Mere ek bahaut khaas aur pyaare bhai ne mujse kaha 'Rahim social topics par likho..' Main unka shukriya ada karna chahunga kay unhone mujhe yeh hausla diya hai..
Yeh kavita thorre ek adult topic par hai aur aise topic par hai jo mujse related nahin mager phir bhi likh gaya kyun kay yeh samaj ka hissa hai..Kehte hai aurat ki izzat karni chahiye..Prostitutes ya vehshiyan bhi toh aurtein hai..kitne izzat karte hai unki? I doubt..
Sitiyan marte hai, nazar pher lete hai aur bahaut kuch..
Ek baar kabhi iss baat pe gaur kiya hai kay woh aurtein prostitutes paida nahin hui thi balke bangayi hai..Iss samaj ne banayi hai..
Yeh kavita parrte waqt yeh khayal apne zehen main rakhiyega
'One isn't born prostitute..One is made.."..Kisi ka balatkar hogaya toh woh iss business main agayi ya kisi ko maa-baap ne bech diya toh iss business main hai..Kabhi unki ankhon main dekhiyega..shayad kuch sachayian dikh jaye..
Unki baat alag hai jo by nature aisi hi hai..kuch larrkiyan hoti hai aisi..
Kavita se pehle ek akhri baat..Woh jo jism bechti hai unhe toh tanz karte ho mager yeh nahin sochte kay yahan sab bikau hai..Koi Imaan bech deta hai, koi zuban bech gaya, koi doston ko bech deta hai aur koi insaanon ko ya insaanon kay purzon ko bech deta hai..Sochiyega zaroor..Maine bhi ek am se parivar main janam liya hai,
Mager maine na chahte hue bhi apne ashkon ko piya hai..
Koi apni marzi se nahin bechta jism yahaan,
Aisa kaam mujhe zindagi kay halaton ne diya hai..
Apni hawas mitane kay liye istamal karte hai mujhe,
Besharam inhi logon ne mujhe ek gali bana diya hai..
Kaun kehta hai kay main andhera karti hoon,
Biwi aur kam ki thakan se pareshan mardon kay liye,
Mujh jaisi aurtein hi raat ka ‘dia’ hai..
Ager jism niharne kay bajae ankhon main dekhte toh mehsus hota,
Mujhe tumhare sansaar ne hi toh ek veshiya bana diya hai..
Safed suit main gumne walon, apne apko shariff kehte ho,
Kayi baar tum jaise logon ne hi toh ghir kar mera jism liya hai..
Dusron ko bewaffa bulane walon, khud ki astin main dekh lo zara,
Kya kabhi kisi kay zakhmon ko tumne siya hai?
Sabhi toh bikau hai yahan, nakab main gumte rehte hai,
Apne apse aj ek sawal puchlo ‘Khamosh’,
Kya tumne kabhi kisi kay dil pe zakhm nahin kiya hai?
~..Rahim..~..A Silent Heart..~