Aaj ka BHARAT
Aaj mere BHARAT ka yu shakshatkar hota hai ,
Kahi daka kahi loot ,kahi balatkar hota hai ,
Gunah ki saza toh aksar begunah he pata hai ,
Gunehgar toh paise de kar he choot jata hai .
Aapradhi choot jate hai nirapradhiyo ko jail ho jati hai ,
Kuch pakde bhi gaye toh phir unki bail ho jati hai.
Jail ki ajab nirali dastan hai,
Har band kaidi ek sarkari mehman hai.
Bahar jo they kamjoor ,sukha tha jinka tan ,
Jail aakar unka bhi badh jata hai Vajan.
Chadava jailor ko mil jaye toh meherbani hoti hai ,
Bahar jinke roti k lale the unke plate me biriyani hoti hai .
Duniya ki nigah me vo saza pa rahe hote hai,
Hakikat me vo jail me maza uda rahe hote hai .
Netagiri ka bhi ajab nirala dastur hai ,
Har neta satta k nashe me chur hai .
Chunav k pehele pair padne par bhi sharmate nahi ,
Jeetnay k baad agle chunav tak nazar aate nahi.
Lalach dete hai vote pane k liye ,
Neta bante hai sirf kamane k liye .
Bharatya Rail ko duniya wale behtar Rail bolte hai ,
Mantri ji mantralay ko apni rakhel bolte hai .
Petrol k rate badha k janta ka khoon chus lete hai,
Apne he afsaro se promotion ki ghus le lete hai .
Siksha mantri hai magar naitikta bhul jate hai ,
100 me se challis bacche he school jate hai.
Mid-day meal ki chah me school sare jate hai ,
Ussi Mid-day meal se bechare mare bhi jate hai.
Khel mantra bhi apne vibhag me kamal karte hai ,
Padak toh dila nahi pate ,aayojan me golmaal karte hai .
Janta k paiso ka aise batwara hota hai,
Kisi ka Koyala toh kisi ka chara hota hai .
Apni kursi bachane k liye jugad laga dete hai ,
Mandir-Masjid k naam pe logo ko lada dete hai.
Aaj k Bharat ko dekh kar har bharatvasi ko dil jal raha hai,
Apna desh netao se nai Bhawgan bharose chal raha hai.
Aao sankalp le k Bharat ko ek nayi pehchan dengay ,
Apne desh k vikas ko ek nayi udan dengay .
Sukh,samridhi, shanty ka jab desh me raj hoga ,
Toh har bharatvasi ko apne desh pe naaz hoga.
Har gali, har seher me hoga yahi nara,
SARE JAHA SE ACCHA HINDUSTAN HAMARA
Mohit Chawda
St. Joseph’s College
Hyderabad
mohit.jdp@gmail.com[fb]
waah waah waah bohut bohut umdaaa poem thanks for sharing