Zaroori Hai

by Prateek Mardia on February 16, 2010, 04:15:33 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1634 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
Tinke tinke jod kar banana aashiyaana zaroori hai
Usey dehtey hue fir dekh kar muskuraana zaroori hai


Hur nayi galti meri mujhey karti hai ishaara
dhundali ho gayi bhoolon ko bhulaana zaroori hai


Nahi is baat ka ub ranj hasratein haasil nahi hoti
Neend aaye to sapno ko sajaana  zaroori hai


Ek badi taakleef aayi to ehsaan yeh saath mein laayi
tamaam choti uljhano ko mitaana zaroori hai.


Raaz rindon ka maikdey mein ja ka milta hai
Thokar lagi hai jub to fir ladhkhadana  zaroori hai

Mere Bebaak hone ka unhey shikwa raha aksar
pur mehsoos hota hai to fir jataana zaroori hai


                                      --- Prateek Mardia


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zaroori to naheen by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zaroori Hay... by faisal314 in Ghazals
Mera Bikhar jana zaroori tha by Kashifib in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Zaroori to nahin... by mixie in Shairi - E - Zindagi
Zaroori Tha by Shaanu in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 16, 2010, 04:20:55 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Bahut Aur bahut Khoob Prateekji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Prateekji, bahut Hi khoobsurat Alfaaz Sajaiye hai aapne..

Aap Mere Sabse Pasandida Shayaro mein ek ho,Plz Regular Aaya Kare Yoindia Mein.

Logged
SUMBUL QAISER
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2010, 04:29:10 PM »
Reply with quote
welldone good job
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2010, 04:52:55 PM »
Reply with quote
Marhaba Prateek ji behad achhi poem likhi hai aapne. Very nice creation.
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2010, 03:26:18 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI    PRATEEK MARDIA JI.....

ZINDAGI ME IK BAAT KO YAAD RAKHNA ZAROORI HAI
JO AAYA HAI USE LAUT JAANA ZAROORI HAI

JO TUNE APNE HAATH SE BANAYA HAI
USKI KHUSHI ZAHIR KARNA ZAROORI HAI
TERA KYA HAI JO TERE HAATH SE JAA RAHA HAI
JAATE WAQAT GUM NAHI ZAHIR KARNA ZAROORI HAI

INSAAN SOTA HAI SAPNE TOH DEKHNA ZAROORI HAI
MAGAR HAR SAPNE NAHIN SACH HONA
USKE LIYE DUKH ZAHIR KARNA NAHIN ZAROORI HAI

MUSHKILEN TOH AATI HAI ZINDAGI MEIN USKA AANA ZAROORI HAI
MUSHKILON KO MUSHKARAKAR  SAAMNA KARNA BHI ZAROORI HAI...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: February 19, 2010, 05:28:50 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: March 02, 2010, 07:11:32 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Bahut Aur bahut Khoob Prateekji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Prateekji, bahut Hi khoobsurat Alfaaz Sajaiye hai aapne..

Aap Mere Sabse Pasandida Shayaro mein ek ho,Plz Regular Aaya Kare Yoindia Mein.




Khwaish bhai, yeh aapki dariyadili hai jo choti si kaushish ke liye bhee taareef ke pul baandh dete hai aap.aapki duyaien saath hai isliye kalam kabhi kabhi kuch tukbandiyaan bana leti hai.pasand karne ke liye shukriya janaab.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: March 02, 2010, 07:14:35 PM »
Reply with quote
welldone good job


peeth thapathane ka shukria janaab.
Marhaba Prateek ji behad achhi poem likhi hai aapne. Very nice creation.

riyaaz ji aapko yeh prayas pasand aaya jaan ke accha laga. aapne isey saraha uskey liye dhanyawaad.shukria.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: March 02, 2010, 07:16:36 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI    PRATEEK MARDIA JI.....

ZINDAGI ME IK BAAT KO YAAD RAKHNA ZAROORI HAI
JO AAYA HAI USE LAUT JAANA ZAROORI HAI

JO TUNE APNE HAATH SE BANAYA HAI
USKI KHUSHI ZAHIR KARNA ZAROORI HAI
TERA KYA HAI JO TERE HAATH SE JAA RAHA HAI
JAATE WAQAT GUM NAHI ZAHIR KARNA ZAROORI HAI

INSAAN SOTA HAI SAPNE TOH DEKHNA ZAROORI HAI
MAGAR HAR SAPNE NAHIN SACH HONA
USKE LIYE DUKH ZAHIR KARNA NAHIN ZAROORI HAI

MUSHKILEN TOH AATI HAI ZINDAGI MEIN USKA AANA ZAROORI HAI
MUSHKILON KO MUSHKARAKAR  SAAMNA KARNA BHI ZAROORI HAI...

cara ji aapne is kavita ko pasand kiya uska dhnyawaad. Aapki panktiyaan bhee khoob jach rahi hai.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #9 on: March 02, 2010, 07:17:55 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

aapki khamoosh awaaz mein jo saranhna ke swar goonjey hai unhe paakar dil gadgad hai. shukria.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: March 02, 2010, 07:19:47 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai Prateek ji  Applause Applause Applause Applause

kaash ji , aapne is kavita ko samay diya aur saraaha uskey liye aapka kot koti dhayawaad.
Logged
malli
Guest
«Reply #11 on: March 03, 2010, 07:52:35 AM »
Reply with quote
Tinke tinke jod kar banana aashiyaana zaroori hai
Usey dehtey hue fir dekh kar muskuraana zaroori hai


Hur nayi galti meri mujhey karti hai ishaara
dhundali ho gayi bhoolon ko bhulaana zaroori hai


Nahi is baat ka ub ranj hasratein haasil nahi hoti
Neend aaye to sapno ko sajaana  zaroori hai


Ek badi taakleef aayi to ehsaan yeh saath mein laayi
tamaam choti uljhano ko mitaana zaroori hai.


Raaz rindon ka maikdey mein ja ka milta hai
Thokar lagi hai jub to fir ladhkhadana  zaroori hai

Mere Bebaak hone ka unhey shikwa raha aksar
pur mehsoos hota hai to fir jataana zaroori hai


                                      --- Prateek Mardia

Bahut khoob  Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 04, 2010, 10:12:43 AM »
Reply with quote

Khwaish bhai, yeh aapki dariyadili hai jo choti si kaushish ke liye bhee taareef ke pul baandh dete hai aap.aapki duyaien saath hai isliye kalam kabhi kabhi kuch tukbandiyaan bana leti hai.pasand karne ke liye shukriya janaab.

Yeh Aapka Badapan Hai Jo Aap Itni Achi kavita Ko Tukbandi Ka Naam De Dete Ho..Bas Aap Zara Plz Kuch Kavitaye Likhte Rahiye,Aapse Humesha Kuch Seekhne Ka Mauka Milta Rahega..
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: March 16, 2010, 07:22:45 PM »
Reply with quote
Bahut khoob  Applause Applause

aapko yeh panktiyaan pasand aayi, aapki taareef ka shukrguzaar hu.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #14 on: March 16, 2010, 07:24:58 PM »
Reply with quote
Yeh Aapka Badapan Hai Jo Aap Itni Achi kavita Ko Tukbandi Ka Naam De Dete Ho..Bas Aap Zara Plz Kuch Kavitaye Likhte Rahiye,Aapse Humesha Kuch Seekhne Ka Mauka Milta Rahega..

khwaish bhai, aap agar isi tarah hausla badhaayenge to shaayad kabhi koi 'kavita' bhee rach paaye meri kalam bhee.aapka dheron shukriya manobal badhane ke liye.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:15:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer