Reply the sher .....

by zama on February 24, 2009, 05:02:24 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 47
Print
Author  (Read 19209 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #150 on: March 07, 2009, 06:05:53 PM »
wah wah!! Bahut Khoob..sab ne Bhaut acha Likha hai..

Thank You Babu Ji Usual Smile

Tabhi aayega ek naya sawera
Khushio.N ka hoga jaha.N par basera
Dil se dil ki na hongi phir duriyaa.N
Na Ghum ka hoga wahan koi dera !

Der Saver Duniya Ussi Ke Piche Chali Hai,
Sach aur Pyaar Ki Raah Par jo badha hai..

Jo Shaks Tufaan Ke Darr se Giir jaaye,
us Shaks Ki Koi Pehchaan Nahi!!!
Insaan wahi hai jisne waqt se ladha hai..

Apna Bhi Usse Hi Samjho Bhale woh Gair Ho,
Tumhare Dukh-sukh mein jo saath Khada Hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Can any of u reply well to this by iknarayanan in Chit - Chat & General Discussion
REPLY ME by Ravish in English
...Plz Reply... by Sammual in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Plz Reply Ans...! by anjaansaya in General Stories
sher ka jawaab sher se....... by divyam in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #151 on: March 07, 2009, 06:11:01 PM »
Bohot Khoob Khwaish

Har ghum mit jaaye, thodi door saath chale.N,
Bane.N humraah, humsafar, saath chale.N,
Muskurahato.N ka phir khile ek chaman,
Bhula ke dooriyaa.N, chalo saath chale.N !!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #152 on: March 07, 2009, 06:28:19 PM »
Bohot Khoob Khwaish

Har ghum mit jaaye, thodi door saath chale.N,
Bane.N humraah, humsafar, saath chale.N,
Muskurahato.N ka phir khile ek chaman,
Bhula ke dooriyaa.N, chalo saath chale.N !!

 Clapping Smiley talat...

Saath Chal to lete,par koi raah nazar nahi aati,
door kahin hai woh manzil, Kabhi paas nahi aati..
humne dekha hai gham ko chupakar muskuraane walo ko,
Shikayete hai bahut si Hai dil  Mein Mere, par Zubaan par nahi aati....

Logged
Talat
Guest
«Reply #153 on: March 07, 2009, 06:36:08 PM »
Bohot khoob Dost !

Raah mil jaayegi, zara haath to de,
Mushkilai.N hongi door, zara saath to de
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #154 on: March 07, 2009, 06:54:08 PM »
Bohot khoob Dost !

Raah mil jaayegi, zara haath to de,
Mushkilai.N hongi door, zara saath to de


Bahut Maasumiyat chupi hai iss ashaar mein..bahut khoob Talat.. Applause Applause

Saath to deta tera par khud ke Naseeb se darr lagta hai,
Kya main tujhe har khushi de paaunga??
Kabhi Khud se Yeh Sawaal Puchta hoon,
jawaab na milne se "Khwaish" Bahut Darta hai...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #155 on: March 07, 2009, 10:28:52 PM »
Bahut Maasumiyat chupi hai iss ashaar mein..bahut khoob Talat.. Applause Applause

Saath to deta tera par khud ke Naseeb se darr lagta hai,
Kya main tujhe har khushi de paaunga??
Kabhi Khud se Yeh Sawaal Puchta hoon,
jawaab na milne se "Khwaish" Bahut Darta hai...

Bahut Khoob Khwaish Ji

Saath mere chalo to sahi, hum raha tujhe dikha denge,
Kitni duur ho manzil, hum tujhe wahan paucha denge
hum gham ko chupakar muskuraane walon mein se nahi
Shikayete dil  se nikaal Zubaan par laao hum sun lenge

Logged
zama
Guest
«Reply #156 on: March 08, 2009, 12:24:56 AM »
Ghum bataye agar... toh kya khushi mil jayegi
inn mayus labo.n par kya phir se woh hasi khil jayegii

bewafa sathi ke saat safar paar karne se
bathayiye toh ki woh zindagi kya kabhi zindagi kehlayegi
Logged
addicted
Guest
«Reply #157 on: March 08, 2009, 04:11:16 AM »
Ghum bataye agar... toh kya khushi mil jayegi
inn mayus labo.n par kya phir se woh hasi khil jayegii

bewafa sathi ke saat safar paar karne se
bathayiye toh ki woh zindagi kya kabhi zindagi kehlayegi


meri jaaN bewafa bulaaNe se pehle soch le
khud ko aap hii rulaaNe se pehle soch le

guzarNe ko guzar jayegi kisi ke saath bhii
tuu mere saath guzaarNe se pehle soch le

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #158 on: March 08, 2009, 08:58:14 AM »
Bohot khoob Dost !

Raah mil jaayegi, zara haath to de,
Mushkilai.N hongi door, zara saath to de

wah wah!! Bahut Khoob..sab ne Bhaut acha Likha hai..

Der Saver Duniya Ussi Ke Piche Chali Hai,
Sach aur Pyaar Ki Raah Par jo badha hai..

Jo Shaks Tufaan Ke Darr se Giir jaaye,
us Shaks Ki Koi Pehchaan Nahi!!!
Insaan wahi hai jisne waqt se ladha hai..

Apna Bhi Usse Hi Samjho Bhale woh Gair Ho,
Tumhare Dukh-sukh mein jo saath Khada Hai....


Bahut khoob Celmira ji / khwaish ji

Aadmi ko aadmi ka dost honaa chaahiye;
Kyoun ki, haiwaanoun ney bhi insaan sey ki hai dostee!
Dushmanee sey faayadah kyaa? Kuchh na kuchh khoteyn hain sab;
Aadmi ko, shaan-e-insaan banaatee hai dostee!!

                                - abd bundeli
Logged
aaina
Guest
«Reply #159 on: March 08, 2009, 09:16:49 AM »
ghamo ki aanch par aansu ubaal kar daikho
banega rang kisi par bhi daal kar daikho
tumhare dil ki chubhan bhi zaroor kam hogi
kisi ke paun se kanta niklaal kar daikho(NM)
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #160 on: March 08, 2009, 09:56:40 AM »
ghamo ki aanch par aansu ubaal kar daikho
banega rang kisi par bhi daal kar daikho
tumhare dil ki chubhan bhi zaroor kam hogi
kisi ke paun se kanta niklaal kar daikho(NM)
Nice sharing, aaina ji!
            - abd bundeli
Logged
zama
Guest
«Reply #161 on: March 08, 2009, 11:27:35 AM »
ghamo ki aanch par aansu ubaal kar daikho
banega rang kisi par bhi daal kar daikho
tumhare dil ki chubhan bhi zaroor kam hogi
kisi ke paun se kanta niklaal kar daikho(NM)

Nice sharing Aaina ji...

Logged
zama
Guest
«Reply #162 on: March 09, 2009, 04:29:04 AM »
Bhujti hui muhabbath ko hawa dijiye
chaen aaye dil ko aaisi dawa dijiye
fir na kabhi koi umiid rahe dil se
aaise hume muhabbath mein haraa dijiye

Zama
Logged
addicted
Guest
«Reply #163 on: March 09, 2009, 04:50:51 AM »
Bhujti hui muhabbath ko hawa dijiye
chaen aaye dil ko aaisi dawa dijiye
fir na kabhi koi umiid rahe dil se
aaise hume muhabbath mein haraa dijiye

Zama

muhabbat muhabbat karti ho tum
kyaa hoti hai ye chiz jaaNti ho tum ??

jab bhii baat aayi bewafaai kii
to sab se aage jaaNe kaise rehti ho tum
Logged
zama
Guest
«Reply #164 on: March 09, 2009, 05:15:23 AM »
muhabbat muhabbat karti ho tum
kyaa hoti hai ye chiz jaaNti ho tum ??

jab bhii baat aayi bewafaai kii
to sab se aage jaaNe kaise rehti ho tum

Muhabbath kya chiiz hai gar pata hota
na iss kader dil tum pe fida hota
gar wafa tumne bhi kabhi kiya hota
na ab naam mera bhi bewafa hota

Zama
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 47
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:24:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer