Sajid_Ghayel
Guest
|
Admin Saheb,
Aksar yeh dekha jata hai ke sirf ek sher ki posting ki jaati hai......and even worse ek hi member is kism ki 4 ya 5 post ki posting karta hai woh bhi ek hi din me.
Issey dusre members ki post neechein chali jaati hai aur home page se hath jaati hai........mujhe lagta hai kam se kam 3 sher ki restriction honi bohat zaruri hai..........ussey kam sher ki posting bilkool allowed nahi ki jaani chahiye.........jab tak aisa nahi kiya jaayega New Thread ko koi seriously nahi lega........aur na hi apne shero ki quality par dhiyaan dega.
Isi tarah ki restriction aap aur kism ki poetry ke liye bhi decide kar lein.
Thank U
|
|
|
|
|
Sajid_Ghayel
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 23, 2012, 09:06:39 AM » |
|
Ek cheeze aur add karna chahuga..........ek member ek din me kitni New thread bana sakta hai.......is par bhi zaroor gaur karein..........mere hisab se to 24 hrs me ek hi new thread allow ki jaani chahiye.........aur waqt me woh dusre dosto ko comment bhi de sakta hai.
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 23, 2012, 09:09:11 AM » |
|
sajid sir main aapki rai se thoda sehmat hoon par pura nahi......kya aap yeh kehna chahte hai ki new member jo shayari ka yahan shuruaat karta hai wo sidhe hi gazal likhe ya nazm likhe ya phir kam se kam 6 lines to likhe hi apni ek posting mein.....to mujhe nahi lagta ki yeh har new member ke liye sambhav hoga....
haan aapki yeh baat bilkul durust hai ki ek member din mein 1-2 post kare to jyada behtar hai agar 2 lines share karni hoto apne pichli post mein hi reply ke zriye kare.... jaisa ki maine suman ji ko dekha....baki to aap seniours hi jyada jante hai maine sirf apni rai di hai... agar aapko bura lage to hath jod mafi chahenge aapse ghayel ji........
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #3 on: June 23, 2012, 09:12:11 AM » |
|
sajid bhaai aapne bilkul mere man kee baat kah dee aap to 3-4 kah rahe hain ksee din to had ho jaatee hai aur main jab kheej jaataa hoon to kah bhee detaa hoon ki aaj koi muqaablaa hai kyaa waqai isse achhee posts ko bahut nuksaan hotaa hai.fir cheez bhee to muqammal honee chahiye
|
|
|
|
Sajid_Ghayel
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 23, 2012, 09:13:49 AM » |
|
Soudagar saheb theek hai ghazal na likhein par unhone agar 10 sher likhein to un dus sher ko kya ek sath ek post me nahi post kar saktein..........uske liye kya 10 alag new thread banayee jayegi..........ya unke andar itna bhi sabr nahi ke kam se kam 3 sher hone ka wait karein........yaha socha waha bana di new thread.
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 23, 2012, 09:17:02 AM » |
|
sajid ji is baat ka main aapka puri tarah se samarthan karta hoon 10 sher ke liye 10 thread ki wajh se latest thread bina padhe niche dab jate hai jo padhne se reh jate hai ....phir yahi baat samne aati hai ki yahan new member ko protsahit nahi kiya jata... jo ki galt hai ....din mein 1 hi thread hona chahiye is baat se puran rup se sehmat hoon chahe wo 2 lines ka likhein ya phir usse jyada ka...
|
|
|
|
Sajid_Ghayel
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 23, 2012, 09:33:20 AM » |
|
Soudagar saheb baat kya ho rahi hai aap baat kya kar rahey yaha Subject kisi ka hausla badhane ki nahi ho rahi........aap dobara se meri post padhein........waise ab tak to aap meri saari baat se agree kar chuke hai.......aur jo baat ke liye aap pareshaan hai uske liye alag se discussion chal rahi hai......woh thread shayed aapne dekhi hogi.....ke sirf clap karna sahi hai kya.
thank u.
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #7 on: June 23, 2012, 09:35:17 AM » |
|
mere khyaal se jab ek baat ko kam se kam lafzon men kahnaa ho to aap ek sher kah sakte hain par ydaa kadaa.aap apnee baat ko jab aur badaa kar ke kahnaa chaahen to qataa,yaa rubaai,yaa fir kisee aur jaise ghanaksree chhan men kah sakte hain jab aur badee form men jaayen to aap nazm yaa geet kah sakte hain ghazal men har sher apne aap men complete ghazal hotaa hai lekin jo is baat ke jaankaar hai unhe iskaa naajaayaz istemaal ek ek sher post karke naheen karnaa chahiye.member nayaa ho yaa puraanaa kabhee kabhee apne kalaam ko single sher se,qate se,kahe to koi baat naheen par jaan boojh kar do-do yaa chaar chaar lines aur vo bhee ek din men 10-10 baar kahe ye bilkul ghalat hai.haan ye baat bhee apnee jagah sahee hai ki agar aap ghazal kaa section use kare to aapkee ghazal men kam se kam teen sher to hone hee chahiye
|
|
|
|
roy
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 23, 2012, 05:55:36 PM » |
|
mai apki baat se kuch had tak agree karta hun
mai bhi ye chez bohot time se notice kar raha k kai shayar bohot zada shayri post kardete hain jiss se humari shayri niche chali jati hai !!
-> par mai SAUDAGAR g ki is bat se agree nahi karta k agar 2 liner likhni hai to uski k niche likhen kunki kaheen log thread k coments padna zaroori nahi samajhte !!
-> or thread vali baat se bhi agree nahi karta
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #9 on: June 24, 2012, 09:52:28 AM » |
|
I Totally Agree With Sajid Ji & Saini Saheb
Main AUr Ek Baat Add Karna Chahunga...Home Page Par Share Ki Hui poetry Nahi Rehni Chahiye, Share Ki Hui Poetry Agar Home Page Par Reflect Hogi, To Bahut Asaan Ho jaayega Sab ke Liye Kisi Bhi poetry Ko Home Page Par Post Karte Rehna.. Jaise Ke Kuch Din Se Chal raha Hai..
|
|
|
|
suman59
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 24, 2012, 03:34:20 PM » |
|
lagta hai aaj maine toda jyada hi posting kar diya hai. aj sunday tha mujhe fursat b mili thi.
sorry. rahi baat poore shayari likhne ka... mai is baat ko samjhi nahi. shayari 2 line ki ho ya 4... kitni khoobsurati se likha hai yehi dekhenge members socha maine.
ab aap log yeh bi zarur likhna regular kitna post karni hai new members ko? Kitno ka jawab deni chahiye etc.
mrs suman kher
|
|
|
|
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
Rau: 14
Offline
Waqt Bitaya:49 days, 23 hours and 12 minutes.
Posts: 3125 Member Since: Dec 2003
|
|
«Reply #11 on: June 24, 2012, 06:27:41 PM » |
|
You can make any number of comments ie. aap chahen jitne jawab dena chaheN dijiye, yahan sirf Nayi shayari ie. creation of new Topic is the concern of discussion.
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #12 on: June 24, 2012, 07:15:47 PM » |
|
maine bhot din pehle yahi baat uthai thi restriction wali-- par ek Monitor sahab ne mujhe kaha tha ki ye baaten Monitor Section me honi chahie--jabki mene open Chit-Chat section me sabhi members ki advice chahi thi--
kitne post padhen hum--wo bhi ek hi tarah ke aur ek hi member ke? ye baaten members ko khud hi samjhni chahie-- magar restriction ho to behtar hai--coz new users and kuch senior members bhi iss baare me nhi sochte--
aur iss baat se Hausala badhanewali baat ka koi relation nhi-- ye sirf post restriction ki baat hai bas
sukriya
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 24, 2012, 07:28:11 PM » |
|
|
|
|
|
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
Rau: 14
Offline
Waqt Bitaya:49 days, 23 hours and 12 minutes.
Posts: 3125 Member Since: Dec 2003
|
|
«Reply #14 on: June 24, 2012, 07:34:41 PM » |
|
If you have any question or suggestion, you can always ask in "User Support and Suggestion Forum" .
|
|
|
|
|