Rustum Rangila
|
|
|
Abhi kuch Yoindia ka maazi jhanka to yakhin nahi huwa ke ye wohi YoIndia hai jo pahle huwa karta tha??? Hae re wo din jab raonakhen lagi rahti thin aur ab .........!!! Khaer, Yoindia ke sunehre daur ke kuch naam yaad aagae (“kuch naam” pure nahi, jitney mujhe abhi yaad aaye hain wo sab main yahan likhonga aur in sab se meri guzarish hai ke phir se laut aayen, abhi bhi YoIndia par mujh jaese bahot se honge jo aap logon ko aur aap logon ki shayari ko miss kar’rahe honge...
F.H.Siddiqui Ji, Sksaini4 Ji, Aqsh Ji, Sheba Ji, Qalb Ji, Sahal Ji, Laaiba Ji, Advo.RavinderaRavi Ji, Dksaxenabsni Ji, Adel bechain Ji, Sidra04 Ji, Fare Ji, Zaif Ji, Iftakhar Ahmed Ji, Saman Firdaus Ji, Ruhama Ji, Jeet Jainam Ji, Hriday Ji, Kasak Ji, Sudhir Ashq Ji, Nashwani Ji, Sahreyaarahmad Ji, Marhoom bahayaat Ji...
Aur bahot se hain jinke naam abhi yaad nahi aa’rahe hain, aur kuch hain jo Alhamdulillah aaj bhi kabhi kabhar aate hain so unke naam bhi yahan nahi hain. Phir ek baar sab’se guzarish ke laut aao mahine me ek baar hi sahi par aao zaroor (Tamaam ke liye dili dua ke Corona aur aesi sabhi afaton/bimariyon se Allah sabko bachae rakhe aameen).
Yahan Janab Shalindra Sahab ka ek filmi geet likhta chaon - Khuda Hafez...
Albele Din Pyare, Mere Bichde Saath Sahare Haey Kahaan Gaye, Haey Kahaan Gaye Aankhon Ke Ujiyare, Meri Sooni Aankhon Ke Taare Haey Kahan Gaye
Koi Lauta De Mere, Beete Huwe Din Beete Huwe Din Wo Mere, Pyare Pal Chin Koi Lauta De Mere, Beete Huwe Din
Mere Khwabon Ke Mahal, Mere Sapnon Ke Nagar Pee Liya Jinke Liye, Maine Jeewan Ka Zahar Aaj Main Dhoondhoon Kahan Kho Gaye Jaane Kidhar Beete Huwe Din Wo Haey, Pyare Pal Chin Koi Lauta De Mere, Beete Huwe Din
Main Akela To Na Tha, The Mere Saathi Kai Ek Aandhi Si Uthi, Jo Bhi Tha Leke Gayi Aise Bhi Din The Kabhi Meri Duniya Thi Meri Beete Huwe Din Wo Haey, Pyare Pal Chin Koi Lauta De Mere, Beete Huwe Din – Janab Shalindra.
|