Gul Tere Rang Chura Laaye Hain Gulzaaron Mein

by ghayal_shayar on July 20, 2013, 09:18:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1011 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Shayar- Ahmad Nadeem Qasmi


Gul Tere Rang Chura Laaye Hain Gulzaaron Mein
Jal Raha Hun, Bhari Barsaat Ki Bauchaaron Mein

Mujhse Katra Ke Nikal Jaa, Magar Aye Jaan-e-Haya
Dil Ki Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaaron Mein

Husn Begaana-e-Ehsaas-e-Jamaal Achha Hai
Gunche Khilte Hain To Biq Jaate Hain Baazaaron Mein

Zikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unwaan-e-Jafaa
Chaaragar Phool Piro Laaye Hain Talwaaron Mein

Zakhm Chhup Sakte Hain, Lekin Mujhe Fan Ki Saugandh
Gham Ki Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shehkaaron Mein

Muntazir Hai Ki Koi Teesha-e-Takhleeq Utthaye
Kitne Asnaam Abhi Dafn Hain Kuhsaaron Mein

Mujho Nafrat Se Nahin, Pyaar Se Masloob Karo
Main To Shaamil Hun Muhabbat Ke Gunaahgaaron Mein
Logged
nishi gahlaut
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2013, 09:50:16 PM »
Reply with quote
Shayar- Ahmad Nadeem Qasmi

Bahut khoob... Applause Applause

Gul Tere Rang Chura Laaye Hain Gulzaaron Mein
Jal Raha Hun, Bhari Barsaat Ki Bauchaaron Mein

Mujhse Katra Ke Nikal Jaa, Magar Aye Jaan-e-Haya
Dil Ki Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaaron Mein

Husn Begaana-e-Ehsaas-e-Jamaal Achha Hai
Gunche Khilte Hain To Biq Jaate Hain Baazaaron Mein

Zikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unwaan-e-Jafaa
Chaaragar Phool Piro Laaye Hain Talwaaron Mein

Zakhm Chhup Sakte Hain, Lekin Mujhe Fan Ki Saugandh
Gham Ki Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shehkaaron Mein

Muntazir Hai Ki Koi Teesha-e-Takhleeq Utthaye
Kitne Asnaam Abhi Dafn Hain Kuhsaaron Mein

Mujho Nafrat Se Nahin, Pyaar Se Masloob Karo
Main To Shaamil Hun Muhabbat Ke Gunaahgaaron Mein

Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2013, 11:11:58 PM »
Reply with quote
Awesome sharing taish ji....
Logged
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 20 hours and 34 minutes.

खुश रहो खुश रहने दो l

Posts: 4127
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #3 on: July 21, 2013, 01:20:51 AM »
Reply with quote
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: July 21, 2013, 03:20:36 AM »
Reply with quote
Shayar- Ahmad Nadeem Qasmi


Gul Tere Rang Chura Laaye Hain Gulzaaron Mein
Jal Raha Hun, Bhari Barsaat Ki Bauchaaron Mein

Mujhse Katra Ke Nikal Jaa, Magar Aye Jaan-e-Haya
Dil Ki Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaaron Mein

Husn Begaana-e-Ehsaas-e-Jamaal Achha Hai
Gunche Khilte Hain To Biq Jaate Hain Baazaaron Mein

Zikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unwaan-e-Jafaa
Chaaragar Phool Piro Laaye Hain Talwaaron Mein

Zakhm Chhup Sakte Hain, Lekin Mujhe Fan Ki Saugandh
Gham Ki Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shehkaaron Mein

Muntazir Hai Ki Koi Teesha-e-Takhleeq Utthaye
Kitne Asnaam Abhi Dafn Hain Kuhsaaron Mein

Mujho Nafrat Se Nahin, Pyaar Se Masloob Karo
Main To Shaamil Hun Muhabbat Ke Gunaahgaaron Mein


wah wah wah .....! achi collection rakhte ho taish bahut achi ghazal share ki hai
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: July 21, 2013, 04:49:12 AM »
Reply with quote


nishi ji sharing pasand karne ka shukriya...
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2013, 01:20:52 PM »
Reply with quote
Kya Baat hai Bahut Khoob.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2013, 08:27:42 PM »
Reply with quote
Awesome sharing taish ji....

sharing pasand karne ka shukriya aqsh ji...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: July 21, 2013, 09:28:01 PM »
Reply with quote
beautiful
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: July 22, 2013, 06:50:39 PM »
Reply with quote
wah wah
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: July 23, 2013, 11:21:36 AM »
Reply with quote
hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2

saxena saaheb sharing pasand karne ka shukriya..!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2013, 11:23:31 AM »
Reply with quote
wah wah wah .....! achi collection rakhte ho taish bahut achi ghazal share ki hai

sheba ji collection vagairah to nahin hai kuch khaas mere paas, haaN par padhta bahut huN idhar udhar, aur jo bhi pasand aata hai, sochta hun auroN ko bhi padhaauN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: July 23, 2013, 11:25:58 AM »
Reply with quote
Kya Baat hai Bahut Khoob.

shukriya ravinder saaheb...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: July 23, 2013, 11:27:02 AM »
Reply with quote
beautiful

indeed sir, it is, thanks for liking...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: July 23, 2013, 11:28:01 AM »
Reply with quote
wah wah

bahukhandi saaheb bahut bahut shukriya ise pasand karne ka.... Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:17:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer