Urdu hai mera naam.....

by Raja Jain on March 09, 2015, 08:48:29 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2030 times)
Raja Jain
Guest
Reply with quote
Mujhe urdu nahi aati doston bt jitni aati hai bahut hi tahzeeb se bharpoor langauge hai aur bahut gahraai se dil ko chhoo jati hai, To is urdu k liye ek chhoti si kavita hazir hai.......

Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli,
Me Meer Ki Hamraaz Hoon Galib Ki Saheli,,,

Dakkan Ke Wali Ne Mujhe Godi Me Khilaya,
Sauda Ke Kaseedon Ne Mera Husn Badhaya,
Hai Meer Ki Azmat Ke Mujhe Chalna Sikhaya,
Me Daag Ke Aagan Me Khili Ban Ke Chameli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli....

Galib Ne Bulandi Ka Safar Mujhko Sikhaya,
Haali Ne Murabbat Ka Sabak Yaad Dilaya,
Iqbal Ne Aaina-E-Haq Mujhko Dikhaya,
Momin Ne Sajayi Mere Khawon Ki Haweli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli...

Hai Zok Ki Azmat, Ke Diye Mujhko Sahare,
Chakwast Ki Ulfat Ne Mere Khwab Saware,
Faani Ne Sajaye Meri Palkon Pe Sitare,
Akbar Ne Rachaayi Meri Berang Hatheli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli...

Kyun Mujhko Banate Ho Taassub Ka Nishana,
Mene To Kabhi Khud Ko Muslmaan Nahi Mana,
Dekha Tha Kabhi Mene Bhi Khusiyon Ka Zamana,
Apne Hi Watan Me Hoon, Magar Aaj Akeli,

Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli,
Me Meer Ki Hamraaz Hoon Galib Ki Saheli,,,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
How to read and write Urdu/Urdu poems by @kaash in Poetry Knowledge & Lessons exclusively for Yoindians.
JUDA HAI JAB SE MERA NAAM TERE NAAM KE SAATH...........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Apne Naam Se Mera Naam Mila Ke To Dekh. by kumarabhishek8oct in Share:Love Poetry
Taish- naam meN mera NAAM rakhte haiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
Ek Ghazal Hindi aur Urdu ke naam......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
ambalika sharma
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2015, 02:20:28 PM »
Reply with quote
Mujhe urdu nahi aati doston bt jitni aati hai bahut hi tahzeeb se bharpoor langauge hai aur bahut gahraai se dil ko chhoo jati hai, To is urdu k liye ek chhoti si kavita hazir hai.......

Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli,
Me Meer Ki Hamraaz Hoon Galib Ki Saheli,,,

Dakkan Ke Wali Ne Mujhe Godi Me Khilaya,
Sauda Ke Kaseedon Ne Mera Husn Badhaya,
Hai Meer Ki Azmat Ke Mujhe Chalna Sikhaya,
Me Daag Ke Aagan Me Khili Ban Ke Chameli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli....

Galib Ne Bulandi Ka Safar Mujhko Sikhaya,
Haali Ne Murabbat Ka Sabak Yaad Dilaya,
Iqbal Ne Aaina-E-Haq Mujhko Dikhaya,
Momin Ne Sajayi Mere Khawon Ki Haweli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli...

Hai Zok Ki Azmat, Ke Diye Mujhko Sahare,
Chakwast Ki Ulfat Ne Mere Khwab Saware,
Faani Ne Sajaye Meri Palkon Pe Sitare,
Akbar Ne Rachaayi Meri Berang Hatheli,
Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli...

Kyun Mujhko Banate Ho Taassub Ka Nishana,
Mene To Kabhi Khud Ko Muslmaan Nahi Mana,
Dekha Tha Kabhi Mene Bhi Khusiyon Ka Zamana,
Apne Hi Watan Me Hoon, Magar Aaj Akeli,

Urdu Hai Mera Naam Me Khusro Ki Paheli,
Me Meer Ki Hamraaz Hoon Galib Ki Saheli,,,

lovdd your poem.one rau for u
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: March 09, 2015, 03:36:45 PM »
Reply with quote
behtreen peshkash waaaaaahhhhhhhhhhhh dheroooooooooooooooo daaaaaaaaaaaddddddddddddd
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #3 on: March 11, 2015, 05:09:32 AM »
Reply with quote
Shukriya Ambaika Sharma ji.
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #4 on: March 11, 2015, 05:11:02 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Jeet Jainam ji Usual Smile
Logged
Rekhta
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 hours and 48 minutes.
Posts: 30
Member Since: Mar 2014


View Profile WWW
«Reply #5 on: May 17, 2016, 08:03:12 AM »
Reply with quote
उर्दू है जिस का नाम हमीं जानते हैं 'दाग़'
हिन्दोस्ताँ में धूम हमारी ज़बाँ की है
Logged
Rekhta
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 hours and 48 minutes.
Posts: 30
Member Since: Mar 2014


View Profile WWW
«Reply #6 on: May 25, 2016, 12:23:04 PM »
Reply with quote
लिपट जाता हूँ माँ से और मौसी मुस्कुराती है
मैं उर्दू में ग़ज़ल कहता हूँ हिन्दी मुस्कुराती है
Logged
Rekhta
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 hours and 48 minutes.
Posts: 30
Member Since: Mar 2014


View Profile WWW
«Reply #7 on: June 20, 2016, 11:36:31 AM »
Reply with quote
मिरी मज़लूम उर्दू तेरी साँसों में घुटन क्यूँ है
तेरा लहजा महकता है तो लफ़्ज़ों में थकन क्यूँ है
Logged
Rekhta
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 hours and 48 minutes.
Posts: 30
Member Since: Mar 2014


View Profile WWW
«Reply #8 on: June 27, 2016, 10:58:12 AM »
Reply with quote
میں تو مسجد سے چلا تھا کسی کعبہ کی طرف
دکھ تو یہ ہے کہ عبادت مری بد نام ہوئی
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:29:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer