Reply the sher .....

by zama on February 24, 2009, 05:02:24 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 47
Print
Author  (Read 18733 times)
abdbundeli
Guest
«Reply #120 on: March 04, 2009, 03:52:38 PM »

Abd ji !!!!!

Shaitaan bhi tou khuda kii hii karamat hai
warna toh ..na aathi..duniya mein ..kayamath hai

acchayi hi gar hoti insaan kii fitrat mein
tou maseeha hi ban jaate sabhi kismat se...

Zama


Zama ji!

Haan sach hai, sunaa hai, ki, hai Shaitan farishtah!
Saathi bhi sabhi uskey farishtey hain: sunaa hai!
Shaayad iseeliye, bahut sey log, zouq sey,
Kartey huye taqaatulee hanstey hain: sunaa hai!!

                             - abd bundeli


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Can any of u reply well to this by iknarayanan in Chit - Chat & General Discussion
REPLY ME by Ravish in English
...Plz Reply... by Sammual in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Plz Reply Ans...! by anjaansaya in General Stories
sher ka jawaab sher se....... by divyam in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
zama
Guest
«Reply #121 on: March 04, 2009, 11:57:29 PM »
Zama ji!

Haan sach hai, sunaa hai, ki, hai Shaitan farishtah!
Saathi bhi sabhi uskey farishtey hain: sunaa hai!
Shaayad iseeliye, bahut sey log, zouq sey,
Kartey huye taqaatulee hanstey hain: sunaa hai!!

                             - abd bundeli






Abd ji

Suni sunai bathon par yakeen na kijiye
jo ankhon dikha ho usi pe ghor kijiye

Hum insaan,insaan hai koi farishtey nahi
jisme hunar hi hunar ho aur koi Aeb nahi....

Zama
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #122 on: March 05, 2009, 05:57:35 AM »

Abd ji
Suni sunai bathon par yakeen na kijiye
jo ankhon dikha ho usi pe ghor kijiye

Hum insaan,insaan hai koi farishtey nahi
jisme hunar hi hunar ho aur koi Aeb nahi....

Zama


Zama ji!

Aeb hi aeb hain, nazariyah hai apnaa-apnaa;
Koyi kahtaa hai isey aeb to koyi us ko!
Kaheen uuree hai aeb, to kaheen pardoun mein zinaan;
Koyi kahtaa hai isey paak, to koyi us ko!!

                        - abd bundeli

Logged
addicted
Guest
«Reply #123 on: March 05, 2009, 06:08:12 AM »
nazar nazar meN badal duN maiN sab kaa nazariyaa
khel khel meN kar duN nadii ko aag kaa dariyaa

uss ke hii upar ek pul bhii baandh duN maiN to
jiss meN lagaa ho shishaa aur shishe kaa sariyaa
Logged
zama
Guest
«Reply #124 on: March 05, 2009, 06:47:19 AM »

Zama ji!

Aeb hi aeb hain, nazariyah hai apnaa-apnaa;
Koyi kahtaa hai isey aeb to koyi us ko!
Kaheen uuree hai aeb, to kaheen pardoun mein zinaan;
Koyi kahtaa isey paak, to koyi us ko!!

                        - abd bundeli



Abd ji !!!!

Kehne ko kya kuch hum keh nahi saktey
hai yahan dariya kayi jo beh nahi sakti
dil kii ghaav ho ya beimaan-e-fitrat
lakh chupao yahan magar chip nahi saktey

Zama
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #125 on: March 05, 2009, 07:04:56 AM »
Abd ji !!!!

Kehne ko kya kuch hum keh nahi saktey
hai yahan dariya kayi jo beh nahi sakti
dil kii ghaav ho ya beimaan-e-fitrat
lakh chupao yahan magar chip nahi saktey

Zama


Zama ji!!!

Chhupaauun kis sey bhalaa; aur kyoun chhupaauun mein?
Roo-b-roo huun, ki, sarey a'am nazar aauun mein!
Chhupaaungaa bhi, to, aakhir chhupaaungaa kab tak?
Us kee aankhoun sey kyaa chhupaa hai, jo chhupaauun mein?

                                     - abd bundeli
Logged
salma786
Guest
«Reply #126 on: March 05, 2009, 10:59:04 AM »
Zama ji!!!

Chhupaauun kis sey bhalaa; aur kyoun chhupaauun mein?
Roo-b-roo huun, ki, sarey a'am nazar aauun mein!
Chhupaaungaa bhi, to, aakhir chhupaaungaa kab tak?
Us kee aankhoun sey kyaa chhupaa hai, jo chhupaauun mein?

                                     - abd bundeli


Hum zakhmo par apne marham lagaya nahi karte,
Jo daag hai daman me use chupaya nahi karte,
Jo khoon se lakiren kant gaye hai hamari zindegi me,
Un lakiro ko hum mitaya nahi kate!
Logged
zama
Guest
«Reply #127 on: March 06, 2009, 05:06:18 AM »
Humiise hai muhabbat unhe
humiise hai gilaa

iss ehsaas-e-muhabbath mein hai
ta-umr ka gham mila

Zama
Logged
addicted
Guest
«Reply #128 on: March 06, 2009, 05:41:00 AM »
muhabbat ko to tum bharam kehte ho
iss ke shikwo ko sitam kehte ho

thode ajeeb shaqs ho tum bhii sanam
sab isse khushi aur tum gham kehte ho
Logged
zama
Guest
«Reply #129 on: March 06, 2009, 06:15:17 AM »
muhabbat ko to tum bharam kehte ho
iss ke shikwo ko sitam kehte ho

thode ajeeb shaqs ho tum bhii sanam
sab isse khushi aur tum gham kehte ho

Khushi samajh ke kadam bhadaya tha
nahi khabar tha ki muhabbath gham ka saaya tha

thukrake zamane ko jisse humne apnaya tha
usise humne thokar khaya tha


Zama
Logged
addicted
Guest
«Reply #130 on: March 06, 2009, 06:24:32 AM »
khushi samajh ke tuNe kadam badhaaya thaa
gham jo dikhaa to kadam piche hataaya thaa

har mod par saath deNe kaa waada kar ke
pehle hii mushkil meN kadam hataaya thaa
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #131 on: March 06, 2009, 06:35:30 AM »
Hum zakhmo par apne marham lagaya nahi karte,
Jo daag hai daman me use chupaya nahi karte,
Jo khoon se lakiren kant gaye hai hamari zindegi me,
Un lakiro ko hum mitaya nahi kate!
salma786 ji!

Isee jazwey ko, shaayad, zindagee kahtey hain shaidaayee!
Isee jazwey sey, laakhoun ney, kharhey ho zindagee paayee!
Isee jazwey ney haq ko, haqeeqat ko samajh paayaa hai;
Isee jazwey sey insaanoun key dil ko milee gahraayee!!

              - abd bundeli



 
Logged
zama
Guest
«Reply #132 on: March 06, 2009, 01:14:13 PM »
khushi samajh ke tuNe kadam badhaaya thaa
gham jo dikhaa to kadam piche hataaya thaa

har mod par saath deNe kaa waada kar ke
pehle hii mushkil meN kadam hataaya thaa

Khushi ki talb mein hum muhabbath nahi kartey
ghum ki darr se hum piiche nahi hat the

gar tumne saat dene kii wada nibhaya hota kabhi
toh aaj iss qadar zamana hume ruswa nahi kartey

Zama


Logged
Talat
Guest
«Reply #133 on: March 06, 2009, 01:35:19 PM »
Zamane ne diya hai sada us ko ruswaayi,
Mohabbat ka hua hai jo bhi dil shaidaayi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #134 on: March 06, 2009, 03:10:05 PM »

Pyaar kartey hain jo, ruswaayi sey naheen dartey!
Aur, dartey hain jo, woh pyaar hi naheen kartey!!
A'ayinah deykh key dar jaatey hain laakhoun afraad;
Fir bhi aisaa to naheen hai, ki, woh naheen martey!!

           - abd bundeli
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 47
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 07:01:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer