dil ka ye haal KAHAAN tha pehle-- Nasir Kazmi

by ghayal_shayar on May 21, 2013, 06:44:50 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1175 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Kuchh To Ehsaas-e-ZiyaaN Thaa Pehle
Dil Kaa Ye Haal KahaaN Thaa Pehle

Ab To Manzil Bhii Hain Khud Garm-e-Safar
Harr Qadam Sang-e-NishaaN Thaa Pehle

Safar-e-Shauq Ke Far_Sang Na Pouchh
Waqt Beqaid-e-MakaaN Thaa Pehle

Ye Alag Baat Ki Gham Raas Hain Ab
Iss Mein Andeshaa-e-JaaN Thaa Pehle

YouN Na Ghabraaye Houe Phirte Thhe
Dil Ajab Kunj-e-AmaaN Thaa Pehle

Ab Bhii Tuu Paas Nahiin Hai Lekin
Iss Qadar Dour KahaaN Thaa Pehle

Dere Daale Hain Bagolon Ne JahaaN
Uss Taraf Chashm-e-RavaaN Thaa Pehle

Ab Woh Dariyaa Na Bastii Na Wo Log
Keyaa Khabar Kaun KahaaN Thaa Pehle

Harr Kharaabaa Ye Sadaa Detaa Hai
Main Bhii Aabaad MakaaN Thaa Pehle

Keyaa Se Keyaa Ho Gayi Duniyaa Pyaare
Tuu Wahiin Par Hai JahaaN Thaa Pehle

Ham Ne Aabaad Kiyaa Mulk-e-SuKhan
Kaisaa Soun-Saan SamaaN Thaa Pehle

Ham Ne BaKhshii Hai Khamoshii Ko ZubaaN
Dard Majbuur-e-FuGaaN Thaa Pehle

Ham Ne Rowshan Kiyaa Maamor-e-Gham
Warnaa Harr Simt Dhouyaan Thaa Pehle


Gham Ne Phir Dil Ko Jagaayaa "Nasir"
Khaanaa_Barbaad KahaaN Thaa Pehle


*Writer: Nasir Kazmi Jee**
Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2013, 07:38:29 PM »
Reply with quote
waah nyc sharing taish ji,..............
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2013, 10:32:45 PM »
Reply with quote
beautiful sharing taish ji...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2013, 12:28:35 AM »
Reply with quote
nice sharing , taish ji
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #4 on: May 22, 2013, 12:52:56 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2013, 11:06:13 AM »
Reply with quote
waah nyc sharing taish ji,..............

pasand karne ka shukriya laaiba ji...!!
Logged
sarfiraa
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2013, 01:40:36 PM »
Reply with quote
aapka shukriya ek baar fir se Taish saahab

itni khubsoorat aur sanzeeda ghazal share krne ke lie behad shukriya bhai

khush rahie
aabaad rahie
Logged
Mohammed Ismail
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2013, 05:59:31 PM »
Reply with quote
Janab Taish Sab,
bahut hi khoob ghazal, dil khush kardiya apnay. Lekhtay rahay bazam ko garam rakhay.

Ismail Roushan
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 23, 2013, 02:09:42 AM »
Reply with quote
beautiful sharing taish ji...


thanks for liking it aqsh ji, bas yuNhi aati raheN aap....
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #9 on: May 23, 2013, 03:55:37 AM »
Reply with quote
nice sharing , taish ji

shukriya hasan ji, sharing pasand karne ke liye, bas aage v aap yuNhi saath nibhaate raheN... Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: May 23, 2013, 03:03:20 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

pasand karne ka shukriya sudhir saaheb...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2013, 03:04:19 PM »
Reply with quote
aapka shukriya ek baar fir se Taish saahab

itni khubsoorat aur sanzeeda ghazal share krne ke lie behad shukriya bhai

khush rahie
aabaad rahie


bhai bas yahi kosish rehti hai ki aap logoN ke dil ko bhaane waali sharings kar sakuN, bas yuNhi aap saath dete rahiye...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: May 23, 2013, 03:05:39 PM »
Reply with quote
Janab Taish Sab,
bahut hi khoob ghazal, dil khush kardiya apnay. Lekhtay rahay bazam ko garam rakhay.

Ismail Roushan

ismail saaheb pasand karne ka shukriya, par maine to bas share kiya hai, waise ye nasir kaazmi saaheb ki ghazal hai, asli tareef ke haqdaar wahi haiN...!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:54:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer