Ek_shayer(guest): ki naadani.....(nazar ghouri)

by nazar ghouri on May 16, 2010, 01:09:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3697 times)
nazar ghouri
Guest
Reply with quote
ek ajeeb si bahes kisi ne chhed di hai..huwa yun meine "mohtarama mamta baajpai" saheba ke ashaar pe unhein ek shair ke zariye daad di..shair kuch istarha tha..

                              bahot qareeb se dekha hai tu ne zindegi ko
                              tere ashaar iss baat ki gawahi dete hain..

iss daad ko mohtarma ne bahoot saraha aur kaafi umda alfaz se mera shukriya bhi ada kiya.
isi asna main kisi guest ne (ek_shayer)ne bade hi betakkaluffana andaaz main mujh se kaha. " Nazar ji yeh tu tera kya hota hai,kya aise daad di jaati hai,urdu ki nafasat ko bhoool gae". mein nafasat ki taraf to baad main khenchonga ,pehle yeh to bata doon ke "urdu shayeri kya hai"..

janab Abdul maalik Faheem saheb likhte hain,"urdu shayeri har ek ke dil ko khenchti hai,aur har tabqe main mashhoor hai,shayer apni baat kehne ke liye purey samaaj ko mukhatib karta hai."hamare guest(ek_shayer)ki urdu nafasat se to yahaan (mukhatib karte hain)hona chahiye tha..wah kya nafasat hai.
.thoda aage badhte hain...
"urdu ko sanwaarne aur taraqqi dene main urdu shairao'n aur adeebao'n ka bahot bada haath raha hai."guest ke mutabiq yahaan (bahot bade haath rahe hain).hona chahiye tha...wah kya nafasat hai..
ek_shayer(guest ki identity hai): aaiyye kuch mashhor shayerao'n ke ashaar se aapke ilm main izafa karta chaloon.
1.Kaifi aazmi
   jurm hai "teri" gali se sar jhuka kar lautna..      
   kufr hai pathrao se ghabrana "tere" shaher main..
       (yahaan "teri" aur "tere" ki jagah "aapki" aur "aap ke" hota to nafasat aajati
         kaifi saheb ko koi iska ilm na raha hoga..?).... wah

2.Naushi geelani:
      woh "aa to jaata" kabhi ,hum to "uss ke" rastao'n per..
      diye jalaae huwe subah-o- shaam rakhte thhe............
        
    (nafasat ke liye yahaan "aato jaata" aur "uss ke " ki jagah "aa to jaate"aur unn ke" hona chahiye thha...Naushi saheb se bhool hogai?)..wah

3.Meer taqi Meer:
      jo "tujh" bin na jeene ko kehte thhe hum..
      so iss ahed ko ab wafa kar chale.........
          (nafasat ke liye "tujh"ki jagah "tum" hona chahiye thha,magar shahensha-e-ghazal se chook hogai..?).. wah

4.Mus'hafi :
      iss dil main "tere" milne ka armaan reh gaya..
      yeh dil tadap tadap ke meri jaan reh gaya....
            (nafasat ke liye yahaan "tere"ki jagah "aap ke" hona chahiye thha.lekin mus'hafi saheb bhool gae)...wah

5.Qamar jalalvi:
      kabhi kaha na kisi se "tere" fasane ko..
      na jaane kaise khabar hogai zamane ko...
            (nafasat ke liye "tere" ki jagah "aap" hona chahiye tha,Qamar saheb ne kyun nahi likha?)..    wah

6.Qateel shafai:
      mujh se "tu"poochne aaya hai wafa ke maan'e..
      yeh "teri" saada dili maar na daale mujh ko...
            (nafasat ke liye "tu" ki jagah "aap" aur shair ki baher badal dena tha,aur "teri"ki bajaae "aap ki" hona chahiye tha,qateel saheb bhool gae.?)..wah

7.Faiz Ahmed Faiz:
      dono jahaan "teri" mohabbat main haar ke..
      woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..
             (nafasat ke liye "teri ki jagah "aapki" hona chahiye tha..faiz saheb se chook hogai?..)...wah

8.Firaaq gorakhpuri:
      yeh bhi sachh hai ke mohabat pe nahi mein majboor..
      yeh bhi sachh hai ke "tera"husn kuch aisa bhi nahi..
             (nafasat ke liye 'tera" ki jageh "aap ka " hona chahiye tha ..firaaq saheb bhool gae..)...wah

9.jigar muraadabadi:
      chherda tha pehle pahel "teri " nazar ne..
      ab tak hai woh ek nagma-e-be saaz-o-sada yaad..
              (nafasat ke liye "teri" ki jageh "aap ki" hona chahiye tha..jigar saheb se bhool hogai..?)..wah

10.Alaama Iqbaal:
       "tu" shaheen hai parwaaz hai kaam "tera"..
        "tere" saamne aasman aur bhi hain.......
              (nafasat ke liye "tu" ki jageh "aap" aur "tera" ki jageh"aapka" hona chahiye..lekin Sir Dr.Alaama Iqbaal saheb bhool gae..?)..wah.

qissa muqtasar karta hoon mein yahaan aise beshumaar shora ke ashaar paish karsakta hoon jahan tu tera ,teri,ke lafz aae hain ..bus kehne yehi hai..meine daad shair main di hai ,shair main is tarhe ke lafz par koi pabandi nahi hai aur na nafasat se aari hoga..lehaza meri Ek_shayer(guest)..ko yehi raae hai ke mutaela karein aur samjhein,sochein ,phir ungli uthaein,agar aapko bahes hi karna tha to parde ke peeche rehkar teer nahi chalana chahiye,buzdil log aisa karte hain..aap apne aap ko zaaher kijiye,bahes kariye,ilmi bahes main ilm badhta hai,aisi bahes jo ilm badhae karni chahiye..      
      
Report to monitor   Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HAPPY BIRTHDAY NAZAR GHOURI JI by madhuwesh in The Wishes and Celebrations
kya khoob haqq-e-bandegi.....(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Halaat pe zara tu,apni nazar karde..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Kuch iss tarhe hum jee rahe hain....(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
sub ko yahaan,yeh maqaam milta nahien..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2010, 05:00:34 AM »
Reply with quote
Ghouri saheb bohat achcha laga aapko padhkar, lekin mere bhai mere hisab se khamoshi zyda behtar hai is mamle me. Hona to yeh chahiye tha ke jin logho ke hath me forum ki zimmedariya hai woh apni zimmedariya nibhate aur is baat ki poori koshish karte ke koi Guest Id bana kar jhahilana harqat na kare.

Meri thread me bhi kaiee logh guest Id banakar badi badtamizi se pesh aa chuke hai aur unke comment aaj bhi maujoood hai par kisi ne koi action nahi liya.

Aap bas itni baat yaad rakhe ke aap ek behtareen shayer hai aur aapko kisi ki gawahi ya tamge ki zarurat nahi yeh baat sabit karne ke liye. Is kism ke nadaan aur kamzarf logho ke muh na lage.

Allah aapko hamesha apni hifazat me rakhe.

Ghayel
Report to monitor   Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: May 16, 2010, 05:36:27 AM »
Reply with quote

NAZR SAHAB AAPNEY BAHUT ACHCHI TARAH AUR BEHTREEN  DAAD DIYA HAI ..AUR ISMEY KOI GHALAT BAAT NAHIN HAI....AUR KAMYABI DENA ALLAH KEY HAATH MEIN HAI...AAP APNA KAAM KAREN...AUR ISS TARAH KI BAAT KO NOTICE NA KAREN AUR RESPOND BHI NA KAREN Applause Applause Applause


 ALLAH HAFIZ
Report to monitor   Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2010, 06:27:27 AM »
Reply with quote
NAZAR SAHEB !MAI AAPKE BAYAN KA BECHAINI KE SAATH INTZAR KAR RAHI THI .AAP KO PADH KAR MUJHE ACHCHA LAGA OR BHI JIN LOGON KE DIL- DIMAG ME YE GALATFAHAMIYAAN MOUJOOD HAIN WO BHI AAP KO PADH KAR DOOR HO GAYEE HONGI.BAHUT HI ACHCHA KIYA JO AAP NE APNA NAZARIYA BAYAN KAR DIYA.AAP SHABD YA TO ADHIK SAMMAN KA YA PHIR RISHTON ME DOORI KA SOOCHAK HAI.JAHAN KOI KISI KE BAHUT QAREEB HOTA HAI PHIR CHAHE WO KOI HO KHUDA HO,HUMSAFAR, HUMNAWAN ,HUMKHAYAL OUPCHARIKTA KE SARE PARDE TOOT JATE HAIN OR HAM AAP SE TOO PAR AA JATE HAIN.
Report to monitor   Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: May 16, 2010, 06:51:57 AM »
Reply with quote
Nazar sahab.. Bahut hi achha kiya aapne ye wakya share karke... Sajid sahab bilkul sahi farma rahe hai... aap besak ek achhe shayar hai... aji ye guest ka kya hai...bas keh diya ..to ho gaya... nahi...

aap bas achha karte jaiye...faisla to khuda ke hi haath me hai...

aap sab khush rahe... Usual Smile
Allah Hafiz...
Report to monitor   Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2010, 06:54:41 AM »
Reply with quote
We always try to keep the friendly environment on this forum but sometimes some case happened coz we also not able to keep eye on every post (as Yoindia everyday get 200-300 approx post).

We understand your concern and we request you whenever you something unfriendly or misbehavior of any members on the forum please let us know we definitely  take sudden action.

Thanks
Sophi

( Moved to appropriate section)
Report to monitor   Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2010, 08:51:18 PM »
Reply with quote
Hmm Bahaut acha laga ke ap samne aye aur apne yeh share kiya...Kisi ne kaha hai 'ager deewar tumhe thokar mare, toh uska reply nahin dete..dard khud ko hota hai'..Main ek behtar misal deta mager yahan foul language gina jaega isiliye chup hoon...Ap bahaut ache shayar hai, daad bhi bahaut khoob di hai...

Uss guest se kahein, dobara lautein aur yahan jawab...I think guests ko allowed hi nahin hona chahiye..Koi bhi ata hai aur yunhi filzul ki baatein likha kar chale jata hai..I think ager logon ko reply karne ka itna hi shouq hai, toh member bane...Thats just a suggestion..

Thanks anyways..

Kisi ko bura laga ho toh Maafi mangna chahunga!

Shukriya!

Khush rahiye Sabhi..
Report to monitor   Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:21:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer