Is mohabbat me main akeli thi- Ali Kirmani sahab

by ghayal_shayar on November 20, 2012, 06:41:54 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2335 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
adaab sabhi ko........

ye kalaam Ali Kirmani ji ka hai........
main ise isliye post kar raha hoon kyunki isko padhkar lagta hai ki ghazal kise kehte haiN.....agar kaafiye par gaur kiya jaaye...to its a tough job.....shayad isse kuch seekhne ko mile........
_______________________________________

na koi khwaab na koi saheli thi...
is muhabbat me, maiN akeli thi...

ishq me tum kahaN ke sachhe the...
jo azziyat thi hum ne jheli thi...

yaad ab kuchh nahin raha lekiN...
aik darya tha ya haweli thi...

jis ne uljha ke rakh diya dil ko...
woh muhabbat thi ya paheli thi...

me zara si bhi kam wafa kerti...
tum ne to meri jaaN leli thi...

waqt ke saanp kha gaye us ko...
mere aangaN mein ek chameli thi...

is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...
kitni roshan meri hatheli thi...

na koi khwaab na koi saheli thi,
is mohabbat me maiN akeli thi.........

____________________________________________

shukriya,
TaisH.........

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Akeli soch rahi hu! by salma786 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
akeli hoon main by jannatjahan in Shairi - E - Zindagi
Akeli chalti rahi! by salma786 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Nav Akeli by Dr.Roy in Gujarati
MaiN moHabbat hooN moHabbat ko bachaa le koie. by Ghulam Haider in Ghazals « 1 2  All »
vimmi singh
Guest
«Reply #1 on: November 20, 2012, 07:08:15 AM »
Reply with quote
nice sharing...... icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2012, 07:25:17 AM »
Reply with quote
Bahut  pyari  ghazal  hai  , Taish  saheb . Aap  ne  sahi  
intakhaab  kiya   hai . Albatta  matle   ka  pahla  misra
shayed  ghalat  likh  gaya  hai . Doosra lafz  'koi'  khtak raha  
hai . Ho  sakta  hai  main  ghalat  hoon . Aap  check  kar
lijyega . HASAN
Logged
aqsh
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2012, 08:17:13 AM »
Reply with quote
 Applause Applause nice sharing  Applause Applause
Logged
shara63
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2012, 08:24:16 AM »
Reply with quote
"na koi khwaab na koi saheli thi
is muhabbat me, maiN akeli thi....

Laajawab !  

Nazuk motiyon se piroye hue ehsas jab ghazal ban jate hain tab aise hi karishme hote hain...khoobsoorat sukoon bhari rawani ke saath ye ehsas ek se doosre dil me utarte chale gae..Dili Shukria 'Ali Kirmani Sb' ko itne khoobsurat shahkar ke liye  ..aur Taish sb aap ko bahut bahut shukria is ghazal ko yahaan par share karne ke liye!!

shara 'ainy'  
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: November 20, 2012, 08:46:12 AM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab is khoob kalaam se ruberu karane ke liye...
Aur waqai tuf qafiyaa hai... KyuN ke kal hi maiN is kafiye ko lekar bahut
soNcha par mujhe sirf 3 hi qafiye mile iske.. Usual Smile


Par aapki is sharing ne aaNkheN khol dii... Thanks again...

Likhate rahiye.. aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #6 on: November 20, 2012, 08:54:56 AM »
Reply with quote
adaab sabhi ko........

ye kalaam Ali Kirmani ji ka hai........
main ise isliye post kar raha hoon kyunki isko padhkar lagta hai ki ghazal kise kehte haiN.....agar kaafiye par gaur kiya jaaye...to its a tough job.....shayad isse kuch seekhne ko mile........
_______________________________________

na koi khwaab na koi saheli thi...
is muhabbat me, maiN akeli thi...

ishq me tum kahaN ke sachhe the...
jo azziyat thi hum ne jheli thi...

yaad ab kuchh nahin raha lekiN...
aik darya tha ya haweli thi...

jis ne uljha ke rakh diya dil ko...
woh muhabbat thi ya paheli thi...

me zara si bhi kam wafa kerti...
tum ne to meri jaaN leli thi...

waqt ke saanp kha gaye us ko...
mere aangaN mein ek chameli thi...

is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...
kitni roshan meri hatheli thi...

na koi khwaab na koi saheli thi,
is mohabbat me maiN akeli thi.........

____________________________________________

shukriya,
TaisH.........



NICE,SIR
Logged
prashad
Guest
«Reply #7 on: November 20, 2012, 09:49:29 AM »
Reply with quote
 icon_flower nice sharing Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: November 20, 2012, 10:29:58 AM »
Reply with quote
nice, thanx for sharing
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #9 on: November 20, 2012, 10:54:15 AM »
Reply with quote
Behad Shaanaar Lajwab Sharing Taish Ji...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: November 20, 2012, 12:57:34 PM »
Reply with quote
nice sharing...... icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause

thanks maam...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: November 20, 2012, 01:00:09 PM »
Reply with quote
Bahut  pyari  ghazal  hai  , Taish  saheb . Aap  ne  sahi 
intakhaab  kiya   hai . Albatta  matle   ka  pahla  misra
shayed  ghalat  likh  gaya  hai . Doosra lafz  'koi'  khtak raha 
hai . Ho  sakta  hai  main  ghalat  hoon . Aap  check  kar
lijyega . HASAN

hasan sahab shukriya, par janaab thoda jehan aur baaNki net se likha hua hai, to galti hona koi badi baat nahi, waise agar kuch gadbad ho to aap v ise coorect kar sakte hain, kyuNki muje isi haal me mil rahi hai ye ghazal har jagah, waise aapne apna waqt diya uske liye maiN bahut shukraguzaar huN, yuNhi saath dete rahiyegaa...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 20, 2012, 01:01:03 PM »
Reply with quote
Applause Applause nice sharing  Applause Applause

thanks mate...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 20, 2012, 01:02:30 PM »
Reply with quote
"na koi khwaab na koi saheli thi
is muhabbat me, maiN akeli thi....

Laajawab ! 

Nazuk motiyon se piroye hue ehsas jab ghazal ban jate hain tab aise hi karishme hote hain...khoobsoorat sukoon bhari rawani ke saath ye ehsas ek se doosre dil me utarte chale gae..Dili Shukria 'Ali Kirmani Sb' ko itne khoobsurat shahkar ke liye  ..aur Taish sb aap ko bahut bahut shukria is ghazal ko yahaan par share karne ke liye!!

shara 'ainy' 

shara sahab, jahe naseeb jo aapko ye ghazal pasand aayi, umeed karta huN, aage bhi aapki pasand ke hisaab ki cheezeN bazm tak pahuNchaa sakuN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 20, 2012, 01:09:48 PM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab is khoob kalaam se ruberu karane ke liye...
Aur waqai tuf qafiyaa hai... KyuN ke kal hi maiN is kafiye ko lekar bahut
soNcha par mujhe sirf 3 hi qafiye mile iske.. Usual Smile


Par aapki is sharing ne aaNkheN khol dii... Thanks again...

Likhate rahiye.. aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile


Haan ji sarkar, yahi to farq hai hum jaise nausakhiyoN me aur in jaise ustaadon meN, ab umeed karta huN ki aap yuNhi saath dete raheNgi...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:20:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer