ye kaisa manzar hai !!

by abdulqadeer on February 04, 2009, 12:13:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2496 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Ye ghazal maine pahele eak mahefil me padi thi !! aur ajj yoindia ke nazar kar raha hon aur is ghazal ke khuch ashar pesh nahi kar sakta mahefil ki nazaqath ko nazar me rakhte howe !! ghazal se mil ja-o- to nawaz dena !!  aur maine kiss manzar ki bath ki hai is ghazal me wo ap samjh jayenge mere ishare se !! aur is ghazal ko mazhabi roop na den to bahetar hoga !!

Dara – dara sa jahan lagta hai !!
Andheri rath aur gharon me dhunwa lagta hai !!
Kal isi gulistan se ruqsath li thi maine !!
Aj lauta hon to qabrastan lagta hai !!

Ye kya manzar hai !! ye kaisi lachari hai !!
Har maqtol ka chahera begunha lagta hai !!

Utha-e-thi talwar jisne dekh ke is manzar ko !!
Daheshat gard ab usse wohi naujawan lagta hai !!

Ye uske zulam ki ibteda hai ya inteha qadeer !!
Jisne khuch kiya hi nahi wo bhi pareshan lagta hai !!

Maqtol ( mara howa ( dead body ) )
Ibteda ,( Begning )
Inteha  ( Ending )

Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaisa nasha kaisa ye khumar hai by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Ya Khuda Yea Kaisa Manzar hai ! by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ye kaisa manzar hai... by brokenbyluv in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
---kaisa ho woh manzar--- by killbill in Shayri-E-Dard
Aa Dekh Meri Raat Ka Manzar Ab Kaisa Hai,. {AS} by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 04, 2009, 12:34:09 PM »
Reply with quote
Ek baar phir se aapne ek naazuk masle pe qalam chalaya hai...Poori ghazal padhne main aati to aur bhi achcha lagta...par aapne shayad sahi faisla liya hoga kuch asha'ar post na kar ke....Bohot Khoob Qadeer Ji

Ek baar phir se kuch likhne ki jurrat kar daali, ma'afi ke saath :

Us shahar main ab har aangan sunsaan lagta hai
Gulshan jo tha kal tak, ab shamshaan lagta hai

Kya khabar kaun tha, thi kisne chalaayi goli,
Humko to bas maaon ka aanchal veeraan lagta hai
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #2 on: February 04, 2009, 12:46:29 PM »
Reply with quote
bahot khub surat qadeer bhaiyya... bahot bahot bahot pasand aaya!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2009, 12:50:25 PM »
Reply with quote
Ek baar phir se aapne ek naazuk masle pe qalam chalaya hai...Poori ghazal padhne main aati to aur bhi achcha lagta...par aapne shayad sahi faisla liya hoga kuch asha'ar post na kar ke....Bohot Khoob Qadeer Ji

Ek baar phir se kuch likhne ki jurrat kar daali, ma'afi ke saath :

Us shahar main ab har aangan sunsaan lagta hai
Gulshan jo tha kal tak, ab shamshaan lagta hai

Kya khabar kaun tha, thi kisne chalaayi goli,
Humko to bas maaon ka aanchal veeraan lagta hai

Bahoth bahoth shukriya janab apne ghazal ko barike se pada aur pariki mahesoos ki hai ghazal ki !! aur maafi ka haqdar hon ke puri ghazal se rubaru na kara saka !! aur subhan allah bahoth umda likha hai apne janab !! dil dad qubool karen nacheez Dr.talat !!
Allah apko khush o qurram rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2009, 12:59:57 PM »
Reply with quote
bahot khub surat qadeer bhaiyya... bahot bahot bahot pasand aaya!

Bahoth bahoth bahoth shukriya bahen !! ye umar ap ki samajh ka maada bahtoh ziyada lagta hai jo is ghazal ko samjha tumne !! allah tumhe qair de aur khush rakhe bahen !! allahhafiz!!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2009, 01:43:25 PM »
Reply with quote
Bahoth bahoth shukriya janab apne ghazal ko barike se pada aur pariki mahesoos ki hai ghazal ki !! aur maafi ka haqdar hon ke puri ghazal se rubaru na kara saka !! aur subhan allah bahoth umda likha hai apne janab !! dil dad qubool karen nacheez Dr.talat !!
Allah apko khush o qurram rakhe !!

Qadeer Toopchi


Shukriya Qadeer Ji Bas aap yunhi yahan likhte rahiye...aur hum seekhte rahen.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 04, 2009, 03:38:02 PM »
Reply with quote
Waah Mere Bhai, Waah Kya Baat Kahi Hai, Kitne Ishaare Samajh Me Aaye Hain,.

Sach Mein You Are Genious Yunhi Likhaa Karo Mere Bhai, May Allah Bless You, Allah Aapko Har Buri Nazar Se Bachaaye, Aur Aapko Aabaad Rakhe,.

Subhan Allah,.


Aur Talat Didi, Kamaal Ki Lines Likhi Hain Aapne Bhi Yahaan, Bohat Achche Bohat Hi Achche,.

Yunhi Hum Bachchon Ko, Aap Ki Shayariyon Se Sabak Dete Rahiye,.
May Allah Bless You,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 04, 2009, 03:57:45 PM »
Reply with quote
Ye ghazal maine pahele eak mahefil me padi thi !! aur ajj yoindia ke nazar kar raha hon aur is ghazal ke khuch ashar pesh nahi kar sakta mahefil ki nazaqath ko nazar me rakhte howe !! ghazal se mil ja-o- to nawaz dena !!  aur maine kiss manzar ki bath ki hai is ghazal me wo ap samjh jayenge mere ishare se !! aur is ghazal ko mazhabi roop na den to bahetar hoga !!

Dara – dara sa jahan lagta hai !!
Andheri rath aur gharon me dhunwa lagta hai !!
Kal isi gulistan se ruqsath li thi maine !!
Aj lauta hon to qabrastan lagta hai !!

Ye kya manzar hai !! ye kaisi lachari hai !!
Har maqtol ka chahera begunha lagta hai !!

Utha-e-thi talwar jisne dekh ke is manzar ko !!
Daheshat gard ab usse wohi naujawan lagta hai !!

Ye uske zulam ki ibteda hai ya inteha qadeer !!
Jisne khuch kiya hi nahi wo bhi pareshan lagta hai !!

Maqtol ( mara howa ( dead body ) )
Ibteda ,( Begning )
Inteha  ( Ending )

Qadeer Toopchi

Bahut Khoob Qadeer Saheb..Hamesha Ki Tarah Lajaawab..

"Yeh Uske Zulm Ki Ibteda Hai Ya Inteha Qadeer
Jisne Kuch Kiya Hi Nahi Wo Bhi Pareshaan Lagta Hai"....Bahut Bahut Khoob.. Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 04, 2009, 04:00:34 PM »
Reply with quote
Bohot Shukriya Azeem......



Aur Talat Didi, Kamaal Ki Lines Likhi Hain Aapne Bhi Yahaan, Bohat Achche Bohat Hi Achche,.

Yunhi Hum Bachchon Ko, Aap Ki Shayariyon Se Sabak Dete Rahiye,.
May Allah Bless You,.

Bohot shukriya Azeem...aur agar doosri baat mere liye bhi kahi hai to bata doon ki main itni badi nahin ki aap mere saamne bachche nazar aayen...Abhi abhi to meri shaadi hui hai LOL

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 04, 2009, 04:02:08 PM »
Reply with quote
Ek baar phir se aapne ek naazuk masle pe qalam chalaya hai...Poori ghazal padhne main aati to aur bhi achcha lagta...par aapne shayad sahi faisla liya hoga kuch asha'ar post na kar ke....Bohot Khoob Qadeer Ji

Ek baar phir se kuch likhne ki jurrat kar daali, ma'afi ke saath :

Us shahar main ab har aangan sunsaan lagta hai
Gulshan jo tha kal tak, ab shamshaan lagta hai

Kya khabar kaun tha, thi kisne chalaayi goli,
Humko to bas maaon ka aanchal veeraan lagta hai

Bahut Bahut Khoob Talat...Aapne bhi Sirf Chaar Line mein Bahut Kuch Keh Diya.. Applause Applause Applause
Logged
Asghr
Guest
«Reply #10 on: February 04, 2009, 04:19:29 PM »
Reply with quote
QADEER BHAI KYA BAAT HAI KYA TAKHYEL HAI ALLAH KARE ZOR EH QALAM AR ZYADA AMEEN.ASGHR
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #11 on: February 05, 2009, 04:30:54 AM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Ji Bas aap yunhi yahan likhte rahiye...aur hum seekhte rahen.

Shukriya janab is izzath afzai ka !! allah apko khush rakhe Dr.talat saheba !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: February 05, 2009, 08:31:39 AM »
Reply with quote
Waah Mere Bhai, Waah Kya Baat Kahi Hai, Kitne Ishaare Samajh Me Aaye Hain,.

Sach Mein You Are Genious Yunhi Likhaa Karo Mere Bhai, May Allah Bless You, Allah Aapko Har Buri Nazar Se Bachaaye, Aur Aapko Aabaad Rakhe,.

Subhan Allah,.


Aur Talat Didi, Kamaal Ki Lines Likhi Hain Aapne Bhi Yahaan, Bohat Achche Bohat Hi Achche,.

Yunhi Hum Bachchon Ko, Aap Ki Shayariyon Se Sabak Dete Rahiye,.
May Allah Bless You,.

Bahoth bahoth shukriya azeem !! izzath afza-e-ka shukar guzar hon !! aur yaar tum bahoth jazbati ho he he he !! allah tumhe khush rakhe aur tumhare jazbe ko nek rah de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #13 on: February 05, 2009, 10:27:46 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Qadeer Saheb..Hamesha Ki Tarah Lajaawab..

"Yeh Uske Zulm Ki Ibteda Hai Ya Inteha Qadeer
Jisne Kuch Kiya Hi Nahi Wo Bhi Pareshaan Lagta Hai"....Bahut Bahut Khoob.. Applause Applause Applause


bahoth bahoth shukriya janab !! apne izzath dene me koikami nahi ki ghazalke saath bahoth insafi ki hai apne !! Allah apko khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 05, 2009, 11:07:09 AM »
Reply with quote
Bahoth bahoth shukriya azeem !! izzath afza-e-ka shukar guzar hon !! aur yaar tum bahoth jazbati ho he he he !! allah tumhe khush rakhe aur tumhare jazbe ko nek rah de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Bhaijaan, Aur Thank U Bhai,.

Aameeen,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:16:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer