shadi-shuda yoindians pay attention

by bekarar on June 05, 2008, 11:43:39 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 5902 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
doston....
bahoot dino se ek sawal mere samane khada hai..jawab bhi hai..lekin maine soch ki aap logon ke sath baith-kar hi is baat ka faisala kiya jay ki sahi jawab kya hai.

aap sabhi log is baat se sahmat honge hum logon ki community matlab shayri samjhane wale ya likhne wale log kuch alag to hote hain aur bahoot bhawook bhi jaisa maine yahan par mahsoos kiya hai..
aur ab mai apne vyktigat anubhav ki baat karna chahta hun..kai baar yun bhi hota hai ki is duniya me jin baaton ka log bahoot bura maan lete hain hume un baaton se koi pareshani nahi hoti jabki wo baat jise sab choti si baat kah-ke hawa me uda dete hain...hume itni boori lag jaati hai ke bardasht ke bhi bahar ho jati hai.........

aisa mere sath kai baar hua hai lekin yahan par wo zikr na karke mai main mudde par aata hun....jo sirf shadi shuda yoindians ke liye hi hai

kya aapko aisa lagta hai ke aapke emotional nature ki wazah se aap apne partner se behtar talmel nahi bana pa rahe ya some time you feel uncomfertable with your partner inspite of loving her /him.....please vote
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pati Patni aur Wo - Aakhir kyun shadi shuda Ki khwahishen nahi mit.tin by khumaar in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
syednaami
Guest
«Reply #1 on: June 05, 2008, 11:55:41 AM »
Bekarar bhaya ab yeh sawaal mere upar laagu nahin hota... hehehe

Haan shayiri hum bhi likhte hain bar bhaavuk nahin itne ke honewale life partner ko hamare vyavahaar se koi kasht-ta ho...
Hum sada shaanti vyaapak...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: June 05, 2008, 02:07:25 PM »
B
Bekarar bhaya ab yeh sawaal mere upar laagu nahin hota... hehehe

Haan shayiri hum bhi likhte hain bar bhaavuk nahin itne ke honewale life partner ko hamare vyavahaar se koi kasht-ta ho...
Hum sada shaanti vyaapak...

bhaii jaan aap shadi-shuda ho?Huh???
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: June 05, 2008, 02:39:10 PM »
Haan aap tik kah rahe hai bekarar ji mujhe bhi bohat bhar
aise mesus hue aur kabhi kabhi toh kaamosh bhi rahena padta hai sad11
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: June 05, 2008, 03:53:39 PM »
Bbhaii jaan aap shadi-shuda ho?Huh???
Nahin to kab kaha humne aisa, woh to future tense men bole na...

Haan aap tik kah rahe hai bekarar ji mujhe bhi bohat bhar
aise mesus hue aur kabhi kabhi toh kaamosh bhi rahena padta hai sad11

Haan,

zindagi men gham bhi milte hain
samjhota ghamon se karlo
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 05, 2008, 05:36:41 PM »
BAHOOT HE ACHE SAWAL KE SATH ACHI THREAD OPEN KI HAI..  Applause
Hope sabhi yaha seriouse discussion he karege...

Waise ajj ke mahol main live in relationship bhi bahoot aamm baat ho gai hai. So main aise yoindian members ko bhi kahugi ki wo apne khayalaat yaha per share kare.

Bekarar ji,

Apki post kai baar pardi. Apki yah baat bahoot sahi hai.
kai baar yun bhi hota hai ki is duniya me jin baaton ka log bahoot bura maan lete hain hume un baaton se koi pareshani nahi hoti jabki wo baat jise sab choti si baat kah-ke hawa me uda dete hain...hume itni boori lag jaati hai ke bardasht ke bhi bahar ho jati hai.........

Maine bhi apne vaykigat zindagi main yah mehsoos kiya hai ki jo baat dunia ke liye ek bawnder hai, mere liye kuch bhi nahi, koi ahmiyat nahi hai! Aor jise dunia ek choti se baat kahti hai, wo mujhe itna hurt kar jaati hai ki samjh nahi atta kaise koi yah kar sakta hai.. yaani koi emotionas hi nahi.. kisi ke dil per kaya beeti koi ahsaas hi nahi…

Ab aate hai apke sawal per:
kya aapko aisa lagta hai ke aapke emotional nature ki wazah se aap apne partner se behtar talmel nahi bana pa rahe ya some time you feel uncomfertable with your partner inspite of loving her /him.....please vote

Bekarar ji yaha mere liye yah samjhna bahoot jaroori hai ki yah emotions kis tarah ke hai. Kai insaan by nature senstive hote hai. Aor kai insaan sirf apne partner ke liye senstive hote hai. Dono emotional hai magar mere khayal se dono ke reactions alag alag hoge!!

Mera yah bhi man.na hai ki adami aor aourat dono ke reactions bhi alag hoge. Aourat ke emotions hurt hote hai to wo roti hai, jhagarti hai, magar sath pati ka chahti hai her pal. Jahan Adami ke emotions hurt hote hai to wo khud ko alag kar leta hai. Chup ho jaata hai. Ghar se baher rahna shuru kar deta hai. Moke dhundta hai ki kab wo wapis apne partner ko hurt kare aor jawab mai tana de sake. Kahin per aourto main bhi yahi same admio jaise bhawna paai jaati hai, taane dene wali.

partner ko na samjh paana itna alag nahi karta, jitna ki na samjhne ke halaat main, jo jhunjhlahat hoti hai, us jhunjhlahat main jo vayvhaar partners ek doosre ke sath kar jaate hai. wo dilo mai dooria lana shuru kar deta hai.

Koi insaan yah samjh leta hai ki mere partner ko pata hi nahi hai.. jab pata hi nahi hai to shikayat kaise!!
Aor koi insaan sochta hai, main iska partner hu, isko pata hona chahiye.. nahi pata, to pata kare.. wahan problams shuru ho jaati hai.. so yah alag alag insaan per depend karta hai ki wo kaya soch kar kis disha main jaana chahta hai...

mere khayal se is topic per main non-stop ghanto likh sakati hu.. magar shayad app sab ke liye boring ho jayega.. so yahi band karati hu.

Waiting for more comments from others,….
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: June 05, 2008, 05:55:35 PM »
Koi insaan yah samjh leta hai ki mere partner ko pata hi nahi hai.. jab pata hi nahi hai to shikayat kaise!!
theek kaha aapne pooja ji
maine jo sawal uthaye uska jawab yahan se shuru hota hai........
aur ye nitant nizi anubhav hai mera....ki aap apne partner se kuch chupa nahi sakte. kisi bhi mayne me kam se kam mai to nahi...
aur shayad aapko lagta hai ki aapne kuch chupa liya jo shayad aap chupana chahte the lekin kubsurati ye hai janab ke jo aap soch rahe the ke aapne chupa liya wo aapke partner ko pata hota hai aur wo sirf aapka bharam kayam rakhne ke liye aisa act karati hai ki wakai use wo maaloom nahi jo aap usase chupa rahe hain jabki use wo pata hota hai.....
shayad kafi ulajhi hui baat kah raha hun mai.......
tab tak thik hai lekin jab wo uska galat jagah par ye batate hue istemal kar le ki use pata tha tab...apko thik nahi lagata....
kyon hai na.............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 05, 2008, 06:06:02 PM »
ji bilkul sahi...

Pati-patani ka rishta, aisa rishta hai jis main kahte hai ki hawa ki bhi gunjaish nahi hoti. Yah understanding, care aor Tust per chalta hai. care aor trust ke liye understanding ka hona bahoot jaroori hai.

Baat pata hote hue nahi batai kyun ki partner ne nahi batai yah understanding aor emotional care hai. magar sath ke sath ek bojh bhi hai ki kyun nahi batai? kaya mujh per vishwaas nahi, yaha se yah shanka bhi janam leti hai ki yah baat nahi batai to shayad kuch aor bhi nahi bataya hoga .. yaha se shuruwaat hoti hai shaq ki jo kabhi bhi kisi bhi relationship ke liye thik nahi hai..

jahan tak galat waqat per us baat ko use karna hai..wo galat hai, magar doosre partner ko yah bhi khayal rahe ki wo bhi is baat ke liye jimmedaar hai, kyun ki usne ek baat chupa kar, her waqat ki tension jo apne partner ko di hai.. wo use kabhi bhi jahan bhi jagah mile wahan dil se nikal sakti hai...

waiting for more comments...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: June 05, 2008, 06:25:21 PM »
aapne sahi kaha magar mai subject se kuch bhatak sa gaya hun....
mai jab ye post kar raha tha tab mere man me sirf ek hi sawal tha........mai jamane ki baat bnahi karata lekin aap apne partner se to ye ummid kar sakte hain ki wo aapko samjhe aur wo kam se kam un choti choti baaton ka khayal rakhe jo shayad duniya ke liye bahoot choti hain aur aapke liye dil todne waali...ie. wo daily subah phone na karane wali ek bahoot mamooli si baat bhi ho sakati hai..............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: June 05, 2008, 06:30:28 PM »
bekarar ji,

main apni baat dohra rahi hu.. agar apke partner ki adat main koi baat nahi hai.. to app bhi yah soch kar najarandaz kar sakte hai ki usse yah baat pata hi nahi to kaise karegi.. yah dono taraf se hai... kahin ek ko samjhna pardta hai to kahin doosre ko..

baki wo kahte hai ki her situation mai do raste hote hai.. yah depend karta hai ki app kaya chunte hai.

Chaliye ek aor discussion shuru karte hai sath ke sath:
Emotions kaya hai?

Yah ek soch hai.. jo insaan ko kahin ka kahin pahunch adeti hai.. kai baar bahoot kamjor kar deti hai to kai baar bahoot bahadur bana deti hai.

app kaya kahte hai?
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: June 05, 2008, 06:59:20 PM »
hmmmmm yahan mai aapse ek nizi anubhav baantna chahta hun.....
shayad aapko kuch ajib lage par jo bhi hai.......
mai school me 11th me tha aur mere shahar me andhe logon ka ek alag school tha .....aapko shayad maloom nahi hoga ki andhe students ko exam likhne ke liye govt. ek writer provide karvati hai jo kisi dusare school se hote hain aur unse nichli class ke hote hai I mean a 10th class blind student may have a ninth class student as a writer.
aur ye writer dusare schools se liye jaate hain yani jo bhi student swechcha se chahe wo in andhe logon ke liye likh sakta hai...govt. ki taraf se likhnewale ko kuch paisa bhi milta hai...
khair ye sab kahani aapko batane ka mat-lab ye hai ki mai bhi ek blind ke liye writer bana tha aur uske baad lag-bhag teen saal tak maine uske liye exam likhe.....
aur is douran mai blind logon ke bahoot close raha aur unse maine flute bajana sikha.....khair... us samay mujhe mahsoos hua ke kisi bhi blind me aankh walon se jyada dekhne ki taakat hoti hai..aur in logon ko kisi bhi tarah ki sympathy nahi chahiye.. kai baar to un logon ne mujhe ye tak bata diya ki yahan barish ka paani hai ya fir saamne ladkiyan aa rahi hai.........
kai baar to mera scooter (jo darasal mere papa ka tha mai kabhi le kar unke paas jata) ko chalane ki jid karane lagte......aur to aur un logon ne mujhe ye bhi dikhaya ke wo log kaise apne andhe hone ka fayada uthate hain..
itani lambi baat likhne ka matlab sirf ye hai ke unse milne se pahle mere rishtedaaron me ek blind tha use dekh kar mai bahoot dukhi ho jaata tha lekin un blinds ko dekhne ke baad kisi bhi apang ko dekhkar ab wo emotion nahi aate.......
emotion bas ek awastha hai jo paristhitiyan aur aapka man dono milkar bana dete hain
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: June 05, 2008, 07:07:30 PM »
BAHOOT HE ACHE SAWAL KE SATH ACHI THREAD OPEN KI HAI..  Applause
Hope sabhi yaha seriouse discussion he karege...

 


jinhe serious hona nahi aata ho....unke liye yahan likhne pur paabandi kub talak,khulaasa kijiye!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: June 05, 2008, 07:10:38 PM »
Kash main Sholly ki Hema Malini ki tarah kah sakti.. Un ke yah to kamal ho gaya tongue3

Wiase kamal yah hua hai ki meri Grandmom, high school ki principle thi. Retire hone ke baad wo Delhi ke Andh mahavidyale mai Voluntarily kaam karati thi. so 4 saal lagataar, her summer vacation main do mahine mere wahin beet.te the, Such kaha ki unki apni ek dunia hai, jahan kuch waqat baaad yah mehsoos nahi hota ki wo dekh nahi sakte.. unke apne tarike hai masti ke, shararto ke. Likhte hue bhi ajeeb lag raha hai magar kai baar pagal banaya unhone mujhko. kaya yaadein taja karwa di apne..


apne yah baat bilkul sahi kahi hai:
emotion bas ek awastha hai jo paristhitiyan aur aapka man dono milkar bana dete hain

magar mujhko lagta hai ki hum apke sawal se koso door chale ayye hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: June 05, 2008, 07:12:43 PM »
jinhe serious hona nahi aata ho....unke liye yahan likhne pur paabandi kub talak,khulaasa kijiye!

Prateek ji,

Apse aise sawal ki asha nahi thi. waise insaan ke gambhir hone ya na hone ki baat nahi kahi gai. Is gambhir vishye ko madhe najar rakhte hue hi likhe jo bhi likhna hai.. extra chit-chat nahi...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: June 05, 2008, 07:19:02 PM »
Quote from: Pooja
Mera yah bhi man.na hai ki adami aor aourat dono ke reactions bhi alag hoge. Aourat ke emotions hurt hote hai to wo roti hai, jhagarti hai, magar sath pati ka chahti hai her pal.
--------------
Bas yeh baat 99.99% sach hai, kuchh bhi I agree with you Pooja jee...
Haan bhale kuchh bhi ho, East men aisa zaroor hota hai, West men shayad aisa nahin wahan to baat hi aur hai jo hum Eastern sada log jhail nahin payenge...

Yahan par divorce rate kam hai, jab ki wahan to taoba... Just added (Nothing else)

Emotions ka jahan tak ta'aluq hai to emotion ki definition bhi Mard aur Aurat men alag alag hoti hai... Jo Pooja ji ne point out kia hai...

Baqi ab jab unmarried hun to aap logon jaisa likhna thoda mushkil hai....
Par abhi aur bhi likhunga,,, aisa nahin ki na likhun...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:39:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer