wo kachan

by NETRAPAL on December 07, 2009, 05:02:36 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1328 times)
NETRAPAL
Guest
Reply with quote


Wo kchan aakhir aa hee gayaa
Roshan deep, aashaaon kaa, ho hee gyaa
Bahataa thaa neer jin ankho se kabee
Un aaknkho ko muskuraanaa aa hee gayaa

Kitnee muddaton ke baad wo kchan aayaa hai
Ghar ka har saksh  mukuraayaa hai
Bekaaree ke abheeshaap se the udaas jo
Kagaj k ek tukade ne unhe hansaayaa hai

Kisee gareeb kee aashaa thaa mai
Badee killat me palaa thaa mai
Lutaa diyaa tha sub kuch mere apno ne
Dhaayee akshar fir pad paaya  thaa mai

Bade-bade kagaj ke tukde , mujhe
Sapano ke saagar me duba rahe the
Ab sab kuch badal jaayeaa
Ye khwaab dikhaa rahe the

N maloom tha,
khwaab khwaab hee rah jayegaa
Noto kaa pulandaa un degree
se bhaaree ho jayegaa
aarakshan muskarayega
kaabliyat pe meree
koi apang mujh se
aage nikal jaayegaa

kismat aaj maharbaan ho gayee hai
ek chithee meree naam bhee aa gayee hai
dekhte the udaas jo mere apne
hoton pe unke hansee aa gayee hai

dekh apno kee khushi
mai bhee khush ho gayaa hoo
ksak dil kee mai chipaa gayaa hoo
jud gayaa hoo sarkaar se
ek kalark ban gayaa hooo

Netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: December 07, 2009, 05:11:03 AM »
Reply with quote
dosto badee jaldbaajee me likhee gayee poem hai abhee editing karne kaa samay nahee hai isme huyee kuch galtiyon ke liye kchamaa chahtaahoo.

Netra...
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #2 on: December 07, 2009, 07:34:37 AM »
Reply with quote
nice.  Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2009, 06:44:18 AM »
Reply with quote
Wah Nethra ji ,great creation,bahut gaherai hai aapke kavita mein.excellent. Thumbs UP Applause Applause Applause :clap:keep it up
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: December 08, 2009, 08:54:32 AM »
Reply with quote
thanks thinkhaatk, madhu jee aapne ise padha

Netra...
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #5 on: December 08, 2009, 09:17:10 AM »
Reply with quote
most well come
netra ji.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: December 08, 2009, 09:24:32 AM »
Reply with quote
Bahut shandaar poem likhi hai Netrapal. Bahut achhi lagi. Ismein editing ki koi khaas zaroorat nahi hai. Nice sharing.
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: December 08, 2009, 09:39:17 AM »
Reply with quote
thanks riyaj for reading and reply

Netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: December 08, 2009, 10:15:12 AM »
Reply with quote

kalark ban gayaa hoo
haa mai kalark ban gayaa hoo
padhaa thaa jo maine
koson door usse ho gayaa hoo
fir bhee yahee kahte hai sab
mai apno kaa bhavishya ban gayaa hoo

software padhtaa tha kabhee
aaj ledger banaa rahaa hoo
ho rahaa hoo gumhraah mai
gumraah oron ko kar rahaa hoo
bas yahee santosh hai man me
apne pitaa kee khushee ban gayaa hoo
haa mai kalark ban gayaa hoo

chian se sote hai sab
mai bhee chain so jaaongaa
khwaab liye man me
apne bete ko padhaaongaa

wo pal bhee aayegaa
meraa betaa bhee muskaayegaa
khwaab hojaayegaa pooraa meraa
jab wo bhee kalark ban jaayegaa

Netra..






Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: December 08, 2009, 10:24:12 AM »
Reply with quote
Wah Netrapal Ji aap to bahut creative hain. Halaate hazra par kya khoob nazm likhi hai. congrat. Nice sharing. thanks.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: December 08, 2009, 10:37:06 AM »
Reply with quote
Netra Ji , Bahut khoob likha hai aap ne
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #11 on: December 08, 2009, 11:09:34 AM »
Reply with quote
Wah Netrapal Ji aap to bahut creative hain. Halaate hazra par kya khoob nazm likhi hai. congrat. Nice sharing. thanks.

thanks riyaz bhaayee...

Netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #12 on: December 08, 2009, 11:10:05 AM »
Reply with quote
Netra Ji , Bahut khoob likha hai aap ne

thanks rajesh jee

Netra..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: December 08, 2009, 11:15:03 AM »
Reply with quote
Most Welcome Netrapal Bhai.
Logged
Bored
Guest
«Reply #14 on: January 24, 2010, 08:58:35 AM »
Reply with quote
Very Nice Netrapaal Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:47:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer