "Shikaar Masoomon Ka, Aurton Ka Haal Buraa Hota,.

Phir Bhi, Samaajh Mujhe Izaat Ki Nazar Se Nahi Dekhta,.
Tawaayaf Bhi Ek Samaajh Sewak Hai, Ye Koi Nahi Sochta,.

Main To Har Raat Suhaagan Banti Ho, Har Din Widhwah Hoti Hoon,.
Kaisi Zindagi Rab Ne Bakshi, Ye Sochkar Apni Kismat Pe Main Roti Hoon,.

Har Khwaaish Ko Maarkar, Badsurat Mard Se Bhi Milti Hoon,.
Main Wo Kali Hoon Murjhaakar Bhi, Har Taraf Khilti Hoon,.

Apni Khushi Se Main Is Dhand Mein Utri Nahi,.
Majboor Hokar Aayi,.
Jab Dard Ki Kahaani Zindagi Se Guzri Nahi,.

________________________________________-Jaanasheen-






jaanasheen jee,

kya kahane aap ke!

behad khuub likha hai, seedhe dil par asar kar rahi hai aap ki tehreer.. isay paDh ke hame saahir ludhiyanvi saaheb ki Ghazal yaad aa gayee...


aurat ne janam diyaa mardoN ko, mardoN ne use baazaar diyaa
jab ji chaahaa maslaa kuchlaa, jab ji chaahaa dutkaar diyaa

tulti hai kahin deenaaroN mein, bikti hai kahin baazaaroN mein
nangi nachvaai jaati hai, aiyyaashoN ke darbaaroN mein
ye vo be-izzat cheez hai jo, baNT jaati hai izzatdaaroN mein
(sahir)


mujhe aap ki koshish behad achchhi lagiii, keep writing!

best wishes


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 22, 2009, 03:00:46 PM »
Reply with quote
wah wah...bahaut acha likha hai apne Azeem bhaijan...kamal ka likha hai...yahan sab apne dard ke upar ya apne aap pe likte hain par apki tarif karni chahiye jop aap dusron ke dard ke liye bhi likte hai jaisa Gareeb ke liye likha aur ab Tawaf ke liye.. Applause Applause i loved this line "Main To Har Raat Suhaagan Banti Ho, Har Din Widhwah Hoti Hoon"...well done Azeem bhai and keep writing...


Thank U Rahim Bhai, Jo Aapne Hamaari Koshish Ko Saraaha,.
Aur Pasand Kiya,..

May Allah Bless You, Khush Rahein,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 22, 2009, 03:03:38 PM »
Reply with quote

jaanasheen jee,

kya kahane aap ke!

behad khuub likha hai, seedhe dil par asar kar rahi hai aap ki tehreer.. isay paDh ke hame saahir ludhiyanvi saaheb ki Ghazal yaad aa gayee...


aurat ne janam diyaa mardoN ko, mardoN ne use baazaar diyaa
jab ji chaahaa maslaa kuchlaa, jab ji chaahaa dutkaar diyaa

tulti hai kahin deenaaroN mein, bikti hai kahin baazaaroN mein
nangi nachvaai jaati hai, aiyyaashoN ke darbaaroN mein
ye vo be-izzat cheez hai jo, baNT jaati hai izzatdaaroN mein
(sahir)


mujhe aap ki koshish behad achchhi lagiii, keep writing!

best wishes




Shukriya Divya Ji,.

Aur Yaar Aapne kHush Kar Diya Hume Saahir Ji Ki Ghazal Ke Lines Share Karke,.
These Lines Are Superb,.

Aur Shukriya Aapka Jo Aapne Hamari Koshish Ko Pasand Kiya,.

May Allah Bless You,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: February 22, 2009, 03:08:20 PM »
Reply with quote
Thank U Rahim Bhai, Jo Aapne Hamaari Koshish Ko Saraaha,.
Aur Pasand Kiya,..

May Allah Bless You, Khush Rahein,.
Ur most welcome and May Allah bless you too dear bro...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: February 22, 2009, 04:27:19 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Bohat achcha likha hai BhaiJaan..
Logged
Asghr
Guest
«Reply #12 on: February 22, 2009, 06:44:22 PM »
Reply with quote
BAUT KHOOB JAANASHEEN BHAI KHUDA KARE AAP AISE LIKHTE REHAIN.ASGHR
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: February 23, 2009, 04:26:11 AM »
Reply with quote
Bahut hi pyaari tashweer key saath bahut hi painee baateyn bayaan keen hai aapney, Jaanasheen ji!
                               - abd bundeli
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #14 on: February 23, 2009, 04:40:43 AM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai bhai aapne

nahi gunah kee wo ek aurat hai
nahi gunah kee wo mamtaa kee murat hai
laiye aankh me paanee, god me jimmedaree
yahee gunah uskaa, kee wo ek aurat hai....

nahi hotaa vajood kisee kaa jo naree n hotee
nahi janmte  raam n gandhee jo aurat n hotee
kon janegaa ise n ye khud ko ye jaan payee hai
bas yahee gunah hai kee wo ek aurat hai..


netra...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:04:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer