Friendship day......quotes and verses

by KOYAL46 on July 31, 2010, 05:37:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2264 times)
KOYAL46
Guest
Kehte hai, kuch log jindagi main aate hai istarah
Kab, kaise jigar jaan dost ban jaate hai kya pata
Par meri viraan jindagi main yeh hota nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.

Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-jindagi main
Saath chalenge woh mere aisa vaada tha unka
Koi kisi ke liye yaha rukta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.

Har baar mujhe ek chot lagi hai kuch aise
Ke tukde hue hai kai aitbaar ke mere
Bikhare un tukdo ko main samete ta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.

Mere dil ke tukde to har koi le gaya mujhse
Badle main bas ek suna pan degaya har koi
Ke mera dil bhi ab mere paas nahi
Ke main ab dost koi banata nahi


I have learned, Joy is not in things, it is in us.
You will ultimately be known by what you give and not by what you get.

Collected by koyal




Dosti ka pehala salaam aapke naam,,,,,,,,,,
Hamaari zindagi ki akhari sham aapke naam.
Iss safar main humsafar hain hum dono,,,,,,,,,
Is dosti ko nibhana hain aapka kaam………..
`
Tum milo na milo koi gam nahi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
SMS karo yeh milne se kam nahi..,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Dosti me dhoka de woh Hum nahi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Hamari Dosti bhi krishn Aur sudama se kam nahi…
`
Hasee chupaana kisi ko gawara nahi hota,
her musafir jindgi ka sahara nahi hota,
milte hai log is tanha jingi me per,
har koi dost tumsa payara nahi hota..
`
Mulakaat maut ki mehmaan ho gayi hai…
Nazar ki zindigi sunsaan ho gayi hai….
Ab meri saans bhi meri nahin rahi….
Ye Zindagi aapki dosti par kurbaan ho gayi hai…

Jo har pal jalti rahe, use roshni kehte hain,,,,,
Jo pal pal chalti rahe, use zindagi kehte hain,
Jo pal pal khilti rahe, use mohabbat kehte hain,
Jo saath na chode, use apni dosti kehte hain…
`
Na mujhe yaad rakhna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Na baante yaad rakhna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Bas Dil ki dili tammana hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Bas hamara naam zroor yaad rakhna….
`
Dua karte hain hum sir jhukae dargaah pe,,,,
Ae dost tu apni manzil ko paye,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Teri rahon me ho kaanten agr,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
To un kaanto ko hataane ke liye khuda hame bulaaye…
`
Aapki yaari Aapki wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye aasra hi kafi hai,
Jahan milo dekh ke muskura dena,
Jene ke waste ye aasra hi kafi hai….
`
Shama se ujaale dhor ho jaate,
To chand ki chahat kise hoti?
Kat sakati akele ye zindagi,,,,,,
To dosti ki saughaat kyon hoti ?

Aye Dost Tune Kya Khoob Dosti Nibhai,
Unke He Haathon Se Apne Takdeer Likhwayi,
Tha Jo Bhrosa Mera Doston Pe,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Unhi Doston Ne Aaj Bewafai Nibhai………
`
Jab kabhi dosti ki dastaan waqt sunaayega,
Humko bhi koi shaqs yaad aayega,,,,,,,,,,,,
Tab bhool jaayenge zindagi ke gamon ko,
Jab aapke saath guzara har lamha yaad aayega..

Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hai,
Khuda ne jab bhi pucha dosti ka matlab,
Hamari ungli aapki aur hoti hai.

I made a list of my dearest person,
And I wrote them down in pencil,
I included ur name but wrote it in permanent ink,
Bcoz i decided to keep U in my list forever.

God gives us two gifts…
One is chance and the other is choice,
Chance 2 have friends
And choice to select the best ones like U.

Don’t walk infront of me, I may not follow.
Don’t walk behind me, I may not lead.
Just walk beside me and be my friend.

Palbhar mein toot jaye wo kasam nahi,
Dost ko bhul jaye wo hum nahi,
Tum hume bhool jao is baat mein dum nahi,
Kyon ki tum hame bhul jao itne bure hum nahi

Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par aasoo chod jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey jindagi bhar kaam aate hain.

In andhero ke liye kuch aftab mage hai,
Dua mein hamne dost kuch khas mage hai,
Jab bhi maga kuch rab se,
To aap ke liye khusiyo ka pal mage hai.

Chirago se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,
Kat sakti agar ye jindgi akele,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?

Hamari dosti raymond jaisi nahi since 1965,
Pepsi jaisi bhi nahi ye dil mange more,
Ye dosti hogi LIC jaisi,
Zindagi ki saath bhi,
Zindagi ke baad bhi.

Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe sms karne ko to nahi kahenge yeh dost,
Par phir bhi tere sms ka intezar karenge.

Is dil ka hai ek condition,
Jis main nahi kisi ko permission,
Sirf aap jese dost ko hai admission,
Wo bhi bina donation,
So just maintain good relation.

Har khushi dil ke karib nahi hoti,
jindagi gamo se dur nahi hoti,
aye dost dosti ko sanjokar rakhna,
dosti har kisi ko nasib nahi hoti

Kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahin jaate,
Kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahin jaate,
Kayi dil aise hote hain jo tode nahin jaate,
Aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chhode nahin jaate.

 ........................NM.......................


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wedding Verses by sullyp in Occassion Specific Poetry
Wedding invite verses by sullyp in Shayri for Khumar -e- Ishq
quotes by dead heart in Quotable Phrase and Quotes
Eid Ka Chand---two verses by mazHur in Shayri for Dard -e- Judai
*Quotes* by Roja in Quotable Phrase and Quotes
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 31, 2010, 06:46:11 PM »
waaaaaaaaaaaaaah kya baat hai koyal ji......
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2010, 09:29:19 PM »
Wow very beautiful sharing Koyal sis.wish u all a happy friendshipday. icon_salut icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley love4 love4 love4 love4 love4 love4 love9 love9 love9 love9 hello
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:20:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer