==== Discalimer : Jo bhi is mazmoon mein likh gaya hai , iske liye main nahi mere jazbat zimmedar hain ====
=========================read and enjoy============
Pehle kuch mere watan lucknow shehar ke baare main
-----------------
Talluq lucknow se hai, wahi lucknow jise log nawabi sheher ke naam se yaad karte hain.
aur bhi bahut si khususiyat mashhoor hain lucknow ki , jaise yaha ka lab o lehja aur takalluf.
Main dilli mein bhi raha hun aur Hyderebad mein bhi,
ye to sach hai ki Lucknow ke lab o lehje mein jo shayestagi hai wo kahi nahi mili, ya mujhe dikhi nahi.
Lucknow ki shayesta zuban Iski misal log kuch mazahiya andaz mein yun bhi dete hain ke,
Lucknow ke log agar gaali bhi dete hain to usmene bhi tameez ka lihaz zaroor rakhte hain.
Misal ke taur wo yun kahenge,
"Dekhiye hum keh rahe hain .. Aap humse na uljhen... aur is andaaz mein guftugu na farmaen.
hame bhi ghussa aa gaya to, hum se bhi aaapki walida mohtarma ki shaan mein gustakhi ho jayegi" !!!!
Wo is shayestegi ke kiya kehna chahte hain ya kiya keh diya hai , aap samajh sakte hain
.
Waise ye bhi sach aaj kal bahut kuch badal gaya hai.
jaha.n tak takalluf ka taalluq hain , uspe pe ek mazahiya waqia mashhoor hai , pata nahi haqiqat hai ya kisi ka banaya hua hai.
Shayad aap logo ne suna hoga.
Ek martaba do(2) Lucknowi, (purane nawab) jinme kucknow ka mizaj koot koot kar bhara tha, kisi railway station per
"Toiltes" ke darwaze par ek hi waqt pahunch gaye.
Ab kiya majaal ke , apne mizaj se rugardani ho jaye , dono ki "pehle Aap" "pehle Aap" ka girdan shuru ho gayi.
Kisi ne bhi khud is khudai awaz (nature's call) per jaane ki pehel nahi ki aur "pehle aap" ka nara lagate rahe.
jab kaaafi der ho gayi to akhirkaar Ek lucknawi ne lajajat se kaha "Janab, aap hi chale jayen, Hum to farigh Ho chuke hain "
===
Lucknow mein aisa bhi nahi ke alfaz mein sab hi mahir hai , kuch cheeze apni sahulat se bigaad bhi lete hai.
Lucknow, Aminabad ke qareeb ek jageh "Kallan ki laat"( T as in TATA) ke naam se mashhoor hai , magar batane wale batate hain wo 'Christian cemetery' hai
aur usme ek British "Colonel" ki qabr hai jispar ek minar hai , jise 'laat' bhi kehte hain .
To goya "Colonel ki laat", "kallan ki laat" ban gayi.
===
Kuch Shayari ke talluq se:
--------------------------
Hum kisi lihaz se shayar nahi hain , na hi kisi bade shayar ke paas zano-e-adab tay kiya hai.
chand alfaz likh kar shayari ke naam per kisi website par daal dete hain. phir intezar hota hai "koi to padhe"... afsos ..
magar haqiqat hai alfazo ko daad nahi milti shayary ko zaroor milti ahi. magar lage rehte hain....
Kuch likhne ka shouaq hamare ek dost ki marhoon-e-minnat hai ,wo koi bade shayar nahi the, zara 'copy cat' shayar the.
kabhi kabhi shayri ki koshish bhi karte the.
Ek sher wo bahut sunate the , pata nahi unka tha ya kisi aur ka:
"Shamma ek Mom ka toda hi to hai
Aag lagayi hai to jaan aayi hai"
Kaafi pasand hai mujhko, kam aur asaan alfaz -magar gehra matlab.
Jab bade shayaron ke kalam padhta hun , to unki soch aur gehrai ki daad deta hun.
Mujhe koi afsos nahi hai kiyon ki mere sher silf alfazon ki tikdambazi hi hai, apni auqat bhi yahi hai.
Kuch jo seekha shayari ke baare mein.
------------------------------------
Naye (budding)shayar aksar pehle likhte hain , jab unhe khud lagta hai ki main shayari likh raha hun ya kahani likh raha hun??
phir usool maloom karne ka hosh aata hai.
Magar "der ayad Durust aayad"
mere un 'copy cat' dost se aur websites dekh kar jo maloomat usko hai , usko share kar raha hun , kisi ko to fayeda hoga.
-- Shayar do tarah ke hote hain
- Khuda-dad shayar(god gifted) :
ye wo shayar jo ghaliban mazmoon sochte hain aur sher apne sare usulon ke
sath unke zehan mein aa jata hai.
- khud-sakhta shayar( self styled):
ye wo shayar hain , jo mashaqqat utha kar sher banate hain. ye bichare ,
radeef qafiya banate hain phir mazmoon ko
usme thoosne ki koshish karte hain , aur shayad in tajurbat se
shaayri to kar lete hain,
magar wo baat jo "Khuda dad" shayaron se barjasta aur
asaan alfazon mein ho jaate hai , wo baat aam tuar se 'Khud-sakhta' shayaron mein nahi aaati.
Magar "Khuda meherban to "gada" pehelwan" (Note: Is kahawat mein shayad lafz "gada" ki jage log "gadha" ka istemal kar jate hain
,God knows what is correct)
-- usoole shayari:
Jo maine samjha hai , shayari ke 4 murakkabat hain(Disclaimer: Its my undestanding , I may be wrong)
1. Mazmoon/mauzu : jaise koi husn-o-ishq par likhta hai , koi bewafai par , koi siysat per koi , mashhoor shakhsiyat par.
mazmoon ya mauzu ki buniyad per sher ya manqabat hai, ghazal hai, noha hai, ya qaseedaH hai.
2. Beher : Simple terms meN behr lafz ki tarteeb ka naam hai.
Bahut si bahoor hain magar aik aam taur se istemal mein hoti hai.
jaise :
Faa-i-laa-tun / Faa-i-laa-tun / Faa-i-laa-tun / Faa-i-laan
2-1-2-2 / 2-1-2-2 / 2-1-2-2 / 2-1-2*
* 2= Long syllable and 1= short syllable
(these are just dummy words created by ustaad poets for our ease and easy to remember)
Example
Example:
dil ki bechainii ne apnaa kaam aakhir kar diyaa
tujh se mere raabte ko aam aakhir kar diyaa
2 -1 - 2 - 2 2 -1 - 2 - 2 2 -1 - 2 - 2 2 -1 -2
Faa - i - laa - tun Faa - i - laa - tun Faa - i - laa - tun Faa - i - laan
dil ki be - chai - nii ne ap - naa kaa - m aa - khir kar di - yaa
tujh se me - re raa - b - te ko aa - m aa - khir kar di - yaa
-> Mere khayal mein agar beher sahi ho sher dekhne se hi balanced lagta hai.
3. Qaafia:
*Qafiya Alfazon ka wo ham wazan pattern hai jo sher ki har doosri line mein **radeef se pehle aata hai
Example :
chupkay chupkay raat din aansu bahaana **yaad hai
ham ko ab tak aashqi ka wo *zamaanaa **yaad hai
baahzaaraan iztiraab-o-sadhzaaraan ishtiyaaq
tujhsay wo pahlay pahal dil kaa *lagaanaa **yaad hai
tujhsay miltay hi wo baybaak ho jaanaa meraa
aur teraa daanton main wo ungli *dabaanaa **yaad hai
--> Uper ki misal mein *zamaanaa ,*lagaanaa aur *dabaanaa *Qafiya hain
4. Radeef :
**Radeef wo word/phrase hai jo har sher ki second line mein repeat hota hai .
--> IMP *** Both lines of the very first sher (matla), usually end in the same radeef.
Example :
chupkay chupkay raat din aansu bahaana **yaad hai
ham ko ab tak aashqi ka wo *zamaanaa **yaad hai
baahzaaraan iztiraab-o-sadhzaaraan ishtiyaaq
tujhsay wo pahlay pahal dil kaa *lagaanaa **yaad hai
tujhsay miltay hi wo baybaak ho jaanaa meraa
aur teraa daanton main wo ungli *dabaanaa **yaad hai
In your example, it'd be **"yaad hai."
-->See the first sher (matla) having same radeef **yaad hai
Akhir mein , jaise aksar hota hai , jab koi sher usoolon ki pabandi nahi karta hai , usko 'Jadeed' shayari ka naam de diya jata hai.
sab kuch azadi ke naam per ho raha hai
Kuch totke( please verify, its my understanding) :
1. Agar kisi kalam main , Radeef aur qafiya ka istemal nahi to wo misre kehlaynge Sher nahi (**** Jadeed shayari;) )
2. Jis sher mein **radeef ka istaymaal na ho ,aise kalaam ko Ghair.muraddaf kehte haiN.
3. Agar kisi kalaam meN qaafiay ka istaymaal na keray aur us kalaam meN radeef shaamil ho aur misre bhi behr meN kahay ga'ay hoN to aisi kaaviSh "masnavi" kahte hain.