doston ye maine violence pe likha hai,aaj ke paridrshya me aaj ke samaaj me hum dekh sakte hain ki hinsa bahut hawi hai.aur hinsa har tabke me vyaapt hai parantu iske bahut badhne se behad khatarnaak parinaam aate hain.maine ispar hi likhne ki koshish ki hai
aaj ka samaaj kyun hinsak hota ja raha hai
aaj ka samaaj kyun insaaniyat khota ja raha hai
kya ye bhi vastuvadita ka hi nazariya hai
ki apne dukh se zyada insaan dooosron ke sukh se dukhi hua hai
aaj har tabke ka insaan jane kaisi peeda pa raha hai
aaj har tabke se hume hinsa ka samchaar mil raha hai
kahin Australia ma hi chhatro ko mara ja raha hai
to kahin desh me naagrikon se swatantrata ka adhikaar chhena ja raha hai
kahin to aaj manushya ne apni tarakkai ke naam par nuclear power banaye
to kahin shanti ke naam par sabhi desh ekmat hone se katraye
hinsa hamesha se hi manushya me vyaapt rahi hai
parantu ye indriya-sukh ki lalsa se badhti ja rahi hai
aaj dene se zyada hum pane ki kaamna rakhte hain
aaj deserving se zyada hum desiring ko mahatta dete hain
rishton me bhi hum khud nibhane se zyada doosron se asha rakhte hain
khud prem se ek bol bhi nahi bolte aur vani prem ki sunna chahte hain
aaj kya neta kya janta kya police sabhi hinsa ke daayre me aa gaye
hume malum nahi chalta parantu desh me hinsa ke naye aaklan saamne aa gaye
aaj ka jaldi krodhi jaldi abhimani ban jata hai
aham ko zara sa thes lagne par sayyam bhool jata hai
maan-abhimaan ki ladai me jagat jhoonjha hua hai
apne aartnaad se apne antarman se jagat vichhoh hua hai
kya desh kya videsh sabhi jagah hinsa ka bolbala hua hai
hinsa ka upchaar bus hinsa hi sabhi ne mana hua hai
hinsa ko shaant karne ke lie bus itna kafi hai
jagat se jana hai jaanne ke saath manna kafi hai
hinsak pravaati se hum achi baton me bhi hinsa dhoondhte hain
hinsak pravatti badhate hain hum tab jab shaant khud hi nahi hona chahte hain
ye charachar jagat shaanti ka sandesh deta hai
ye sansaar prem se banaya Rab ne ye yehi sandesh deta hai
yehi kahti hai aatma shareer se sabhi ki koi sunna nahi chahta hai
madmast sabhi chale ja rahe hain sabhi koi thhaharna nahi chahta hai
aaj ka samaaj kyun hinsak hota ja raha hai
aaj ka samaaj kyun hinsak hota ja raha hai