wazida
Guest
|
salaam walaikum..mera naam wazida hai... maine yahan ek kahani padhi jis ka naam tha ek sachche shakhsh ki sachchi kahani jise padhne k baad main bohat roi jb jb maine wo kahani padhi tb tb mujhe rona aaya jaise wo sb meri ankho k samne ho rha ho... mujhe kahani likhna ya shayari krna nhi aata......pr jb maine wo kahani padhi to mujhe laga shayad main yahan apna dil kholke sb kuch likh skti hu.....main isse kahani nhi kahungi ye meri zindagi hai jo main likhne jaa rhi hun.........aap log keh skte hain ki maine zindagi jeena hi char saal phle shuru kiya tha.....main tb 1st year me thi... hum bohat sari frndz thi jo roz raat ko baat krti thi confrence.... achchank ek din mere ph.p kisi unknown no. se call aayi.... maine ph. uthaya to kisi ladke ki awaaz sunai di...maine ph. krne ki wazah puchi to usne kisi ladke k bare me pucha maine wrong no. kehke ph... rkh diya......agle din phr ussi no. se cl aaya aur phr usne waise hi kiya aur maine wrong no. kehk ph. kaat diya.......ab roz mujhe wo ladka ph krta aur kisi k bare me poochta aur main wrong no. kehk ph kaat deti....isi tarah ek hafta beet gya... ek din jb usne ph kiya to maine usse danta ki yahan faltu mein ph kyu krte ho... to wo kuch na bolke ph... kaat diya... phr 2 3 din ph.. nhi aaya...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 10, 2010, 07:00:23 AM » |
|
Welcome to yo Wazida ji .
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #2 on: August 10, 2010, 11:08:55 AM » |
|
Aapka Yoindia mein khairmaqdam hai Wazida ji.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sky Blue
Guest
|
|
«Reply #3 on: August 10, 2010, 12:08:58 PM » |
|
to YOINDIA wazida ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
wazida
Guest
|
|
«Reply #4 on: August 13, 2010, 07:22:09 AM » |
|
shukriya aap sab ka...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sky Blue
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 14, 2010, 03:21:54 AM » |
|
aage bariyay ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 14, 2010, 07:17:41 PM » |
|
Welcome to Yoindia, Wazida Ji Kahan dichasp hoti ja rahi hai Aage bhi likhye na
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #7 on: August 20, 2010, 08:10:35 PM » |
|
Wazida Sahiba aapka yahaaN kahiromaqdum hai......
Jee aapki kahani bhi padh lii... Kafi dil chasp hai... Per aap jo kah rahi hai ke aap koi story writter nahi hum aapki yeh baat ko kharij karte hai....
Aap bahut achchi aur zahin story writter hai... yeh baat saaf hai jis tarha se aapne apni story ko dono baar stop kiya .. Usse saaf zahir hai ke aap kafi badi aur aala darje ki story writter hai....
Aap apni story jari rakhiye..... Hume intezaar rahenga ke aage kya hua janne ka...
Khush rahiye... Khuda Hafez...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #8 on: August 20, 2010, 08:12:46 PM » |
|
......... still waiting
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #9 on: August 21, 2010, 03:37:23 AM » |
|
hmmmm.......fir kya hua
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #10 on: August 25, 2010, 08:07:29 PM » |
|
Wazidaa Sahibaa....
Shayad aapki story yahaaN khatam ho gayi hai.... Badi purani baat hai.... " Pyaar andha hota hai" Par aapse aik baat kahte hai yeh humari pesonal baat hai... sab isse ittefak rakhte hai nahi rakhte hai yeh nahi pata...
Humari nazar meiN pyaar naam ki koi chidiyaa nahi hai... Yeh bus ek waqti atraction rahta hai... aur waqt ke saath saath bahut kuch badal jata hai, jiske liye aap jaan tak dene ko taiyaar ho jate hai... Woh aapko aapki kitni badi nadani thi samjh meiN aa jati hai.... " Khuda ne har insaan ke aage kayiN raah diye hai, aur har raah per uski alag taqdeer likhi hoti hai... woh jis bhi raah ko chune usi hisab se uski taqdeer aur zindagi badalti hai... Koi future nahi bata sakta.
Wel hum yahaaN yeh kah rahe the ke humne na jane kitne baar is pyaar ka ahsaas kiya hai, hum khud nahi jante ... per sachcha pyaar sirf aur sirf in hi rishtoN meiN hai.. Jo rishte aapki zindagi se jude hai... sabse paheli Maa phir Papa phir bahen aur phir bhai se jo sachcha pyaar hai woh taumar saath rahega aur humesha sachcha hi rahenga...
Baki jo pyaar hai yeh us chamkte tare ki tarha hai jo pal meiN tim timate hai aur pal meiN gayab ho jate hai... Yeh woh khawab ki tarha hai jo pal bhar ke liye achcah lagta hai per uska end waise hi hota hai jaise .. nind se jagna... yehi hakheekhat hai.......
Khair Allah aapko sahiN raah dikhaye... Khush rahiye..... Khuda Hafez......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #11 on: August 25, 2010, 08:14:45 PM » |
|
bht kuch keh sakte hain iss topic pe .....par chup rehna behtar hai......
pyar sab k liye alag ehsaas hai..wo wahi feel kar sakta hai aur wahi samjh sakta hai koi dusra nahin.....
bas iss ehsaas ko feel kijiye...bahas nahin....
pyaar pyaar hai chahe jis rup me mile ..wo paak aur ruhh se juda hota hai...sukun deta hai aur bas zindagi ban jata hai......
pyaar ....ek khubsurat ehsaas....jise har insaan ko ek bar mehsus jarur karna chahiye..... ye mera manna hai....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #12 on: August 26, 2010, 05:51:35 AM » |
|
Main bhi sehmat hoon Kasak ji se... sach me kabhi socho to ek haseen sa khwaab lagta hai pyaar.... kisi kisi ka ye khwaaab poora hota hai to kisi ka adhura hota hai... jise mil gaya wo khushnaseeb aur jise na mila wo bhi thode waqt ke baad bas yaadon me hi rehta hai...
pyaar jisne kiya aur poora na hua wo zindagi me ek samjhauta kar leta hai kisi aur ko chunke.... kuch ke liye ye samjhauta ek baar phir se pyaar ka roop le leta hai aur kuch ke liye....bas aaansoo...
jaruri nahi ki pyaar sirf unhi se ho sakta hai jinse khoon ka rishta ho, pyar kisi se bhi ho sakta hai... ye bhi jaruri nahi ki wo insaan ho... pyaar jaanwaron se bhi kiya jaata hai...
pyaar me sirf pyaar hota hai... aur iske alaawa kuch nahi hota... mujhe bhi pyaar hai... shayad apne aap se.....!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #13 on: August 26, 2010, 06:15:52 AM » |
|
main aapki haalat samajh sakta hoon aur aapse sehmat hoon... isko main attraction kisi haalat me nahi keh sakta... mohbbat isi ka naam hai.. shuru wo attraction se hi hota hai par baad me sirf mohabbat reh jaata hai...
aur aap please bura mat maniye... dil se likhiye... hum hain aapse baat karne ke liye... aapki baat sunne ke liye... bas jo dil me aaye likhte rahiye...!!!
khush rahiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #14 on: August 26, 2010, 06:31:17 AM » |
|
haan wazida ji ye pyaar hi hai...
aur pyaar sirf hasil karne k liye nahin hota..wo hume mile ya na mile wo har pal dil me bas ta hai... kai bar iss pyar se jyada wo pyar hamare liye keemti ho jata hai jise humne uss waqt se paya jab hum iss duniya me aaye... aur agar uss puyar k liye hum apne iss pyar ki fikr chhod den to aage jakar bhale hi dil me usse paane ki tees uthti rahe par ek sukun jarura hota hai k aapne unke sath galat nahn kiya jinhone aapko usswqt pyar diya jab aapko sabse jyada jarurat thi......
apne family and apne apno k liye agar hum apni khushi nazar andaaz karden to koi badi baat nahin .... karke dekhiye aapko sukun milega.... haan dard jarur zindagi bhar rahega apne pyaar ko kho dene ka.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|