Ye kaisi dunia hai..Kaash

by @Kaash on April 16, 2013, 05:30:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 848 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote

Ye kaisi dunia hai jahan bachhe ma-baap ko bhula dete hain
jinhone paala posa bada kia unhe hi ghar se bhaga dete hain


Jahan apni maa-bahen ki dikhaawe ki izzat karne waale log
mauka paate hi auron  ki maa-bahen ki izzat loota karte hain


Ye kaisi dunia jahan bhrashtachaar chaatukarita ka bolbala
jahan media waale insaaf par aankhen ghumaa lete hain


Ye kaisi dunia jahan bachhe tahzeeb yaafta na rahe ab
bade bhai,chacha taau se bhi gaali galauj sa  karte hain


Ye kaisi dunia jahan apraadh khuleaam ho raha hai
Sex racket,kidney racket waale kanoon khareeda  karte hain


Ye kaisi dunia jahan apharan,firauti ke lie chand aadmi
aadmiyat ki hadon se bahut neeche gir jaaya karte hain


ye kaisi dunia jahan nashe aur buri aadaton me lipt log
andhere ko jiwan samajh ujaale se parhez kia karte hain


Ye kaisi dunia jahan ladkibaazi me padne waale
apne mehboob ko hi dhande par bithha dia karte hain


Ye kaisi dunia jahan apni biwi-bachhon me samay nahi
par samay apna time pass ke rishton me dhoondhaa karte hain


Ye kaisi dunia jahan faqat apne jhuthe aham ki khatir
Naathuram jaise log ghandhi ko goli dagha baithte hain


Ye kaisi dunia jahan khemka,kejriwaal  jaise logon par
Neta deshdrohi ke mukadme  chalaya karte hain


jahan bus qitaabon se dharm-o-mazhab chalaye jaate
jiwan me unka aachran ke bajaay log dhikhaawa karte hain


ye kaisi dunia jahan apni ghalti maanne ke bajaay log
fatwa jaari kar bahaduri ka dhol peeta karte hain


ye kaisi dunia jahan khudgarzi-namardaangi ke alam me
hinjde neta janta par hi taakat aazmaaya karte hain


jahan maalik baanne ke lie ghulaam hona zaruri ho
jahan kursi paake neta apna hi mandir banwaya karte hain



zindagi ka naam hai taaumr seekhte aur seekhte jaana yaaron
aham ke parde ko hatakar hi log saleeka-e-ilm seekha karte hain



‘Kaash’ kya kya kahun main is jaali dunia ko aakhirash
Jahan besaharon ke kandhe me log sahaara khoja karte hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dunia.. by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ye kaisi dunia hai by @Kaash in Shayri-E-Dard
Kaash aisi ho dunia by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash jeene ka dunia ko saleeka aa jaaye by @Kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:51:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer