Reply the sher .....

by zama on February 24, 2009, 05:02:24 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 47
Print
Author  (Read 18548 times)
salma786
Guest
«Reply #75 on: March 03, 2009, 07:58:56 AM »
tujhse muhabbat hai maiN khul-e-aam kehtaa huuN
chup kar nahiN sab ke saamNe boltaa huuN

maiN kitNi parwaah kartaa huuN sitaaroN se pucho
maiN to sanam bas tujhse hii muhabbat kartaa huuN



Muhabbat hamari nakaam na hoti,
Gar tune hath na choda hota,
Vade to nibh hi jate sare,
Gar tune unko na toda hota!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Can any of u reply well to this by iknarayanan in Chit - Chat & General Discussion
REPLY ME by Ravish in English
...Plz Reply... by Sammual in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Plz Reply Ans...! by anjaansaya in General Stories
sher ka jawaab sher se....... by divyam in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
addicted
Guest
«Reply #76 on: March 03, 2009, 08:05:14 AM »
Muhabbat hamari nakaam na hoti,
Gar tune hath na choda hota,
Vade to nibh hi jate sare,
Gar tune unko na toda hota!

waade iraade aur pyaar kii baateN rehNe do
ishq meN khuli aankh kitNi bitaayi raateN rehNe do
Logged
salma786
Guest
«Reply #77 on: March 03, 2009, 08:22:27 AM »
waade iraade aur pyaar kii baateN rehNe do
ishq meN khuli aankh kitNi bitaayi raateN rehNe do


Aaj na roko mujhe,
Mere ansuo ko behne do,
Waqt bhi tham jaye aise,
Dard ki dastaan kehne do!
Logged
zama
Guest
«Reply #78 on: March 03, 2009, 08:23:32 AM »
waade iraade aur pyaar kii baateN rehNe do
ishq meN khuli aankh kitNi bitaayi raateN rehNe do


Yehi sab hote hai ashiko.n ki harkate
pehle muhabbath fir hai bewafai pe utharte

Zama
Logged
addicted
Guest
«Reply #79 on: March 03, 2009, 09:00:50 AM »
Yehi sab hote hai ashiko.n ki harkate
pehle muhabbath fir hai bewafai pe utharte

Zama
hum aashiqoN kii harkate aap nahiN samajhte
muhabbat meN bewafai hum nahiN aap haiN karte
Logged
zama
Guest
«Reply #80 on: March 03, 2009, 09:07:51 AM »
Kehte the tum ki dhoka nahi doge kabhi
fir aaj bewafa kaise ho gaye
jo nahi reh sakte the kabhi humse dur
woh humse juda kyu hogaye
badnaami thi main unki kismat ki
par mash-hur humise woh hogaye
jinhe shayari ki ek lafz na pata tha
dekho hai aaj woh shayar ho gaye

Zama

hum aashiqoN kii harkate aap nahiN samajhte
muhabbat meN bewafai hum nahiN aap haiN karte
Logged
addicted
Guest
«Reply #81 on: March 03, 2009, 09:14:45 AM »
Kehte the tum ki dhoka nahi doge kabhi
fir aaj bewafa kaise ho gaye
jo nahi reh sakte the kabhi humse dur
woh humse juda kyu hogaye
badnaami thi main unki kismat ki
par mash-hur humise woh hogaye
jinhe shayari ki ek lafz na pata tha
dekho hai aaj woh shayar ho gaye

Zama


hum shayar ho gaye mashuur ho gaye
mere ishq meN aap bhii to huur ho gaye

mere nashaa iss kadar hai aaj aap par
jaise sharaab ke nashe meN chuur ho gaye
Logged
zama
Guest
«Reply #82 on: March 03, 2009, 09:28:55 AM »
hum shayar ho gaye mashuur ho gaye
mere ishq meN aap bhii to huur ho gaye

mere nashaa iss kadar hai aaj aap par
jaise sharaab ke nashe meN chuur ho gaye


kya baat hai janaab
mood na karo kharaab
piche aaoge agar
gaali milegi be-hisaab  NaNaNa

Zama
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #83 on: March 03, 2009, 09:32:25 AM »
kya baat hai janaab
mood na karo kharaab
piche aaoge agar
gaali milegi be-hisaab  NaNaNa

Zama

Teri Gaaliyaan Hume Manzoor Hain,.
Teri Doori Magar Gawaara Nahi,.
Tu Mujhe Saath Rakhke Har Sitam Kar,.
Tujhse Door Raha, To Hoga Mera Guzaara Nahi,.
Logged
addicted
Guest
«Reply #84 on: March 03, 2009, 09:33:01 AM »
kya baat hai janaab
mood na karo kharaab
piche aaoge agar
gaali milegi be-hisaab  NaNaNa

Zama
maiN to tere piche piche aauNgaa
uss ke liye gaali bhii khauNgaa

mujhse pichaa chudaa naa paaoge
tum jahaa jaaoge maiN bhii aauNgaa love4
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #85 on: March 03, 2009, 09:34:30 AM »
maiN to tere piche piche aauNgaa
uss ke liye gaali bhii khauNgaa

mujhse pichaa chudaa naa paaoge
tum jahaa jaaoge maiN bhii aauNgaa love4

Tu Mujhe Aashiq Awaara Lagta Hai,.
Zama Ke Peeche Tu Kyun Pardta Hai,.

Logged
addicted
Guest
«Reply #86 on: March 03, 2009, 09:36:45 AM »
Tu Mujhe Aashiq Awaara Lagta Hai,.
Zama Ke Peeche Tu Kyun Pardta Hai,.



maiN Zama ke piche nahiN saath chaltaa huuN
uss ke dil meN nahiN rooh meN rehtaa huuN
Logged
zama
Guest
«Reply #87 on: March 03, 2009, 09:38:18 AM »
Tu Mujhe Aashiq Awaara Lagta Hai,.
Zama Ke Peeche Tu Kyun Pardta Hai,.



Yeh jazbaa tum samajh na paoge
yeh janmo.n ka nata hai
yeh ehsas-e-muhabbath se bandhe
jisse aam admi samajh na pata hai

Zama
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #88 on: March 03, 2009, 09:39:24 AM »
maiN Zama ke piche nahiN saath chaltaa huuN
uss ke dil meN nahiN rooh meN rehtaa huuN

Achcha Hua, Tune Rooh Mein Basaa Liya Use,.
Dil Mein Rehne Waale Aksar Dil Tord Jaate Hain,.
Dete Hain Ek Pal Ki Khushi, Aur Tanha Chord Jaate Hain..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #89 on: March 03, 2009, 09:42:15 AM »
Yeh jazbaa tum samajh na paoge
yeh janmo.n ka nata hai
yeh ehsas-e-muhabbath se bandhe
jisse aam admi samajh na pata hai

Zama

Hum To Khamoshiyon Ki Bhi Aahat Samajh Jaate Hain,.
Aam Aadmi Hi Sahi, Lekin Hum Bhi Dilon Ki Rishte Banaate Hain,.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 47
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:29:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer