Reply the sher .....

by zama on February 24, 2009, 05:02:24 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 47
Print
Author  (Read 18726 times)
addicted
Guest
«Reply #135 on: March 07, 2009, 01:58:45 AM »
Khushi ki talb mein hum muhabbath nahi kartey
ghum ki darr se hum piiche nahi hat the

gar tumne saat dene kii wada nibhaya hota kabhi
toh aaj iss qadar zamana hume ruswa nahi kartey

Zama




teraa saath deNe ke liye
tere vaade ko nibhaaNe ke liye

maiN mar kar laut aaya huuN 
phir se tujh parr mar jaaNe ke liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Can any of u reply well to this by iknarayanan in Chit - Chat & General Discussion
REPLY ME by Ravish in English
...Plz Reply... by Sammual in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Plz Reply Ans...! by anjaansaya in General Stories
sher ka jawaab sher se....... by divyam in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
zama
Guest
«Reply #136 on: March 07, 2009, 11:51:05 AM »
teraa saath deNe ke liye
tere vaade ko nibhaaNe ke liye

maiN mar kar laut aaya huuN 
phir se tujh parr mar jaaNe ke liye

Aap toh mar ke wapas bhi aagaye
muhabbath mein hausla phir se jaga gaye

Hum toh lash se hai aaj bhi zinda sanam
jo ek baar mare na phir kabhi humse jiya gaya..
Logged
Talat
Guest
«Reply #137 on: March 07, 2009, 11:59:15 AM »
Haseen yaadon ke diye bujhne nahin dena
Mohabbat ko yoon ruswa hone nahin dena
Maana ab yaadain wohi naasoor ban gayin
Aankhon ko magar ae dost rone nahin dena
Logged
zama
Guest
«Reply #138 on: March 07, 2009, 12:05:48 PM »
Haseen yaadon ke diye bujhne nahin dena
Mohabbat ko yoon ruswa hone nahin dena
Maana ab yaadain wohi naasoor ban gayin
Aankhon ko magar ae dost rone nahin dena

Kehne se ab kaha kuch khatham hogi
ab na roo pade toh bada sitam hogi
ankhon ke zariya hi behne de woh muraden
aaise hi shayad kuch dil kii dard kam hogi
Logged
salma786
Guest
«Reply #139 on: March 07, 2009, 12:29:58 PM »
Mohabbat ke dard se,
Hum ab ubhar hi jayenge,
Toofan bhale hi ho,
Hum is toofan se guzar hi jayenge!
Logged
Talat
Guest
«Reply #140 on: March 07, 2009, 01:13:38 PM »
Hausla hi zindagi ke raah asaa.N karta hai
Aas ka suraj kabhi dil se na dhalne dena !!
Logged
salma786
Guest
«Reply #141 on: March 07, 2009, 01:26:45 PM »
Hausla to hum jaiso ko aap se milta hai,
Duao.n se apke hi kanto me phool khilta hai!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #142 on: March 07, 2009, 01:29:52 PM »
Phoolon ki rahguzar ho ya kaanton ka raasta,
Humsafar jo saath ho, na kisi ghum se ho waasta
Logged
zama
Guest
«Reply #143 on: March 07, 2009, 01:59:29 PM »
Humsafar jo saat de toh kaha safar khatham hogi
wafa kii naqaab mein bewafai karen toh kya ghum kam hogi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #144 on: March 07, 2009, 02:09:17 PM »
Apnaa 'wo' yadi saath hai,
Saath wishwa saanand!
Jahaan kaheen bhi hon, waheen,
Hai, sakhi, parmaanand!!

      -  Ramwatiya/abd bundeli
Logged
zama
Guest
«Reply #145 on: March 07, 2009, 02:15:14 PM »
Zindagi guzaar ne ke liye saat humsafar kii mujhe zarurat nahi
Main azaad panchi hun qaid mein rehne kii mujhe adat nahi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #146 on: March 07, 2009, 02:36:37 PM »
Zindagi guzaar ne ke liye saat humsafar kii mujhe zarurat nahi
Main azaad panchi hun qaid mein rehne kii mujhe adat nahi
Zama ji!

Swaagat hetu nimagn hai, 
Sammukh neelaakaash!
Urho, saharshh prawaas ko,
Bhogo waayu-wilaash!!

       -  Ramwatiya/abd bundeli
 
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #147 on: March 07, 2009, 04:05:43 PM »
Manzilain milengi, gar qadam badhaayenge,
Ruk gaye qadam, band raaste ho jaayenge !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #148 on: March 07, 2009, 04:36:19 PM »
Manzilain milengi, gar qadam badhaayenge,
Ruk gaye qadam, band raaste ho jaayenge !!

Jai ho!!  Clapping Smiley


Chaleyngey wahaan par, jawon tak musalsal!
Chaleyngey wahaan par, jahaan eik hon sab!
Ghateyngeen sabhi dooriyaan chaltey-chaltey;
Jahaan beech roohoun key hogaa na mazahab!!

                        - abd bundeli

Logged
Talat
Guest
«Reply #149 on: March 07, 2009, 05:37:49 PM »
Thank You Babu Ji Usual Smile

Tabhi aayega ek naya sawera
Khushio.N ka hoga jaha.N par basera
Dil se dil ki na hongi phir duriyaa.N
Na Ghum ka hoga wahan koi dera !
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 47
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 10:32:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer