ghazal posted with the title "gham mera bikta hua"

by zarraa on May 13, 2012, 10:03:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1558 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
As I have already mentioned as a reply to this post, this ghazal has been composed by me and was posted in shayari . in under the title "qatl ka lagta hai mere is qadar charche huwe" in the dard-e-dil shayari section in my name, zarraa. My takhallus (zarraa) has been deleted from the last line of the ghazal while being posted here by Mr. Soudagar.
Report to monitor   Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: May 13, 2012, 11:02:53 AM »
Reply with quote
DEAR U MEAN THE POST .. GHAM MERA BIKTA HAI , IS ORIGINALY POST BY UR SELF
Report to monitor   Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 13, 2012, 11:21:24 AM »
Reply with quote
agar ye sach hai to behad sharmnaak hai aur zurm hai iskee tasdeek honee chahiye monitor saheb ls muaamle kee jaanch kare
Report to monitor   Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #3 on: May 13, 2012, 01:53:09 PM »
Reply with quote
Maine us website per jaa kar dekha, inho ne wo ghazal 6 may ko wahan post ki hai. Behad dukh hua.par mujhe lagta ha ki Zarra ji kii baat sahi hai.
Report to monitor   Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: May 13, 2012, 02:51:38 PM »
Reply with quote
Zarra Sahaab Aadaab!

Wel Come to YO India .... Hum jaante hai aap aik behad achche
shayar hai... Hum aapki baat par hum us member se ittelaa kareNge.. Usual Smile

Aapki ho yaa kisi ki bhi shayari ho use apne naam se post karna
means chit karna hai... aur yeH YO ke niyamoN ke khilaaf hai..

hum puri koshish kareNge ke aapke shayari ko sahiN se insaaf mile... Usual Smile

Aur khushi hoNhi ke aap yahaaN bhi aaya kareN...
Isi bahaane aap YO par aaye achcha laga.. Usual Smile

Keep visiting.. Keep posting...
Khuda Hafez.. Usual Smile                   

Report to monitor   Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: May 13, 2012, 03:36:01 PM »
Reply with quote
janaab saahil ji, saini ji, quateel ji aur parwaaz ji ....

sahebaan, meree baat ko waqt dene ka aur is masale pe ghaur karne ka bahaut bahaut shukriya.

parwaaz ji, itni mohabbat se welcome karne ka shukriya. ji, bilkul koshish rahegee ki ab se is bazm mein haziri deta rahoon. ittefaaq ki baat hai ki ek arsey pehle main is forum mein aataa jaataa tha (zarra ke username se) ...phir n jaane kab saath chhoot gaya ... ummeed hai phir se jud jayega.

sheeba ji ...aadaab....apke PM ka jawaab nahiin de pa raha hoon kyunki computer sahab farma rahe hain ki mujhe PM karne ka abhi haq nahiin mila hai. aap hi raasta bataiye ki aapkee sawal ka jawab kaise doon. beherhaal, jis post ki maine baat ki thi, uska link yahaan paste kar raha hoon. ismein mera username hai "zarra".  ka section hai dard-e-dil shayari jisnmein 6th may ko post ki thi. shayad isse aapke sawal ka jawab mil jayega.

http://www./shayari/dard-e-dil-shayari/37356-qatl-ke-lagtaa-hai-mere-qadar-charche-huwe.html

maine yahi ghazal ek aur forum mein bhi post ki thi 4th may ko.wo thi shayri.com ke shayari-e-dard section mein aur jismein username hai "zarraa". phir do din baad kuchch modifications kar ke  me post ki jahaan se isse copy kiya gaya hai.

duaon ke saath
zarraa




Report to monitor   Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: May 13, 2012, 03:41:04 PM »
Reply with quote
lagta hai websites ke links theek se message board mein copy nahiin ho rahe hain. waise maine details de diye hain. inko follow karke post mil jayegi.
Report to monitor   Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: May 13, 2012, 03:46:44 PM »
Reply with quote
Zarra Sahaab .... YahaaN web site ke link post nahi
hote haiN... and haaN aap jab 10 reply's cross kar deNge toH aapka
PM option bhi on ho jayeNga... Usual Smile

Jee maiN tasdik kar raha huN... jald hi us par aapke liye rahat
wali khabar aa jayeNgi... Usual Smile

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile                 

Report to monitor   Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: May 13, 2012, 04:08:01 PM »
Reply with quote
Zarra sahab--
aapka Yoindia Shayariadab par swagat hai--
aur bhot bura lag raha ki aapki likhi hui ghazal yahan ke member ne apne naam se post ki--
hum kosis krte hain sabhi post ko check karen aur original post hai ya nhi pata lagae--
par kuch dino se time kam hone ki wajah or mobile se OL hone ke karan ye kam thk se nhi kar paate--

khushi iss bat ki h ki aap samne aaye--
shayd isse iss tarah likhnewalo ko kuch seekh mile.

aate rahie

sukriya
Report to monitor   Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2012, 04:50:36 PM »
Reply with quote
ji sir ye zaara ji ki hai ... sab meri galti hai i feel guilty maine is post ko delete aur edit karne ki bhi koshish ki thi par mujhse hui nahi... main yoindia ka doshi hun aap jo saza dena chahein mujhe qabool hai ...maine aap sabka dil dukhaya iske liye mafi chahta hoon....

zaara sahabh aapko proof dene ki jarurat nahi....maine jab se ise post kiya tab se hi guilt feel kar raha hoon maine bahut galt kiya mujhe aisa bilkul nahi karna chahiye tha....
Report to monitor   Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: May 13, 2012, 05:29:12 PM »
Reply with quote
Soudagar ji. April mein aap ne Sahir Ludhyanvi ki eik ghazal ,"Deinge wahi jo paayeinge zindagi se hum",apne naam se  post ki thhi jisper main ne aapko ishaara kiya thha aur ummeed kee thhe ki aap corretion kar leinge .Baad mein Sarvesh Rastogi sb ne bhi aap se sawaal kiya ; magar aap ne correction karna yaa haqiqat bataana munasib nahi samjha. Ab chunki aapne apni ghalti mahsoos kar li hai , behtar ho ga ki aap unn sabhi posts mein jo aapki nahin hain original writers ke naam de dein ya kam az kum NM likh kar unhein disown kar lein. Shukriya.Hasan
Report to monitor   Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: May 14, 2012, 04:08:20 AM »
Reply with quote
Doston ...badi khushi huwee ki ye muamla resolve ho gaya. Main ap sab members aur moderators ka shukrguzaar hoon ki apne itni mustaidi aur furtee se issey resolve kar diya. Aur apne jis apnepan se mera is bazm mein isteqbaal kiya uska bahaut mashkoor hoon.

Soudagar ji .... mujhe zaatee taur par apse koyee gila shikwa nahiin. Main sirf ek muddey par awaaz utha raha tha. Aur apne jin saaf saaf alfazon mein apni galtee qabool ki uske liye bhi bahaut himmat chahiye aur main apki himmat ki daad deta hoon.

Ap sabke liye duaein karte huwe .... Zarraa
Report to monitor   Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:50:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer