Tarruf - Ek Baar fhir se

by ASIF on February 18, 2021, 07:54:00 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 646 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Hello dosto,

Hope u guys fit and fine dosto main aapka yoindia member aap sabse ek Baar fhir mukhaatib hua hoo...ye meri nayi user id hai Asif Naam se shayad aap logo ne pechan liya hoga khair yoindia se mera naata kaafo purana hai main pichle 10 saal se ya Yun keh lijiye ki aapke is lekhak ne apni pehchan yahi is platform se banayi hai aur  main shukraguzaar hoo yoindia admin ka jinhone shuruwat se mujhe support Kiya aur baaki fellow members ka jinhone mujhe in 10 saalo mein kaafi support Kiya...


Haalaki ab kaafi naye members yoindia mein aa chuke hai toh shayad hi mujhe wo pehchaane asal mein purani id inactive hone se meri na mauzudgi se ya keh lijiye mere haaziri na dene ki wajah se band kar di gayi lekin mere tamaam posts Jo meri mehnat hai Jo stories hai shayari's hai aap sab unhein padh sakte hai Asif Biswas member id ke taur se ya fhir general stories inspirational and real life incidences aur shayari's ke section mein bakhubi jaakar meri kahaniya aur shayari padh sakte hai meri jitni bhi likhi kahani hai oonhein padhkar andaza laga sakte hai ki yoindia mein shuru se aakhir tak Maine kitna kuch likha aur mujhmein as a writer badlaav hua yoindia purana platform hai..

http://www.yoindia.com/shayariadab/tarruf-yoindia-sae-give-your-introduction/ek-pehchan-mujhse-bhi-t128384.0.html

Aur main iska shukraguzaar hoo ki isne meri mehnat Ko baaki platforms jaise hua tha waise deleted nahi hone diya warna aaj aapka ye writer mehez Naam ka hi lekhak reh jaata ooske paas koi masterpiece nahi rehta khair dosto is nayi id se main apni kahani ka Silsila dobara se shuru karne jaa raha hoo hope aap sab pyaar denge support karenge aur meri nayi aane waali kahani khooni Dil : reboot Ko zarur zarur padhenge aapka writer aapsabse vidaai leta hai post padhne ka shukriya

Saal guzar jaaye toh kya farq padta hai,
Kismat mehnat se kabhi Jeet nahi Sakta hai...

Thanks for reading

                              Regards
                           Asif biswas
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fhir Milenge! by nirbhay in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
marna hai ek baar jeena hai baar baar by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:44:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer