Ye Kahaan Aa Gaye Hum,.

by Jaanasheen on January 28, 2009, 06:50:23 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2515 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Salaam Doston,.
Ye Shayari Un Logon Ke Liye Hai, Jo Apna Desh, Apne Ghar Waalon Ko, Chord Kar Kamaane Aaye Hain,.


Aa Pahooncha Hoon Wahaan, Jahaan Daulat Milti Hai,.
Maa-Baap Ka Pyaar, Na Apno Ki Chahat Milti Hai,.

Baatein Karta Hoon Jab Biwi Bachchon Se Ro Pardta Hoon,.
Kaam Pe Bhi Dil Nahi Lagta, Dil KO Bhi Na Raahat Milti Hai,.

Sochta Hoon, Paise To Aakhir Kamaa Raha Hoon Main.
Lekin Zindagi Ka Ek Anmol Hisaa Gawaa Raha Hoon Main,.

Jab Cheenk Aati To, Sab Ke Haaton Mein Romaal Dekhta,.
Ab Hoke Pardes Mein, Bimaariyaan Bhi Chupaa Raha Hoon Main,.

Eid Ya Diwaali Jab Aati Hai, Aankh Meri Bhar Aati Hai,.
Gharwaalon Se Jab Baat Karta Hoon Bechaini Bardh Jaati Hai,.

Hazaar Rupaiy Bhi Jab Kamaata Tha, Chain Se Main So Jaata Tha,.
Aaj Laakhon Kamaata Hoon Phir Bhi, Neend Hi Nahi Aati Hai,.

Wo Kaisa Junoon Chaaya Tha, Jab Yahaan Kamaane Main Aaya Tha,.
Aaj Sabki Kami Mehsus Karta Hoon, Sab Ki Yaad Sataati Hai,.

Na Kisi Ki Maut Pe, Na Kisi Ki Shaadi Mein Shareek Hota Hoon,.
Kitna Badnaseeb Hoon Main, Soch Sochkar Ye Rota Hoon,.

Biwi Kehti Hai Mujhe, Bachcha Bilkul Aap Jaisa Lagta Hai,.
Jab Phone Par Use Pukaarte Ho, Sunkar Bohat Hasta Hai,.

Kis Se Kahoon Haal Apna, Khud Aansoon Mein Muskuraata Hoon,.
Ghar Waalon Ki Khateer Hi, Main Itne Dukh Seh Jaata Hoon,.

Jab Aata Hai Waqt Ghar Jaane Ka, Khushi Chehre Pe Dekhta Hoon,.
Sab Ke Liye Kya Tohfa Doon, Sab Ki Pasand Ko Sochta Hoon,.

Paise Kamaane Ki Khateer Maine, Har Khwaaish Ko Maar Diya,.
KHud Bhi Raha Bechain Main, Ghar Waalon Ko Bhi Intezaar Diya,.

___________________________________-Jaanasheen-,.

Maaf Karna Agar Kisi Ko Mere Kisi Bhi Lafz Se Takleef Hui Ho To,.
Ye Haqeeqat Hai, Jo Guzarti Hai, Jo Pardes Jaate Hain, Kuch Kamaane Ke Liye, Zindagi Sajaane Ke Liye,.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum kahaan sey kahaan chaley aaye? by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
KAHAAN GAYE TUM by rawattanha in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kahaan mein thaa; kahaan tum they? by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Un key afsaaney jaaney kahaan kho gaye? by abdbundeli in Ghazals
Jaane Tum Kahaan Gaye,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 28, 2009, 07:15:46 PM »
Reply with quote
Shukriya Hanan Ji, Shukriya Pardhne Ke Liye,.
And Welcome To Yoindia.,
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2009, 05:17:38 AM »
Reply with quote
wah wah mere bhai...kamal ka likha hai...sabse badi baat dusron ke dilon ka haal likha hai...bahaut khoob...


dekta hoon apne ap ko aine main toh amir nazar ata hoon,
dil ke aine main bina pyar ke ek bikhari nazar ata hoon...

yeh kaisi zindagi jee raha hoon jisme paisa hi maa-baap hai,
dusre bachon ko unke maa-baap ke saath dekta hoon to ansuon main doob jata hoon...



Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2009, 05:36:57 AM »
Reply with quote
    Applause Applause

Wah Bhaijaan aapne kamal ka likha hai pardes mein
jaate hi humen kuch khushiyan naseeb nahi hoti...


Nice lines DH.... Thumbs UP


 
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2009, 07:24:45 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Azeem and very well supported by DH........ Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek sher yaad aa gaya.....

Mera zameer agar khud_khushi nahi karta
Main kabhi zindagi me naukri nahi karta

                             -NM-
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2009, 08:20:53 AM »
Reply with quote
waah Azeem ....  bahut acche. hota hai yun bhi ke apno se bichadna padta hai .... halatton se ladna padta hai ..... naseeb jane insaan ko kab kha le jaye .... phir to bas yaadooN ke shahre hi zindagi kat-ti hai .. khair ... naseeb pe kiska zor... acccha likha hai ... yun hi likhte rahiye.


HumTum
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2009, 10:00:33 AM »
Reply with quote
Shukriya Rahim Bhai,.
Jaya Didi, Sajid Bhaiya,.
And Humtum Bhaijaaan,.

Well Said Sajid Bhai,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2009, 10:32:16 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob Azeem Applause Applause Applause
kamaal likha hai aapne
zindagi ki ek aur haqeeqat se rubaru karaya sabhi ko
shukriya
notworthy
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2009, 11:18:46 AM »
Reply with quote
Subhan allah , subhan allah , wah azeem ,

Maine mere chute bhai azeem se eak request kit hi ke wo hum sare pardesiyon per eak nazam likhe aur qurbaan jaun is nazam ke wah wah kya likha hai azeem !! alfaz ko goli maro tumhari nazam ka ahesaas pada hai maine kya likha hai kasam khuda ankh bhar –a- meri aur subha se zara busy tha isiliye nahi dek saka magar ap afsos ho raha hai ke ye nazam maine kaise miss kardi !! wah wah azeem !! kya likha hai mer dost !! watan aur ghar ki yaad taza kar di azeem tumne kya nayab saugath di hai tumne pardesiyon ko !! sub se guzarish ke ghazal ke ahesas tak pahonch kar maza len !!


Kya kahene is sher ke !!

Biwi kaheti hai meri ke beta bilkul ap jaisa dekhta hai !! is sher per azeem, meri eak  wah ka ashar aur maqta pesh karta hon tamam pardesi bahiyon ke naam !!  tawajo chahonga subki ye ghazal maine ahesas se kamtari me mubtila hokar likha thi !! pori ghazal kabhi inshallah pesh karonga

Wo kaheti ke mera beta bilkul mere jaise dikhta hai !!
Allah ne shayad meri shakal se milti eak shakal bana diya !!
Ab usse dekhne ko dil karta hai !! magar halath se dar lagta hai !!
Gurbath ne mujhe kitna kamzoor bana diya !!

Kal beti se bath karke aisa laga Qadeer !!
Jaise bhikari ko kissi ne qalandar bana diya !!

Qadeeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 29, 2009, 12:27:09 PM »
Reply with quote
Shukriya Kashish Ji,.
Thanks For Reading,.

Shukriya Bhaijaan, Ab Mujhe Khushi Hui, Ke Meri Mehnat Cheez Hui, Kyunki, Aapse Baat Karke Mujhe Aapke Dil Bechaini Ka Ehsaas Hua, Aur Socha Aap Jaise Aur Bhi Bhai Behan Hain Jo Door Hain, Pardes Mein Hain, Unpar Kuch Likhne Ki Koshish Karoon,.
Aur Shukriya Bhai Ke Aapne Is Pardha,.
Mera Likhna Kamyaab Hua,.

Thank U Brother,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2009, 12:31:28 PM »
Reply with quote

Wo kaheti ke mera beta bilkul mere jaise dikhta hai !!
Allah ne shayad meri shakal se milti eak shakal bana diya !!
Ab usse dekhne ko dil karta hai !! magar halath se dar lagta hai !!
Gurbath ne mujhe kitna kamzoor bana diya !!

Kal beti se bath karke aisa laga Qadeer !!
Jaise bhikari ko kissi ne qalandar bana diya !!

Qadeeer Toopchi

Bohat khoob Qadeer......... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2009, 12:42:37 PM »
Reply with quote
shukriya Sajid jee aur Honey jee..

bahaut khoob Sajid jee aur Qadeer jee..
Logged
stromy
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2009, 01:18:13 PM »
Reply with quote
kamal h yaar.... Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 29, 2009, 01:35:36 PM »
Reply with quote
Shukriya Stormy Ji,.
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2009, 01:52:11 PM »
Reply with quote
waah azeem ji subhanallah!!...kya baat hai..bahut khoob... Applause  Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:50:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer