End of Dreams

by Nadaan Alone on September 02, 2009, 05:18:17 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1262 times)
Nadaan Alone
Guest
End of Dreams:

ppl laugh bcoz I'm different..I laugh bcoz they all r d same..senstive..true & know how to face d truth & after all...in search of..?? Woh jo toot gaye hain..bikhar gaye hain..unhe jodne ki, sametne ki koshish karta hoon ...bahut sakoon milta hai..aur kya likhu..jagah kam aur darad ziada hai, sadke un logon ke jo toote khilono se khelte rahe aur phir aur tod ke chal diye..kabhi kabhi darad itna ziada hota hai ki lafzon mein nahi dhal pata...main usi mukaam pe hoon

Apne Taruf Ke Liye Itna Hi Kaafi Hai Nadaan,
 Hum Un Raaston Par Nahi Chalte Jo Aam Hote Hain


jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon,
main apne shehar ka sabse bada fasadi hoon


Milda ohi Nadaan jo muqadran ch likhia,
Main bada taqdeeran naal lad ke vekhia hai


Tamaam Umr Bhatkte Rahe Gulistanon mein,
Kisi ek bhi Phool mein Wafa ki Mehek nahi mili,
Hawas ke Naam Pe to Moonh khul Gaye Khazanon ke,
Wafa Ke Naam pe Maanga to Bheekh Tak Nahin Mili


Suna hai sharab har gam bhula deti hai lekin,
woh mujhe aur yaad aya jab samne jaam aaya,
Koun jaane kaisi gardish mein hai tera sitara Nadaan..
humein phir chalna para jab bhi rukne ka muqaam aaya


woh jo ishq tha junoon tha,
yeh jo hijar hai naseeb hai


orange]ye wafa to un dino ki baat hai Nadaan,
jab insaan sache aur makaan kache hua karte the


Bhoole Hain Rafta Rafta unko Muddaton Mein Hum Nadaan,
ki Kishton Mein Khud-Khushi Ka Maza Humse Puchiye


Agar yakeen nahi aata to Aazmaye mujhe,
Woh aaina hai to phir aaina dikhaye muhje,
Ajb chiraag hoon Din Raat jalta rehta hoon,
Main thak gaya hoon hawa se kaho BUJHAYE mujhe


Jab bade bade iss jung mein haar gaye,
To koi qayar bane to kya tazoob hai,
Jab alfaazon ke ilawa koi saath na diya,
To hum Nadaan bane to kya tazoob hai !!


Haan chalak jaate hain 1 - 2 aansu lekin,
mera zarf mujhe khul kar rone nahi deta

[color=]Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
Jise hum dhoondhte the apne hathon ki lakeeron mein,
Woh kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha !


dekhen ke ab umeed pe jaate hain kahan talak Nadaan,
unban si chal rahi hai khuda se kuch in dino !!


jee karda e Zindagi de 2 hi ghutt karan,
1 tere aoun te peevan te dooja tere jaan te bharan !


[color=lime green]Aankho mein aansu bhi hai muskaan bhi,
Dhaagon mein gaanthe bhi hai sandhaan bhi,
Ye dil mein kaisee kasak hai,
Meri chaahat ajeeb bhi hai..Nadaan bhi[/color]

ansu ka koi rang nahi..darad ki koi zaat nahi,
dil toote to hass de Nadaan !! rone waali koi baat nahi !!


kisi ke vaste rahe kahan badalti hai Nadaan,
tum apne-aap ko badal sako to chalo..
yahi hai zindagi, kuch khuaab.. chand umeedein,
tum in khilono se behal sako to chalo !!


apne agaaz se aajtak ye zindagi,
teri hi yaad main gum rahi,
phir bhi jaane kyon yeh ihsaas hai,
jaise chahat meri kam rahi


Mujhe Gumaan Hai K Chaha Hai Buhat Zamane Ne Mujhe,
Main Azeez To Sab Ko Hoon Magar zaruraton Ki Tarah !!


Manzil safar mein thi, Qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar raaston mein tha


umr-e-daraaz se maang ke laye the 4 din,
2 arzoo mein kat gaye, 2 intezaar mein!!


badan ke dono kinaron se jal raha hoon main,
ke choo raha hoon tujhe, aur pighal raha hoon main,
main khwaab dekh raha hoon k tu pukarta hai mujhe,
aur apne jism se bahar nikal raha hoon main!!


..ye chand sheyer hi poori zindagi biyaan kar rahe hain !! main bahut thak gaya hoon..ab mout jaisi sakoon bhari neend chahta hoon..baazi kuch yu saze ki Nadaan ko Nadaan mile..sab kuch yahan likh diya hai..koi bhi scrap/swaal na karna plz..kya yaar !! teri is rangeen duniya mein kabhi dil na laga paye..kaash jawaani ke pehle dino mein hi mar gaya hota..to sach mein hi ab tak koi sitara ban gya hota..na jane woh kya log the..jab woh paas the tab bhi dil rota tha..aur ab jab woh door hain tab bhi dil udaas hai..pata nhi dil ko kis anjaan shey ki talash hai..ajeeb dard hai jo dil ko aaj bhi abaad kiye hue hai..har raat kisi na kisi ka gam mere saath sota hai

http://www.orkut.co.in/Main#Profile.aspx?uid=9815515702265382529
[url]http://www.orkut.co.in/Main#Profile.aspx?uid=9815515702265382529
[url]http://www.facebook.com/Nadaan.End.of.Dreams
[url]http://nadaan.friendcircles.com/
[url]http://www.hi5.com/friend/p85312170--Nadaan_End%20of%20Dreams--html
[url]http://sweetcircles.com/myprofile.php?profileid=Mjg2Mg==
[url]http://forum.desicomments.com/showthread.php?t=14944&highlight=Nadaan
[url]http://rangla-5ab.com/forums/showthread.php?t=2454
[url]http://profiles.friendster.com/27862762
[url]http://profiles.friendster.com/114458505


passions:

Some words are best said when they are left unsaid.....

Ab to mehfil se bhi hota nahi kuch gam ka ilaaj,
Pehle tanhai bhi gam bant liya kerti thi

hum pehnenge khud apna kafan apne hi haathon,
auron pe bharosa na kiya hai na karen ge

kuch yun bhi bad-hawaas hue log andhiyon mein,
jo pade khokhle the unhi se lipat gaye


sports:

Jise Barish ke paani mein baha kar Muskurate the,
Mujhe Kagaz ki woh Kishti zara phir se bana dena


books:

[teal]Shabad nahi tareef ko apni Nadaan, Tamaam umar kitabon ka karobaar kiya !!!

Galat nahin key zamaney mein lajawaab hain hum.....
Samajh sakey na koi woh kitab hain hum

Apni to mohobbat ki itni si kahani hai,
tooti hui kashti tehra hua pani hai,
ek fool kitabon mein dam tor chuka hai,
magar kuch yaad nahi ata yeh kiski nishani hai

....chitta lahoo (first novel of my life ), pwitter paapi, how to win, khushwant singh, reading novels....specially true stories....Shiv Batalvi....etc
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shattered Dreams by shamima abbas in English
I wish I could…. Unfolded Dreams !! by sahil2629 in English
!!!..In my dreams..!!! by nashwani in English « 1 2  All »
Dreams by deepansh in English
Dreams by sukhbir052@gmail.com in English
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 02, 2009, 05:22:05 PM »
Very detailed introduction Nadaan Alone ji.

Apka Yoindia mai sawagat hai!!!
Logged
smardia
Guest
«Reply #2 on: September 02, 2009, 05:39:16 PM »
Bahut rangeen hai aapke sapno ka annt.....

Shuruaat ko annt kyo keh rahe hain aap Nadaanji ?
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: September 02, 2009, 06:59:50 PM »
Wah wah Nadaan ji,bahut khoob,nice introduction.
Welcome to yo. hello Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2009, 04:38:21 AM »
Welcome to Yoindia and Enjoy your Stay
Logged
Nadaan Alone
Guest
«Reply #5 on: September 06, 2009, 06:06:26 AM »
Bahut rangeen hai aapke sapno ka annt.....

Shuruaat ko annt kyo keh rahe hain aap Nadaanji ?

dost agar ye shuruwaat hai to ant kaisa hoga ....kabhi kabhi zindagi mout se badtar ho jaati hai ...to phir insaan mout mangta hai .. mout use sakoon de sakti hai ...main mout maang raha hoon ...par shayed woh khuda bhi behra ho gaya hai ...ye ant hi hai ..is se badke aur kya ant ho sakta hai yaar....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: September 06, 2009, 08:02:44 AM »
Nadaan ji aapko toh khuda ko shukriya karna chaiye ki aap roz naya subha naseeb
hota hai,kitne aise bhi log hai jo hospitals mein beemaar hai aur apne zindagi ke liye bheek maangte hai aap toh bahut khusnasseb hai.hum sabke paas kuch na kuch dhuk hai par phir bhi shukrguzaar hoon uss khuda ka.aapko dil chota nahi karna chaiye .nothing is impossible .every thing is possible.ek naya shuruhaat kar .zindagi yanhi nahi rukhti.God bless you n give you peace .sorry agar main kuch galat kahi ho toh.tke care.
Logged
smardia
Guest
«Reply #7 on: September 07, 2009, 05:38:55 PM »
Ey dost yu n ho nirash tu, abhi safar lamba hai
Gumon k daurr tou aate hain aur chale jaate hain
Ye nahi hai zindagi ki saanjh,nai subah aati hai
Nadaan hai tu nadaan n ban tu,abhi basant baki hai



dost agar ye shuruwaat hai to ant kaisa hoga ....kabhi kabhi zindagi mout se badtar ho jaati hai ...to phir insaan mout mangta hai .. mout use sakoon de sakti hai ...main mout maang raha hoon ...par shayed woh khuda bhi behra ho gaya hai ...ye ant hi hai ..is se badke aur kya ant ho sakta hai yaar....
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: September 12, 2009, 03:33:47 PM »
Nadaan ji har kisi ki zindgi mein ek aisa waqt zarur ata hai jab har koi toot jata hai..use zindgi ka ant nhi kehte wahi tou zindgi ki asli shuruat hoti hai..kisi k aane se ya kisi k chale jane se zindgi nhi rukti dost..aap is zindgi ki kadar kare kisi k liye khud ko tabah karna thik nhi..khuda bhi unki maddat karta hai jo khud ki maddat karte hai...apne upar sahi likha hai...aap agar khud nhi muskura paate tou dusro ko muskurahat dijiye yakeen maniye bahut sukoon milega...zindgi kabhi khtm nhi hoti dost...vo tou chalti rehti hai aaj hamari hai kal kisi aur ki hogi...sirrf raahi badlte hai raste nhi...

bhagwan apko hamesha khush rakhe..take care... happy9
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:22:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer