Competition for the month of August,09

by javedarshad on July 25, 2009, 03:19:57 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 7924 times)
sapana
Guest
«Reply #15 on: August 20, 2009, 09:05:26 PM »
Here is my gazal for competition.
Kasam Hai

Jane ki zid tum na karna, kasam hai,
Dil hai mera nazuk na todna, kasam hai.

Aanchal  yeh mera udati hain hawain,
Aaj nazron se nazar ko milana ,kasam hai.

Jashn mana raha hai hamare vasl ka janam,
Chand ki khushime shamil hona, kasam hai.

Sargoshiyan karen bhanwre phuloon se,
sabak tum un se bhi seekhna, kasam hai.

Mar hi jaoongi main tumhare bin,dilber,
Itna bhi tum na  tadpana, kasam hai

Minnatein karoon main barha tum se,
Aaj Sapana ko na chhodna, kasam hai.

Sapana
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #16 on: August 22, 2009, 07:04:58 AM »
Here is my entry for the Competition.


AJAB HAALAAT HAIN YE BAD-HAWASI KAUN SULJHAYE
SABHI HAIN MUNTAZIR KOI KAHIN SE RAHNUMA AAYE

DIKHAYE THE JINHONE KAUM KO AAZADI KE SAPNE
WO AB HAALAAT GAR DEKHEIN TO UNKO SHARM AA JAYE

KAHIN VISPHOT HOTE HAIN KAHIN RAILEN ULATATI HAIN
KAHIN KUDRAT BANI ZAALIM KAHIN FLU NE KAHAR DHAYE

JAHAN DEKHO DARINDE AADMIET KO MASALATE HAIN
KHUDAYA RAHAM KAR INSANIAT JAD SE NA MIT JAYE

HAR EK CROSSING PE BHIKHMANGE PACHASON GHER LETE HAIN
KHUDA GHAIRAT INHE DE YA HUKUMAT KO SHARAM AAYE

MADAD AUR KARZ DENE WO HAMARE GHAR ME GHUSATE HAIN
ZIGAR SE AAH UTHATI HAI NA KOI YUN THAGA JAYE

RAYEESON KE YE SHAHZADE BADI MOTOR ME NIKALE HAIN
JISE JEENA ZAROORI HO WO AB RASTE SE HAT JAYE

MITA DEEN PATE ME HI BETIYAN MA-BAAP NE HI JAB
BATAO PHIR BHALA KAISE HAR EK GHAR ME BAHU AAYE

SARVESH RASTOGI


हिंदी स्क्रिप्ट में

अजब हालात हैं ये बदहवासी कौन सुलझाए
सभी हैं मुन्तज़िर कोई कहीं से रहनुमा आये
 
दिखाए थे जिन्होंने कौम को आज़ादी के सपने
वो अब हालात गर देखें तो उनको शर्म आ जाये

कहीं विस्फोट होते हैं कहीं रेलें उलटती हैं
कहीं कुदरत बनी जालिम कहीं फ्लू ने कहर ढाए

जहाँ देखो दरिन्दे आदमीयत को मसलते हैं
खुदाया रहम कर इंसानियत जड़ से न मिट जाये

हर एक क्रॉसिंग पे भिखमंगे पचासों घेर लेते हैं
खुदा गैरत इन्हें दे या हुकूमत को शरम आये

मदद और क़र्ज़ देने वो हमारे घर में घुसते हैं
जिगर से आह उठती है न कोई यूँ ठगा जाये

रईसों के ये शहजादे बड़ी मोटर में निकले हैं
जिसे जीना ज़रूरी हो वो अब रस्ते से हट जाये

मिटा दीं पेट में ही बेटियाँ माँ-बाप ने ही जब
बताओ फिर भला कैसे हर एक घर में बहू आये

सर्वेश रस्तोगी
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #17 on: August 23, 2009, 07:06:15 PM »
Ye gazal humne apne Yoindian dosto k  naam likhi hai jinhone hume kabhi yaad nahi kiya. Dili afsos hua aur usse ek shayari ki taur pe likha  jisme javed ji k diye hue Ghazal ke sabak ko apnane ki koshish ki.

Javedarshad ji please bayatiye ki meri ghazal competition main shaamil hui ya nahi.
Title : Yoindians se meri Shikayat

Kitne afsaane leke Yahan aaye the,
Kitne hi sapne humne sajaeye the..

Kisi ne bhi hume yaad naa kiya..
Aur yahan humne kabhi phool barsaaye the,

Hue sab maazi kyun is mehfil ...
Shayad ye apne nahi sabhi paraaye the,

Mana nahi rukti zindagi yuhin iss tarah..
Khata kya jo is bazm hum yaad na aaye the,

Lage ke the saare alfaaz beasar aur hum..
Yahan sirf ek gumnaam se saaye the !!
Logged
yati_om
Guest
«Reply #18 on: August 24, 2009, 12:56:08 PM »
tumhe kal ki koi chinta nahin hai.
tumhari aankh mein sapna nahin hai.

ghalat hai ghair kehna hi kisi ko,
koi bhi shakhs jab apna nahin hai.

sabhi ko mil gaya hai saath gham ka,
yahan ab koi bhi tanha nahin hai.

bandhi hain har kisi ke haath ghadiyan,
pakar mein ek bhi lamha nahin hai.

meri manzil uthakar door rakh do,
abhi to panw mein chhala nahin hai.

OMPRAKASH YATI,H-89 BETA-2, GREATER NOIDA (india)201308
(M)919999075942
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: August 24, 2009, 04:20:30 PM »


Logged
k.shael
Guest
«Reply #20 on: August 25, 2009, 05:52:00 AM »
Dekh ke aankhein meri tumhe andaza-e-khumar nahi hota,
Dil kar deta hai majboor warna marzi se koi ishq-e-bimaar nahi hota..

Mana ki dua aur dawa se milta hai aaram har marz se lekin,
Mil jaaye sukoon aashiq ke zhakmi dil ko baat-e-aitbaar nahi hota..

Iss qadar narazgi ho gayi hai mere ehasasoon ko tujhse ki aab,
yaad karke tujhe Ashq behte nahi hai aur dil-e-beqarar nahi hota..

Ek muraad jo meri kar sako poori to kar do mere yaaroon,
Kahiin se la do jaa ke jaam-e-jehar ki aab intzaar-e-yaar  nahi hota..

Sameta pada hai zamane bhar ka pyaar tere liye dil me Shally,
Par jane kyun dekh ke aankhein meri tumhe andaza-e-khumar nahi hota..

Shally.  
Logged
anokhiladli
Guest
«Reply #21 on: August 25, 2009, 09:52:03 PM »
'koi dil k der ko khol gaya'
'phir bol ujab sa  bol  gaya'

             kuch lehja us ka aisa tha
             jo kan main rus bhe ghol gaya
yae us ki nazer ka jado tha
jo dil bhee maira dol gaya
             kuch apni keemat berh c gaee
             wo mujh ko aisay tol gaya
kuch us ka jana bunta tha
per mun apna to dool gaya
             main apnay mun ki basi thee
             wo tor kay aisa khol gaya
main mango us kay sukh he sukh
jo dukh main mujh ko chor gaya
             main ab bhe us ko sochti hon
             jo payar k bol wo bol gaya
wo ab keeon dill main rehta hay
jo khak main mjh ko rool gaya
             na roko gul ko ronay say
             wo dil main sawan chore gaya

uzma gul(anokhi ladli)usa
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #22 on: August 26, 2009, 10:59:17 AM »
                             TANHAA

               JAANEY KYON WOH HAMESHAA SEY TANHAA HAI,
               'CHAAND' TO NAHIN LAGTAA PER WOH TANHAA HAI,

               GHAAFIL TO NAHIN KARTI SOCH ZINDAGI SEY,
               MAGAR BHARI MEHFIL MAIN BHI WOH TANHAA HAI,

               KOI FIKR AATI NAHIN NAZAR USKEY CHEHREY PEY,
               MAGAR AANKAIN KAHTI HAIN USKI WOH TANHAA HAI,

               RAAH KHAAS BHI NAHIN KI KOI MANAA KAREY USEY,
               RAHBAR TO KAI HAIN SAATH MAGAR WOH TANHAA HAI,

               ZINDAGI SEY MAAYOOS NAHIN LAGTAA USKAA ANDAAZ,
               'SAAQI' TO NAHIN  PHIR BHI WOH TANHAA HAI,

               ALFAAZ RAKHTEY HAIN WAZAN DAANISHWARON MAIN MARHOOM,
               MAGAR LABON KO USKEY SHIKAYAT HAI WOH TANHAA HAI...!!
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #23 on: August 27, 2009, 08:45:56 PM »
[/b]

                          TALAASH

              BAHUT ROZ SEY UJAALEY KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,
              CHAAND BHI APNI CHAANDNI KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,

              KAHKASAAN BESHUMAAR HAIN AASMAAN KEY DAAMAN MAIN,
              PER EK TOOTEY HUEY TAAREY KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,

              PHOOLON KI KAMI NAHIN AAJ USKEY GULISTAAN MAIN,
              SHIDDAT SEY WOH 'GULAAB'KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,

              KHAWAAB TO KAI PUREY HUEY HAIN ZINDAGI MAIN,
              BUSS EK KI 'TAABEER' KEY TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,

              EBAADAT TO WOH KARTAA HAI APNEY KHUDAA KI HER WAQT,
              PER SAKOON-E-ZINDAGI KI TALAASH MAIN BHATKTAA RAHAA,

              ROSHNI MAIN BHI WOH BEHAAL SAA NAZAR AATAA HAI,
              WOH 'DIL' KEY UJAALEY KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA,

              BANAA DAALAA HAI RAASTAA SAAREY SHAHAR MAIN BECHAIN,
              PER WOH EK RAHBAR KI TALAASH MAIN BHATAKTAA RAHAA....!!!!

Logged
salil2002
Guest
«Reply #24 on: August 28, 2009, 10:58:11 AM »
doston waise toh main aone aapko is competition k laayak nahin samajhta magar socha kii koshish karoon ho sakta hai aap sab pasand kare,,,,,jaise kii main hamesha kisii kahaani ko base maan k likhta hoon.,yeh bhi insaaf k din ek bande kii khuda se baatcheet apne mehboob ko saza se bachane k liye ko ghazal k anusaar likha hai

title hai:---Insaaf ka din~~ Shikwe na karo tum ~~ Saahil

aaj dil ko kehne do,aaj dil kii suno tum,
tumhe bhi mauka milega , aaj chup na raho tum

khuda ka yeh darbaar hain yahaan insaaf hi hoga
sach ka bharosa karo ,na sach se ab daro tum

kii din hai aaj Insaaf ka, tum jannat hi maangna
main bhale hi jalun jehannum mein, magar chen se raho tum

ae khuda sun jara kya tera banda keh raha
jite ji toh na suna, baad marne k toh suno tum

dekho yeh mera mehboob hai ,iski sab khatayein mere sar
mujhe do chahe saja dojakh mein,kii ise koi saza na do tum

ro ootha mera khuda , aankhen meri bhi ro padi
bola kii tu toh apna hai,ab fikra na karo tum

phir budbudate paaya maine oos maalik ko khud se
maine poochha kya hua, ab kahaan khoye ho tum

woh bhar k baahon main keh oothe,tu toh nayaab cheez tha
is ishq ne hai kya kiya, kii kya ban gaye ho tum

maine kahaa maula mere, mohabbat hi baantta main aaya
tu fakhra kar mujhpe ab, kii yoon shikwe na karo tum

Logged
justmusafir
Guest
«Reply #25 on: August 29, 2009, 06:02:30 AM »
Hello Everybody.

I dedicate this second post of mine (again, dastur hai mine or not mine kahne ka sirf isliye) to "Roja Ma'm". One request to the administrator Sir, after the competition is over, this post may kindly be moved to "shayri-e-prastish"

Regards.

ये किस ज़मीं पे भेज दिया मुझको
मैं ही मैं हूँ कोई खुदा नहीं

यहाँ कैसे उतरेंगी रहमते
यहाँ कोई रसमें खुदा नहीं,

आकर फ़रिश्ते क्या करें
यहाँ कोई बन्दा-ए-खुदा नहीं,

उसकी इबादते तो हैं हर जगह
पर किसी को खोफ़-ए-खुदा नहीं,

यहाँ वहशतों के हेँ जलजले
क्यों तेरा खुदा मेरा खुदा नहीं

मेरे कान कब से तरस गये
यहाँ कोई ज़िक्र-ए-खुदा नहीं,

हर सिम्त दौड़ते आदमी
पर किसी की मंज़िल खुदा नहीं


Ye kis zameen pe bhej diya mujhko
main hi main hun koi khuda nahin

Yahan kaise utrengi rahmaten
Yahan koi rasm-e-khuda nahin,

Aakar farishte kya Karen
Yahan koi banda-e-khuda nahin,

Uski ibadaten to hain har jagah
Par kisi ko khauf-e-khuda nahin

Yahan vahshton ke hain jaljale
Kyon tera khuda mera khuda nahin

Mere kaan kab se taras gaye
Yahn koi zikar-e-khuda nahin

Har simt1 daudte aadmi
Par kisi ki manzil khuda nahin

1. direction
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #26 on: August 30, 2009, 01:16:06 PM »
Nasiyat-e-Zindgai mili har Manzil har raah par, Kya kahiye !
Hui mujhse bhi khatayee.N bahoot, Hun bashar Kya kahiye !!

Bolandiyo.N ko choona hai, yea Azam tha Dil mai bahoot,
Miley har qadam pe wo dushman e ghar, kya kahiye !!

Nakaamiyo.n se ye aakhri umeed bhi na toot jaye kahin
Haaye ke in nakhudaao.n ka qeher, kya kahiye!!

Wahi hain roz o shub aur wahi tishnagi e jaan bhi hai
Nahi hai to bas wo teri qatil nazar, kya kahiye!!

Bhatakete rahe dar ba dar liye qaza e shikwa "Divya"
Bas unko hi hui na kisi tour bhi khabar, kya kahiye!!


Logged
Bambi
Guest
«Reply #27 on: August 30, 2009, 02:02:08 PM »
'Aur'
'Tum aur main' may 'aur' ka koi wajood nahin hain,
Haqeeqat may, 'Tum aur Main' kabhie sach ho bhi nahin sakte hain,
Magar khwabon main, fisul khayalon main,
'Tum Aur Main' sach ho sakte hain.

Magar khwabon main, fisul khayalon may,
Unn aftab ke udthe hue dhaagon may ,
'Tum aur main' sach ho sakte hain,
Unn bhoore-bhoore se udthe hue badalon may,
'Tum aur main' sach ho sakte hain,
Unn tasveeron ke udthe hue 'geet'on may,
'Tum aur main...'
'Tum aur main' may 'aur' ko wajood zaroor mil sakta hain,
Zaroor mil sakta hain,
Zaroor mil sakta hain.

Bambi
(Gitanjali)
 
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #28 on: August 31, 2009, 10:27:13 AM »
TOPIC LOCKED!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:37:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer