Competition for the month of August,09

by javedarshad on July 25, 2009, 03:19:57 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 7981 times)
javedarshad
Guest
Adaab dostoN

Update: On request of various members, last date of contest has been extended to 30th August 2009.


After long time we are again starting competition and will continue them from now on. We have decided guidelines for the Competition for Month of August, 2009. You are required to submit your new Ghazal by 25th of August 2009 now 30th August 2009. All details regarding Competition rules as well introduction to Ghazal has been given below.

Ab jab ke aik beeda ya jokham utha liya hai to usko anjaam tak to pahunchana hi ho ga, isliye yeh maine faisla kia hai ke hum GHAZAL se shuru kerte hain.

Mere naye aane waloon ke liye aur na janne waloon ke liye main ghazal ke bare mein thoodi se tashreeh yani wayakhya, paribhasha ya definition dena chahunga, mujhe is baat ka ilm hai ke behtre loog in baton se ashna hain chalain phirbhi

What is Ghazal

INTRODUCTION : Shayeri mein shayer ke liye apne ahsasaat aur jazbaat paish kerne ke liye sabse behter aur mausser (ASER) kerne wali Sinf (Subject to express)khali aur khali ghazal hai.Ab ghazal apne ander aik qafila chupaye huye hai.jaise , Husn-o-ishq ki dastaaN,Muhabbat aur Mashooq ki beqarariyan,kabhi hijr  hai ,kabhi wisaal ki batain hain.kahin ranj hai, kahin gham hai,khin mashooq ki aik jhalak ke baad uske qaseede hain.kahin mashooq beaitnayee hai , khudnumayee hai, ya phir aashiq o mashooq ki majboorion ka roona hai, ya phir raqeeb e rusiyaah ke be raheravi hai.
Iske sath sath ghazal mein dunyawi manzerkashi,zoomaani(jiske kayee matlab niklain) batain ya khud perasti, ya jafakashi , yeh sab cheezain umooman ghazal ka mauzu rahte hain , waise yeh shayer ke mood per muhasir hoota hai ke ghazal ka rukh kia hooga. yeh to ghazal ki tahmeed (preface kah lain) ho gayee .


Parts of Ghazal : What makes a Ghazal

Ab ghazal hai kia in kin baton ka dhayan rakhna hai, woh kuch istarah hain

  • Matla
  • Radeef
  • Qafia
  • Maqta aur
  • Baher
Ghazal umooman 5 ya unse ziada ashaar ka majmua hooti hai yeh shair per hai.
Matla : Matla Ghazal ke pahle shair ko kahte hain jismen dono ashaar mein radeef aur qafiye ki pabandi ki gayee ho,
Pahle ko misra e oola kahte hain.
doosre ko misra e saani kahte hain.
Phir Ghazal ke doosre ashaar aate hain jinmein pahle misre mein zaroori nahin hai radeef ,qafiye ki pabandi ho mager doosre shair mein pabandi hai,wiase  aap chahe to matlaye saani bhi doosre sher mein likh sakte hain.

Maqta :Ab aap ki ghazal shuru hoo gayee jitne shair chahain  qalam band karain, Jis waqt aap usko khatm karain gay woh akhri shair ghazal ka Maqta kahlayega, jis main shair apna takhallus likhta hai , ab yeh uska pet name ya proper name bhi ho sakta hai.

Radeef and Qafia
Aik baat aur aap ghazal baghair radeef ke bhi kah sakte hain mager ziyada ter loog pabandi kerte hain, neeche Janaab Ghalib ki Ghazal ke zariye Radeef aur Kafiya aapko samjhane ki koshish karunga.

Baher bachi uske bare mein to puri kitab bhi kam pade gee , usko samajhne ke liye ilme oorooz bahut zaroori hai isliye is ki asaan tarkeeb yeh hai aap gungunayein apna shair ager woh gungunane mein atke nahi to baher mein hai yeh aik dehati formula hai ab jo chahe isko hazm ker le jo chale ugal de mager yeh bahas ka mudda nahin ho sakta.

Ab yahan Ghalib ki ghazal paish ker raha hun jis seke radeef aur qafiye ke tashreeh ki ja sake

Sirf 3 sher


Aah ko chahiye ak umr aser hoone tak
Kaun jeeta hai teri zulf ke ser hoone tak
Aashiqi sabr talab,aur tamanna betaab
dil ka kia rang karoon khoone jigar hoone tak
Humne mana taghaful na karoogay, lekin
Khak ho jaingay hum tumko khaber hoone tak
Ghame hasti ka asad kis se ho juz marg ilaaj
Shama her rang mein jalti hai saher hoone tak


Ab pahla shair matla hai jiske dono misre mein qafiye radeef ki pabandi hai baki unki ghazal ke ashaar hai last mein maqta hai jis main unka takhallus Asad hai is ghazal mein ab main radeef aur qafiye ki janib chalta hun
qafia hai ---  jigar,ser, khaber, aur saher


Radeef ab samajh gaye hoongay to aakhir mein baar baar aaye   yani hoone tak hai

Chalain mera kaam khatm aap loog aapni apni ghazal per taba aazmain karain aur 25 Aug. 09 tak jama kerdain iske bad koi indraaj nahin mana jaye ga. Phir inko aap ke samne paish kiya jaye ga . Aap se bhi inke bare mein poocha jaye ga uske baad judge apna faisla de ga aur uska faisla aakhri faisla hoga
 

Some Rules Regarding Submission
1.Aap aik ghazal submitt ker sakte hain.
2.Apni pasandeeda nai ghazal pahle post ki ho woh nahin jo abhi likhi ho, post ker sakte hain, (agli baar tarahi shayed rakhain)(aap ko apni Taza ya nayee hi ghazal post kerni hai) ie. You can only submit a new fresh Ghazal, old posts are not or already published Ghazals are not allowed.
3.If there is any mistakes (u think ) there , then can be corrected , however, you can not change your submitted Ghazal with another one.
4. Ghazal main kam se kam  5 ashaar hona zaroori hain .
5. Only submit your original Ghazal, if you submit Ghazal of any other poet then you will be disqualified.
6. Its a request to read Introduction to Ghazal so that you can submit a Quality Ghazal, submissions those are not in proper formate will be disqualified.

Winners and Prizes
1. Judges will select top 3 Ghazals.
2. Winners will be given certification and there will be some prizes too (we are still working on them).
3. Decision of the Judges will be the last decision, no one can challenge it.
4. Submit your Ghazal here as reply in this TOPIC.

Aur koi baat rah gayee ho to pochne mein koi hichkichahat na kare nacheez hazir hai. Agar Ghazal ke baare main koi sawaal jawaab ho toh aap Yahaan pooche --> Ghazal aur Nazm. Agar competition ke liye koi sawaal ho toh usse Competition Discussion Thread mein pooch sakte hain.
So ..START SUBMITTING YOUR GHAZALS NOW HERE
Shukria

Javed

Please don't make general comments on this thread, only Ghazals for  competitions are allowed here.
Logged
vitasta
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2009, 07:32:29 PM »
pyaar milta nacheez ko, aisi kismat na thi
kya zamana tha jab dil pe aisi aafat na thi
ek deewar hai beech apne uski garaz se
kareeb isse zyada to aane ki ijazat na thi
mumkin nahi koi mujhse zyada chahe use
lekin meri uska kehlaane ki koi chahat na thi
ajab si lagan, jisne suna hairaan sa raha
abr ko tarse dono hi, sawan ki barkat na thi
'Noor'-e-zindagi, mausam-e-bahar, sab kuch
mil bhi jaata, bin uske lekin koi hasrat na thi
khwaish-e-'Viti' ka mazaak banta raha khoob
aashiq ke liye lekin isse badi hazrat na thi...
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: July 30, 2009, 01:47:15 PM »
On request of brokenbylove, I have removed his post from Contest as it was not really a Ghazal. Also his question regarding Ashar have been moved to "Shayari Sawaal Jawaab Section" --> What is Ashar

Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009


View Profile
«Reply #3 on: July 30, 2009, 04:00:47 PM »

Kaha khusroo woh nazar aaye, aabgeenoh me hamesha
Husn aisa nazar aaye, taalib ki nigaaho me hamesha

Hain teergee bohat yaha din ke ujalo me
Laa’ilm hain takrate, meri raho me hamesha

Buth_shikan bhi main hu, baadah_kash bhi hu main
Maikhana aur Harem raha, meri panaho me hamesha

Ghor-e-ghareeban ki bas, pehchaan hain itni
Ghurbat me rahe Ghurbat ko liye, baho me hamesha

Mil jaye woh humko, yeh mumkin hi kaha hain
Namumkin raha lekin, meri duao me hamesha

-D-
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2009, 09:41:03 PM »
koyi tazeer ager ho mujko suna do yaro,n
mujko ab tark e muhabat ki saza do yaro,n
zindagi  jaber e musalsal ki treh bhari hai
mout ka ab mujko paighaam suna do yaro,n
mai nay jannat ko ganwaya hai khod hee
mujko dozakh mai jala do yaro,n
ger mozoun nahi hai yay safer mairay liyay
rasta koyi aur mujko batla do yaro,n
zindagi mai to singhaar ki fursat na mile
bad mernay kai maira kutba he saja do yaro,n
rait pai likhi gayi tehreer hun mai ,hina
ban kai moj e saba mujko mita do yaro,n

Logged
vandanaverma
Guest
«Reply #5 on: July 31, 2009, 07:21:23 AM »
       Zindagi
Zindagi itni ajnabi kyun hai
paas hai sab to kuch kami kyun hai

honth hanste hain harek mahfil main
aankhon main dard ki nami kyun hai

kaun aayega, kise aana hai
aankhen darwaze par jamin kyun hain

uska jaana tha fir se aane ko
dil ko aaj bhi jane ye khushfahmi kyun hai

mita chuke hain har nishan us beete kal ka
khushbu pahchani si is dil me fir basi kyun hai

aakar haathon me har bar fisal jata hai
aey khushi daaman tera itna reshmi kyun hai

us se milta hua koi chehra
dekh kar dhadkane thami kyun hain

zindgi itni aznabi kyun hai...
Paas hai sab to kuch kami kyun hai..









Logged
Safi Yani
Guest
«Reply #6 on: July 31, 2009, 05:07:34 PM »
               Jab Tak

Tumhi chukaaoge nafraton ka hisaab jab tak
Likhi na jaaye lahoo se koi kitaab jab tak

Mohabbaton ke safar mein koi na chal sakega
Rahega rahe wafa mein ik iztaraab jab tak

Nikalta jayega dam mera dharkanon se meri
Woh de na denge mere khaton ke jawaab jab tak

Rahegi besoodo beasar har kitaab yaro
Parhi na jaaye mohabbaton ki kitaab jab tak

Khizaan bhi barhak hai yaad rakhna yeh baat maali
Khile hue hain tere chaman mein gulab jab tak

Lage hai berang kyon unhe daastan jahaan ki
Likhi na jaaye lahoo se koi kitaab jab tak

Safi Yani
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: August 02, 2009, 01:58:46 PM »
TERRI MOHABBAT

Mujhse mat puch ki kyun aankh jhuka li maine,
terri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine,

jis pe likha tha ki tu merre muqaddar mein nhi,
apne maathe ki vo lakeer mita li maine,

har janam sabko yahan sacha pyar kahan milta hai,
terri chahat mein tou umar bita li maine,

mujhko jaane kahan ehsaas merra le jaye,
waqt ke hatho se ek nazam utha li maine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
terri yaado se har ek saans saja li maine,

jiske shero ko vo sunke bahut royi thi,
bas vahi ek ghazal sabse chhupa li maine......  tearyeyed
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2009, 11:29:30 PM »

                  
                      KHAMOSH ZIKR
      
                TUJHSEY MOHABBAT KAA YEH ASAR HOGAA,
                KI ZINDAGI MAIN MAUT KAA QAHAR HOGAA,

                DARD-E-DIL KI DAWAA KEY LIYE AAYAA JIS JAGAH,
                MAALOOM NAA THAA YEH ZALIMON KAA SHAHAR HOGAA,

                HO KAR NAAKAAM LAUT SAKTAA NAHIN GHAR KO,
                KYAA PATAA THAA ABHI AUR SAFAR HOGAA,

                THAK CHUKAA HAI CHIRAAG BHI MEREY AASHIYAANEY KAA ,
                NAA JAANEY ISS SHAHAR MAIN KAB SEHAR HOGAA,
                
                ISS TARAH MIT SAKTAA NAHIN WAJOOD TERAA,
                RAWAAYAT HAI KI TU WQAT KA SHIKAAR HOGAA,
                
                INTAHAA HO CHUKI HAI ZULM KI HER TARAF,
                KHELAAF-E-ZULM BAHUT JALD YALGHAAR HOGAA,
                
                FURSAT NAHIN KISI KO ISS JAHAN MAIN KHAMOSH.!
                TEREY JAANEY KEY BAAD SHAAYAD TERAA ZIKR HOGAA.
                
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #9 on: August 07, 2009, 10:01:04 PM »
\

Hi B/L

This post can not be a part of competition , as I have given guide lines that it must be yours, not posted  any where , but u have copy pasted this one which were posted on 19 May in other website, so in future no posting of yours will be accepted in the competition.


tx


javed


 


TERRI MOHABBAT

Mujhse mat puch ki kyun aankh jhuka li maine,
terri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine,

jis pe likha tha ki tu merre muqaddar mein nhi,
apne maathe ki vo lakeer mita li maine,

har janam sabko yahan sacha pyar kahan milta hai,
terri chahat mein tou umar bita li maine,

mujhko jaane kahan ehsaas merra le jaye,
waqt ke hatho se ek nazam utha li maine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
terri yaado se har ek saans saja li maine,

jiske shero ko vo sunke bahut royi thi,
bas vahi ek ghazal sabse chhupa li maine......  tearyeyed

Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: August 08, 2009, 03:42:19 PM »
...mera koi qaatil nahi...



Uski bewafa mohabbat par gussa to bahut aata tha par kispe utarte hum,
Aaj duniya mein insaan hi to sirf bache hai kahi bhi aab-o-gil nahi,
Subah hame dard dete hai aur raat mein puchhte hai ki alam kya hai,
Teri zaalim adaao se sab waakif hai chehre pe parda dalne se kuchh haasil nahi,
Baaton mein bholapan chehre pe maasumiyat aur aankhon mein nasha,
Uske khoobsurat gunaaho ke aage unki bewafaai bhi duniya ke saamne zaleel nahi,
Hamare sapno ke saath khelte rahe aur istemaal karte rahe hamare waqt ko,
Par ab unse kehdo jaa ke koi ki ab yeh zindagi meri kisiki mohtaaj nahi baatil nahi,
Chalte jaa rahe hai raasto ke saath andhero ko saath mein leke kahi,
Kya puchhe kisise hum, mukaam to tha hamara par thi koi manzil nahi,
Sab bikhre sapne, toota dil, tanha yaadien shariq the gum mein hamare,
Ek aasnu hi the meri aankhon ke jo kabhi hue gum mein mere shaamil nahi,
Unse milkar mohabbat ne bhi kuchh ajeeb khel khela meri zindagi ke saath,
Zindagi aise mod pe khadi thi jaha se sirf samundar dikhta tha aas-paas koi saahil nahi,
Unke gunaaho ko log mohabbat karne ka ek andaaz maante hai aur,
Agar gunaah humse ho jaate hai kabhi to kehte hai woh ki hum naazil nahi,
Ghairat na thi raat ko jo aaj mere liye aasmaan bhar ke tanhaai laayi,
Na tha koi dard aashna mera aur mujhe maut de sake sheher mein aisa koi qaatil nahi...
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #11 on: August 11, 2009, 08:54:32 AM »
Original poetry by TAASIR SIDDIQUI FOR COMPETETION AUGUST 09


Uthkar chale ho  jab kabhi tum hamaare pehloo se;
Dur ho gaya hai  dil   phir iss  jeene ki   aarzoo se;

Dard  ne asar chhod diya,aur hayaat muskuraa utthi,
Hue hain  rubaroo  jab hum  tumhari guftugoo se;

Manand-e-gul lehraa rahe hain zakhm shaakh-e-hayaat par,
Aao inhe mehkaa do tum apne badan ki khushboo se;

Baat chali to phir kitne hi raaz ayaan hote  gaye,
Sekdon fasaane nikle ek mukhtasar si guftugoo se;

Ahal-e-jahaan ne zulm kiya hume naam-e-sharaafat dekar,
Ek ghurbat ke siva kya paaya hai hum ne apni aabroo se;

Na shakl se na libaas se na daulat se na shaurat se,
Taasir ne paayi hai pehchhan apni zabaan-e-urdoos se;



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2009, 03:43:37 AM »
\

Hi B/L

This post can not be a part of competition , as I have given guide lines that it must be yours, not posted  any where , but u have copy pasted this one which were posted on 19 May in other website, so in future no posting of yours will be accepted in the competition.


tx


javed


 



oh..i m sorry i didnt knw tht i have writtn it abt an year back may b i forgot n i have posted it smwhere else also..n as you say i will post my quotes in next competition...luking forwrd to it...

thnx javed ji for being soooooo kind....
Logged
komalpreet kaur
Guest
«Reply #13 on: August 16, 2009, 06:18:20 AM »
dilla ve ki paya sochda aee,
asa taan sari umar hi aaedaan guzari aae.
ehna akhiyan nae ajae tak v,
nahi koi khusiyan phari chalak utari aae.
asi dubiya suraj hi kal takiya c,
jehra aajae v mar reha oh dubdi hoe jalkari aae.

sabna dae gharaan dae mausam badal gae,
asan kiti na ajae v koi taeyari aae.
paa lae panchiyaaan v bagaan wich alanae,
hun taan boat v maran lag pae udari aae.
khuh da pani v suk chaliya hun taan,
tur pae pyari banjaran  vchari aae.

taare gindae c asi pehlaan v,
hun v lae tariyaan naal asi yarri aae,
nahion labnae eh rhistae sada hi,
padhani sariyaan nae apni apni savari aae.
reh jana e har seh nae ethe hi,
nahion labhni kitae eh surat pyari aae.

kadoon tak bujavaega is aag nu ,
eh laggi wich duniya sarri aae.
buj na sakni eh kadae v,
fir uth paeni koi navi chingyari aae.
dilla vae ki paya sochda aae ,
asi taan sari umar hi aaedaan gujari aae.

suk gae athru v ro ro kae hun taan,
is dil di aas nahio aajae v hari aae.
suk gae cha sare ni adiyae,
ki laaoni chunni nu hun kinari aae.
buj gaya mitti da diva v bal kae hun taan,
par ehna akhiyaan di loh aajae v zari aae.
dilla v ki paya sochda aae,
asa taan sari umar hi aaedan guzari aae.
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #14 on: August 16, 2009, 05:51:41 PM »
Gulshan mein har kali ko kyon, ham dein na mahakane,

           Foolega  chaman   aayengi, bul bul bhi chahakane.

Hey  bus ghubaar  hi  ghubaar,  chaaya  fiza   mein,

           Jhulsaa diye  zameer  hein, nafrat  ki lahak  ne.

Zaldi  se  bujhalo  kahin,  chingaari  gar   dikhe,
           
           Aisaa  na ho ki sholey lagein, fir  se  dahakane.

Jab dhekh chukaa daur e khizan, ho hazzar baar,

           Fasl e  bahaar  ko  na  lage, dil kyon  gahakane.

Hey  eik  lahoo eik zamee, aik  watan   hey,

           Kyaun  gheir  ki  baaton  se laga,"Ram" bahakane.


 
               
               




   
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:24:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer