Vastuvadita aur Vaasna - Samaaj Ko Kis Disha Me Le Ja Rahe Hain Hum

by @kaash on August 21, 2009, 03:16:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2660 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
doston,
is rachna me maine vastuvadita aur vaasna par tanz kia
hai,kaise ye bhawnaayen samaaj ko khokhla bana rahi hain
aaj manushya apni uplabdhiyun par gauranvit hai
par kya aisa hai?
hum agar space tak pahunche hai to apne nuclear
bombs bhi bana lie hain

aaj ka samaaj paison ko jismaniyat ki
bhaag-daud me apna sabkuch gawa raha hai
its imp that we understand it and provide time
to it.

the poem may seem to be little long
i tried to cover as a human beings what
we have achieved and lost.


Ek ek vyakti se samaaj banta hai
Ek ek vichaar vyakti ka mahatvapoorna hota hai
Ye samaaj hamara hai
Ye gulsita hamara hai
Khuda ne badi shiddat se ise banaya
Hum khushi khushi use yaad kare islie banaya
Apas me mohabbat ho,poora vishwa hi ek mulk ho
Yehi sochkar usne mohabbat se hume banaya
Chahta vo yehi tha ki sabhi jannat ko paayen
Jab har shaks haleem ho to kyun koi dozakh ko paaye
Par phir bhi ehtiyatan usne Narak ko bhi bana dia
Galat kaam na kar saken hum bataya usne ise islie bana dia
Magar aadmi ki fitrat kahan aadmi ko hi achhi lagti hai
Bhajan ke saath aksar dil ko shaitaan ki bhi sada sunai padti hai
Pehle mazhab ko baanta phir usne mulk-o-akleem alag alag kar die
Mohabbat hi sikhayi har mazhab ne par usne seeno me andhere bhi rakh lie
Phir jung aur yudh ki barsaaten khoob huin
Kahin aagjani kahin sholon ki hi ghadi huin
Vaqt ka kaam tha chalna vo bechara chalta hi raha
Han magar nafrat ki aag uske dhuaon se vo bhi sisakta hi raha
Idhar mulkon me tanzeem hokar bhi aadmi ka jigar sulagta raha
Ab vo shahar,raajya,kasbon bastiyun,jaatiyun me ise baatne laga
Ye bhi saha Khudaai ne ye soch ke ki Khuda kuch karega
Khuda hairat me hi raha ki uska hi insaan aisa karega

Hum apni tadap ko sochte hain aur sahare dhoondhte hain
Kuch maseehaon ko dekhkar jeene ke bahane dhoondhte hain
Vo Khuda hai par usne islie to hume na banaya nahi sochte hain
Hamara Eeshwar bhi rota hoga hargiz nahi maante hain
Kabhi sochen hum to payenge ye ki ye sach hai
Vo deen hai dayalu hai par uske bhi ashq hain ye sach hai

Insaaniyat ko is kadar raunda hai aadmi ne
Khudaai naam se doori kar li jaise aadmi ne

Kahin anpadhta ko zor dia to kahin qatl-e-aam hi machake rakh dia
Kabhi mandir masjid me ulajh pade aur girijaghar hi jalakar rakh dia
Kahin paise ko di itni ahmiyat ki apna imaan hi bech dala
Kahin imaan becha is kadar ki shaitaan ko bhi sharmsaar kar dala

Rishtey bhi aadmi ab paison se hi tolne laga
Fiarauti me rakam na milne par vo masoom ki garden bhi retne laga

Aye mere Khuda tu kyun ye sab ab bhi dekhta raha

Aaj dosti ke ho mohabbat ke ya kaise bhi hon rishtey
Paise ki drashti aur paise ke mahatva se aage kahan rishtey

Har insaan doosre ke sukh se dukhi dukh se hi khush hota hai
Yehi paribhasha banayi hai aadmi ne jise dekh jaanwar bhi rota hai

Vastuvadita  ki aisi praadhaanta me hum kitne peeche hote ja rahe hain
Kahan gaye vo din jab taumr kum me bhi guzara kar hans ke kahte the swarg ja rahe hain

Rab ne hume pyaar se banaya islie zehen-o-dil me pyaar bhara
Mata-pita ke lie aadar aur chhoto ke lie sneha bhara
mehbub ke lie ishq to doston ke lie dil me mohabbat gadha
parantu insaan ne pyaar ke lafz ko kuch aur hi naam dia
ab hum pyaar ko pyaar nahi vaasna se jodte hain
iske har roop me vaasna ko hi vareeyta dete hain


ehsaas-e-ishq ki paribhasha aaj insaan badalata ja raha hai
har taraf jism jism bus jism insaan ki aatma par kahar dha raha hai


Vaasna ki aandhi chali nahi khud aadmi ne chalayi hai
Hawas ki bhookh insaan ko kahan se kahan le aayi hai
Jism ki talab ne kohraam macha rakha hai
Har nazar ne nazar me jism ko paimana bana rakha hai

Pashchami sabhyata se humne bus itna hasil kiya hai
Unke khule vichaaron ko hawas me hi shamil kiya hai
Galti unki hai ki jo itne bebaak hue ki iske parinaamon ko nahi jaante
Ye sirf krodh,nirasha aur kabhi na khatm hone vali bhookh hai vo nahi jante
Aur hum bhi bus isi manyata ko apnakar apne peedhi aur insaaniyat ki jad kaante ja rahen

Aaj koi ladki raah me dikhe to hum uske jism ko dekhne lagte hain
Aur kuch nahi hota to gande gande bhadde fikren hi kasne lagte hain

Ladkiyan bhi sabhyata ko narrowmindedness kah hansi me uda deti hain
Hum azaad khyaalon ke daur ki hain kah bhoole se bhi dupatta nahi leti hain

Har jagah bus give and take ka zamana sa hai
Naukari ho ya business jism ka vyapaar karna sa hai

Aisa nanga daur hai ki kya kahen Khuda
Akhbaar me bhi dhadalle se chhapne lagi jism ki jab farmayishen Khuda

Paison ki aad me kabhi majboori aur kahin hawas ki chaah me
Jism bikte rahen jism khareede jate rahen hawas ki chaah me

Koi nahi marta bhookhe pet ye har shakhs jaanta hai
phir kyun aaj ke daur ka aadmi hawas ki gulaami karta hai

kahan gaye vo hamari rishi-muniyun ki parampara
kahan gaye Gnadhi ke vachan Laxmibai ki vo veerta
kya isi samaaj ke lie mother Teresa ne apna Balidaan dia
kya isi samaaj ke lie Jesus ne khud ko sooli pe chadne dia
kaun the vo kya chaah un sabhi ki thi jinhone khud par bharosa kia
sabko ko raah dikhayi aur khud ko us raah me chalne ko udhhat kia

Haay kitna nirbal kitna ashaay kitna kamzor aaj insaan ho chala
Aye Khuda koi zinda hi nahi lagta kitni gahri neend har insaan so gaya
bacha hum sabko ata kar apna noor har zehen har kone me mere malik
tu hi har jagah tera hi ye jagat de taufeeq apne har bande ko mere malik


   
Ye kis disha me hum apne samaaj ko lete ja rahe hain
Aakhir kyun vasuvadita aur vaasna me apna sabkuch lutate ja rahe hain
Iska anjaam insaan aur insaaniyat ki barbaadi uski intaha hai
Apni shakti ko pehchaane hum ki hamari takat rooh ki prabalta hai
Jaagna hota hai insaan ka tabhi jab use savera hai lagta
Ek na ek din sachha savera hoga andhkaar nahi tikta
ye zaroori hai ki kisi ko badalne se zyada hum khud ko badlen
Ek ek vyakti se hi samaaj samaaj hai hota hum khud ke ro-ba-ru ho len
Soye hue zameeron me khuda nahi rahta Khudaai ka itna hi to kahna hai
Azaad honge tab jab hum vicharon ko kholen itna hi to azaadi ko kahna hai



Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2009, 04:12:28 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai kaash ji... bahoot khoob!! kitani sundrta se apne itne ghinoni samaj ki burai ko shabdo main bayan kiya hai... kabil-e-tarif hai... bahoot khoob!! Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2009, 08:44:59 PM »
Reply with quote
Wah wah Kaash ji,bahut khoob,wonderful creation.sach kaha aapne.
nice thoughts. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
guhar
Guest
«Reply #3 on: January 09, 2010, 02:47:44 PM »
Reply with quote
do kadam bhadaaye nahi,
ki chaar peeche aa gaye,
ye kyo darindon ke khyaal,
insaani dil ko bhaa gaye.

umda, ....sarvashreshta.......maarmik.....
Logged
Bored
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2010, 09:06:15 AM »
Reply with quote
Bahut Acchay ANdaaz Mai Apnay Sacchi Baat Kahi Hat's Off For U Kash Ji Bahut Lajwaab Rachna Hai Apki
Logged
malli
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2010, 02:21:27 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

@Kaash ji bahut bahut khoob...
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #6 on: June 02, 2013, 05:18:10 PM »
Reply with quote
aap sabhi doston ka tahe dil se bahut bahut shukriya. Usual Smile

I request admin to add posts of my old ids(@kaash & khumaar) to my this new id,if possible.

Once again thanks to all.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:00:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer